SHAWORDS

aaj yaadon ne ajab rang bikhere dil mein — Abdur Rauf Urooj

"aaj yaadon ne ajab rang bikhere dil mein muskuraate hain sar-e-shaam savere dil mein ye tabassum kaa ujaalaa ye nigaahon ki sahar log yuun bhi to chhupaate hain andhere dil mein surat-e-baad-e-sabaa qaafila-e-yaad aayaa zakhm-dar-zakhm khile phuul se mere dil mein yaas ki raat kaTi aas kaa suraj chamkaa phir bhi chamke na kisi roz savere dil mein ik miri vahshat-e-be-naam pe is tarah na soch kitni baatein hain jo khaTki nahin tere dil mein dhyaan ki shama ki lau tez bhi kar dete hain aksar auqaat tiri yaad ke phere dil mein na mili fursat-e-aasaaish-e-taabir-e-uruj ek muddat se hain khvaabon ke basere dil mein"
Urdu

آج یادوں نے عجب رنگ بکھیرے دل میں مسکراتے ہیں سر شام سویرے دل میں یہ تبسم کا اجالا یہ نگاہوں کی سحر لوگ یوں بھی تو چھپاتے ہیں اندھیرے دل میں صورت باد صبا قافلۂ یاد آیا زخم در زخم کھلے پھول سے میرے دل میں یاس کی رات کٹی آس کا سورج چمکا پھر بھی چمکے نہ کسی روز سویرے دل میں اک مری وحشت بے نام پہ اس طرح نہ سوچ کتنی باتیں ہیں جو کھٹکی نہیں تیرے دل میں دھیان کی شمع کی لو تیز بھی کر دیتے ہیں اکثر اوقات تری یاد کے پھیرے دل میں نہ ملی فرصت آسائش تعبیر عروج ایک مدت سے ہیں خوابوں کے بسیرے دل میں

Hindi

आज यादों ने अजब रंग बिखेरे दिल में मुस्कुराते हैं सर-ए-शाम सवेरे दिल में ये तबस्सुम का उजाला ये निगाहों की सहर लोग यूँ भी तो छुपाते हैं अंधेरे दिल में सूरत-ए-बाद-ए-सबा क़ाफ़िला-ए-याद आया ज़ख़्म-दर-ज़ख़्म खिले फूल से मेरे दिल में यास की रात कटी आस का सूरज चमका फिर भी चमके न किसी रोज़ सवेरे दिल में इक मिरी वहशत-ए-बे-नाम पे इस तरह न सोच कितनी बातें हैं जो खटकी नहीं तेरे दिल में ध्यान की शम्अ की लौ तेज़ भी कर देते हैं अक्सर औक़ात तिरी याद के फेरे दिल में न मिली फ़ुर्सत-ए-आसाइश-ए-ताबीर-ए-उरूज एक मुद्दत से हैं ख़्वाबों के बसेरे दिल में

aaj yādoñ ne ajab rañg bikhere dil meñ
Abdur Rauf Urooj
Abdur Rauf Urooj
Abdur Rauf Urooj
poet20 quotes

More by Abdur Rauf Urooj

View all →
Quote
"na jaane kyaa miri vahshat ne khvaab dekhaa hai tamaam shahr pe raaton kaa sakht pahraa hai khud aaj apni lakiron mein DhunDhtaa hai panaah vo ek haath jo taqdir ko badaltaa hai ma’ishaton ke jahannum mein jal rahe hain badan jahaan mein ruuh ki aasudgi kaa charchaa hai kisi ko sirf shagufe kisi ko sirf sharar na jaane ab ke bahaaron kaa faiz kaisaa hai nahin hai ham mein sulaimaan koi magar ham se zamaana qaaf ki pariyon ki baat kartaa hai kuchh ab ke aur bhi zakhmon ki aag tez hui 'uruj' un ke tabassum mein zahr kaisaa hai"
Abdur Rauf UroojAbdur Rauf Urooj
Quote
"chaand se pyaar sitaaron se shanaasaai bhi ham ne dekhi hai gham-e-dost ki rusvaai bhi jalva-e-shahr-e-nigaar aur nikhar aur sanvar ham mein divaane bhi maujud hain saudaai bhi jalva-e-shahr-e-nigaar aur nikhar aur sanvar ham mein divaane bhi maujud hain saudaai bhi zehn mein yuun tiri yaadon ke nashe lahraae ban gayaa giit sukut-e-shab-e-tanhaai bhi aao phir lahja-e-gul mein koi afsaana kahein salb hoti hai kahin quvvat-e-goyaai bhi ai gham-e-dost tiraa kaise buraa chaaheinge jin se dekhi na gai ghair ki rusvaai bhi hai vahi qaafila-e-fikr-o-nazar aur 'uruj' zindagi shaah-nashinon se utar aai bhi"
Abdur Rauf UroojAbdur Rauf Urooj
Quote
"ba-qadr-e-did na the teri anjuman ke charaagh miri nigaah farozaan hui hai ban ke charaagh hazaar baad-e-havaadis hazaar sarsar-e-gham jalaa rahaa huun magar azmat-e-chaman ke charaagh nuqush-e-shahr-e-nigaaraan ubhaarte hi rahe mire junun ke ujaale tiri lagan ke charaagh savaad-e-asr mein fardaa ki taabnaaki hai bujhaa diye gae andesha-e-kuhan ke charaagh hujum-e-gham mein huaa thaa ye kaun naghma-saraa jali hai tirgi-e-shaam dard ban ke charaagh na baad-e-dasht-o-bayaabaan na shaam-e-ranj-o-balaa lahu se apne jalaate hain ham-vatan ke charaagh jilau mein taabish-e-qindil-e-aagahi le kar bujhaa diye hain mohabbat ne ahrman ke charaagh zamaana shaam-e-balaa se savaal kartaa hai kidhar gae vo tire daur-e-pur-fitan ke charaagh sharaar-e-nutq huaa sarf-e-har-khayaal 'uruj' jale to bujh na sake shokhi-e-sukhan ke charaagh"
Abdur Rauf UroojAbdur Rauf Urooj
Quote
"chand paaband-e-salaasil hue aazaad ab ke jaane divaanon pe kyaa aaegi uftaad ab ke jin ki yak-jehti-e-ehsaas thi aain-e-junun hain vahi log to majmua-e-azdaad ab ke yuun uDaayaa gayaa arbaab-e-mohabbat kaa mazaaq ho gae ham havas-e-naam mein barbaad ab ke ham ne bedaari-e-tahrik-e-masarrat ke liye har rag-e-jaan pe rakhaa dashna-e-fariyaad ab ke in fazaaon mein bujhe saikDon khurshid magar khair se chup hain shab-e-marg ke naqqaad ab ke aur to kuchh na rahaa ahl-e-vafaa ke bas mein nazr ko laae hain bhuli hui ik yaad ab ke der se soch mein hai ishrat-e-parvez 'uruj' jaane kis tarh uThe tesha-e-farhaad ab ke"
Abdur Rauf UroojAbdur Rauf Urooj
Quote
"nazar mein loch na haijaan manzaron mein hai 'urus-e-subh abhi shab ki chaadaron mein hai na soch taajvaron kaa maaal kyaa hogaa ye dekh tesha-ba-kaf kaun pattharon mein hai bhaDak rahi hain kinaaron ki bastiyaan ab tak balaa ki aag hamaare samundaron mein hai nigaar-khaana-e-maa'ni se sarsari na guzar lahu kaa rang bhi do-chaar manzaron mein hai sukut-e-sang ko aasaaish-e-bayaan de de 'ajab kamaal-e-hunar aaina-garon mein hai gali ke moD pe kis ne diyaa jalaayaa thaa usi ki raushni taarik se gharon mein hai nigal na jaaein use bhi ye kaj-kulaah 'uruj' zaraa si aan jo baaqi sukhanvaron mein hai"
Abdur Rauf UroojAbdur Rauf Urooj

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari