SHAWORDS

aaj phir dasht koi aabla-paa maange hai — Bakhtiyar Ziya

HomeBakhtiyar ZiyaGhazal
"aaj phir dasht koi aabla-paa maange hai khaar bhi taazgi-e-rang-e-hinaa maange hai zabt-e-gham dast-ras-e-aah-e-rasaa maange hai ye andheraa tire 'aariz ki ziyaa maange hai jaan-dahi tishna-labi aabla-paai be-sud dasht-e-ghurbat to kuchh is ke bhi sivaa maange hai phunk rahaa hai gham-e-hasti se vajud-e-insaan zindagi ab tire daaman ki havaa maange hai aap chupke se use zahr kaa pyaala de dein jo rivaayat se baghaavat kaa sila maange hai chaand siine se lagaae hai miraa naqsh-e-qadam aur suraj miri saanson ki sadaa maange hai"
Urdu

آج پھر دشت کوئی آبلہ پا مانگے ہے خار بھی تازگئ رنگ حنا مانگے ہے ضبط غم دسترس آہ رسا مانگے ہے یہ اندھیرا ترے عارض کی ضیا مانگے ہے جاں دہی تشنہ لبی آبلہ پائی بے سود دشت غربت تو کچھ اس کے بھی سوا مانگے ہے پھنک رہا ہے غم ہستی سے وجود انساں زندگی اب ترے دامن کی ہوا مانگے ہے آپ چپکے سے اسے زہر کا پیالہ دے دیں جو روایت سے بغاوت کا صلہ مانگے ہے چاند سینے سے لگائے ہے مرا نقش قدم اور سورج مری سانسوں کی صدا مانگے ہے

Hindi

आज फिर दश्त कोई आबला-पा माँगे है ख़ार भी ताज़गी-ए-रंग-ए-हिना माँगे है ज़ब्त-ए-ग़म दस्तरस-ए-आह-ए-रसा माँगे है ये अँधेरा तिरे 'आरिज़ की ज़िया माँगे है जाँ-दही तिश्ना-लबी आबला-पाई बे-सूद दश्त-ए-ग़ुर्बत तो कुछ इस के भी सिवा माँगे है फुंक रहा है ग़म-ए-हस्ती से वजूद-ए-इंसाँ ज़िंदगी अब तिरे दामन की हवा माँगे है आप चुपके से उसे ज़हर का प्याला दे दें जो रिवायत से बग़ावत का सिला माँगे है चाँद सीने से लगाए है मिरा नक़्श-ए-क़दम और सूरज मिरी साँसों की सदा माँगे है

aaj phir dasht koī ābla-pā māñge hai
Bakhtiyar Ziya
Bakhtiyar Ziya
Bakhtiyar Ziya
poet18 quotes

More by Bakhtiyar Ziya

View all →
Quote
"nikhat-o-rang na mausam ki havaa Thahri hai gul ki qismat mein ba-har-haal fanaa Thahri hai zakhm-e-dil khil uThe hanste hue phulon ki tarah ek lamhe ko jahaan baad-e-sabaa Thahri hai maut ko kahiye ilaaj-e-gham-e-hasti lekin zindagi kaun se jurmon ki sazaa Thahri hai aur mansur koi mashhad-e-hasti mein na thaa laaeq-e-daar jo ik meri anaa Thahri hai husn-e-mukhtaar hai har baat ravaa hai is ko fitrat-e-ishq to paaband-e-vafaa Thahri hai koi naghma koi jhankaar koi hosh-rubaa dil hi bahlaa lein tabiat jo zaraa Thahri hai"
Bakhtiyar ZiyaBakhtiyar Ziya
Quote
"na puchho vajh meri chashm-e-tar ki miyaan phir gir gai divaar ghar ki ye maanaa dhul gayaa suraj saron se mire aangan ki dhuup ab tak na sar ki jabin tar khushk-lab talvon mein chhaale yahi rudaad hai apne safar ki badi neki izaafi masale hain hukumat hai dilon par sirf Dar ki gumaanon kaa muqaddar hai bhaTaktaa yaqin ne har muhim duniyaa ki sar ki na saayaa hai na shaakhon mein samar hain zarurat kyaa hai ab sukhe shajar ki jhulasti dhuup baarish sard raatein ba-har-surat 'ziyaa' ham ne basar ki"
Bakhtiyar ZiyaBakhtiyar Ziya
Quote
"koi khadsha hai na tufaan balaa kuchh bhi nahin ab na ghamza hai na andaaz-o-adaa kuchh bhi nahin ishq kahte hain kise husn hai kyaa kuchh bhi nahin meri aankhein tiri surat ke sivaa kuchh bhi nahin kab se viraan paDi hai mire dil ki duniyaa koi naghma kisi paael ki sadaa kuchh bhi nahin zahr se kam nahin ye saaghar-e-mai mere liye tu nahin hai to ye mausam ye fazaa kuchh bhi nahin tere chehre pe qayaamat hai hayaa ki surkhi rang-e-gul rang-e-shafaq rang-e-hinaa kuchh bhi nahin"
Bakhtiyar ZiyaBakhtiyar Ziya

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui