SHAWORDS

un se izhaar-e-shikaayaat karun yaa na karun — Arsh Sahbai

HomeArsh SahbaiGhazal
"un se izhaar-e-shikaayaat karun yaa na karun lab pe larzaan si hai ik baat karun yaa na karun khinch laae na kahin phir ye mohabbat ki kashish jurat-e-tark-e-mulaaqaat karun yaa na karun meri khaamoshi-e-paiham kaa unhein shikva hai zikr-e-be-dardi-e-haalaat karun yaa na karun hai gham-e-haal mein insaan pareshaan-khaatir fikr-e-fardaa ki koi baat karun yaa na karun"
Urdu

ان سے اظہار شکایات کروں یا نہ کروں لب پہ لرزاں سی ہے اک بات کروں یا نہ کروں کھینچ لائے نہ کہیں پھر یہ محبت کی کشش جرأت‌ ترک ملاقات کروں یا نہ کروں میری خاموشیٔ پیہم کا انہیں شکوہ ہے ذکر بے دردیٔ حالات کروں یا نہ کروں ہے غم حال میں انسان پریشاں خاطر فکر فردا کی کوئی بات کروں یا نہ کروں

Hindi

उन से इज़हार-ए-शिकायात करूँ या न करूँ लब पे लर्ज़ां सी है इक बात करूँ या न करूँ खींच लाए न कहीं फिर ये मोहब्बत की कशिश जुरअत-ए-तर्क-ए-मुलाक़ात करूँ या न करूँ मेरी ख़ामोशी-ए-पैहम का उन्हें शिकवा है ज़िक्र-ए-बे-दर्दी-ए-हालात करूँ या न करूँ है ग़म-ए-हाल में इंसान परेशाँ-ख़ातिर फ़िक्र-ए-फ़र्दा की कोई बात करूँ या न करूँ

un se iz.hār-e-shikāyāt karūñ yā na karūñ
Arsh Sahbai
Arsh Sahbai
Arsh Sahbai
poet19 quotes

More by Arsh Sahbai

View all →
Quote
"aarzu raqs mein hai vaqt ki aavaaz ke saath zindagi naghma-saraa hai nae andaaz ke saath zindagi dekh na yuun ajnabi andaaz ke saath ham ko nisbat hai tiri chashm-e-fusun-saaz ke saath us ke mazkur se labrez hain naghme us ke us ne marghub kyaa dil ko kis e'jaaz ke saath ye haqiqat mein zamaane ki khabar rakhte hain sahme sahme se hain jo hasrat-e-parvaaz ke saath dil hai sar-chashma-e-naghmaat agar TuuT gayaa kitne naghmaat bikhar jaaeinge us saaz ke saath vaqt ki baat hai ab koi nahin un kaa vaqaar jo kabhi baat bhi karte the baDe naaz ke saath kyaa kahein ban gae ham sab ki nazar kaa markaz us ne kyaa dekh liyaa ajnabi andaaz ke saath 'arsh' jo dard mein Duube hue dil se nikle chand sho'le bhi lapakte hain is aavaaz ke saath"
Arsh SahbaiArsh Sahbai
Quote
"hangaama-haa-e-baada-o-paimaana dekh kar ham ruk gae hain raah mein mai-khaana dekh kar baa-ehtiraam saaghar-o-minaa baDhaa diye saaqi ne meri jurat-e-rindaana dekh kar phir yaad aa gai hai tiri chashm-e-mai-farosh mahfil mein raqs-e-baada-o-paimaana dekh kar hairaan huun un ke dida-e-hairaan ko kyaa kahun divaane ho gae mujhe divaana dekh kar tauba kaa ehtiraam bhi laazim rahaa magar niyyat badal gai miri paimaana dekh kar har aastaan se garche rahe be-niyaaz ham sajde mein gir gae dar-e-mai-khaana dekh kar"
Arsh SahbaiArsh Sahbai
Quote
"hazaar haadsaat-e-gham ravaan-davaan liye hue kahaan chali hai zindagi kashaan kashaan liye hue mire nasib ki ye zulmatein na miT sakin kabhi koi guzar gayaa hazaar kahkashaan liye hue ye zindagi badalte mausamon kaa rang-rup hai kabhi bahaar kaa samaan kabhi khizaan liye hue miraa ye karb hai ki meraa kaarvaan guzar gayaa simaT ke rah gayaa huun gard-e-kaarvaan liye hue agar vo jaan-e-aarzu mile to us ki nazr ho khaDaa huun kab se muntazir main naqd-e-jaan liye hue mire vaqaar kaa savaal thaa main kuchh na kah sakaa guzar gae vo raahaton kaa ik jahaan liye hue kisi bhi zaaviye se 'arsh' is ko dekhiye magar qadam qadam pe zindagi hai imtihaan liye hue"
Arsh SahbaiArsh Sahbai
Quote
"dil-e-muztar se naalaan hain udhar vo bhi idhar ham bhi mohabbat mein pareshaan hain udhar vo bhi idhar ham bhi kise fursat hai maazi ki puraani daastaan chheDe gham-e-haazir mein ghaltaan hain udhar vo bhi idhar ham bhi ba-zaahir koi hairaani nahin tark-e-mohabbat par magar dil mein pashemaan hain udhar vo bhi idhar ham bhi khizaan ke jaur-e-paiham ki shikaayat hai to donon ko talabgaar-e-bahaaraan hain udhar vo bhi idhar ham bhi unhein jaane ki jaldi hai hamein zid hai ki ruk jaaein gharaz donon pareshaan hain udhar vo bhi idhar ham bhi"
Arsh SahbaiArsh Sahbai
Quote
"main huun aise bikhraa saa jaise khvaab adhuraa saa duur duur tak phailaa hai yaadon kaa ik sahraa saa be-shak aap nahin aate kar dete koi vaada saa gham se aankhein bojhal hain dil bhi hai kuchh bikhraa saa main us ki nazron mein huun kaaghaz kaa ik TukDaa saa aql-o-junun mein rahtaa hai koi na koi jhagDaa saa un se dil ki baat kahi bojh huaa kuchh halkaa saa uDi uDi si rangat hai har koi hai sahmaa saa us ko haq hai jo bhi kare vo hai meraa apnaa saa meraa yahi asaasa hai ik dil vo bhi TuuTaa saa aap to chup se rahte hain main hotaa huun rusvaa saa 'arsh' nigaahon mein aksar lahraae ik saayaa saa"
Arsh SahbaiArsh Sahbai

More on Mohabbat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud