Shayari
'zaki' hamaaraa muqaddar hain dhuup ke kheme
hamein na raas kabhi aayaa saaebaan koi

Zaki Tariq
Zaki Tariq
'zaki' hamaaraa muqaddar hain dhuup ke kheme
hamein na raas kabhi aayaa saaebaan koi
gumaan hotaa hai mujh ko tumhaare aane kaa
havaa idhar se dabe paanv jab guzarti hai
ham bhi kahne lage hain raat ko raat
ham bhi goyaa kharaab hone lage
itaab-o-qahr kaa har ik nishaan bolegaa
main chup rahaa to shikasta makaan bolegaa
roz suntaa huun main hansne ki sadaa
kaun ye mere sivaa hai mujh mein
simTe hue jazbon ko bikharne nahin detaa
ye aas kaa lamha hamein marne nahin detaa
ajnabi khushbu ki aahaT se mahak uTThaa badan
qahqahon ke lams se khauf-e-khizaan raushan huaa
mere andar nihaan hai aks miraa
aaine mein hai aap kaa partav
darida-jaib garebaan bhi chaak chaahtaa hai
vo ishq kyaa hai jo daaman ko paak chaahtaa hai