SHAWORDS

aankh ke goshe ho kar nam aabaad hue — Ali Qaisar

HomeAli QaisarGhazal
"aankh ke goshe ho kar nam aabaad hue dil ki basti ke sab gham aabaad hue jaise ik dariyaa chume sahraaon ko tere lams pe aise ham aabaad hue kis ne chhu kar ham ko hosh dilaayaa hai kis ke chhune se phir ham aabaad hue divaarein darvaaze aur ham divaane sun kar paael ki chham-chham aabaad hue dil ne teraa naam liyaa sarshaari mein saanson ke viraan ridham aabaad hue"
Urdu

آنکھ کے گوشے ہو کر نم آباد ہوئے دل کی بستی کے سب غم آباد ہوئے جیسے اک دریا چومے صحراؤں کو تیرے لمس پہ ایسے ہم آباد ہوئے کس نے چھو کر ہم کو ہوش دلایا ہے کس کے چھونے سے پھر ہم آباد ہوئے دیواریں دروازے اور ہم دیوانے سن کر پائل کی چھم چھم آباد ہوئے دل نے تیرا نام لیا سرشاری میں سانسوں کے ویران ردھم آباد ہوئے

Hindi

आँख के गोशे हो कर नम आबाद हुए दिल की बस्ती के सब ग़म आबाद हुए जैसे इक दरिया चूमे सहराओं को तेरे लम्स पे ऐसे हम आबाद हुए किस ने छू कर हम को होश दिलाया है किस के छूने से फिर हम आबाद हुए दीवारें दरवाज़े और हम दीवाने सुन कर पायल की छम-छम आबाद हुए दिल ने तेरा नाम लिया सरशारी में साँसों के वीरान रिधम आबाद हुए

aañkh ke goshe ho kar nam ābād hue
Ali Qaisar
Ali Qaisar
Ali Qaisar
poet11 quotes

More by Ali Qaisar

View all →
Quote
"main ne teri yaad bhulaa di shahzaadi taaj-mahal ko aag lagaa di shahzaadi mel dilon kaa kar ke apne maalik ne beach mein ik divaar uThaa di shahzaadi ham bhi khuub hanse duniyaa ki haalat par duniyaa ne bhi khuub sazaa di shahzaadi tere joban ne meri in aankhon ki saari punji kharch karaa di shahzaadi tujh ko kho kar khaanaa piinaa chhoD diyaa hijr ne meri bhuuk miTaa di shahzaadi jhuriyaan kyon chehre par hain kyaa batlaaun ishq ne meri umr ghaTaa di shahzaadi candle par jab aan giraa ik parvaana main ne cigarette raakh banaa di shahzaadi har surat ab tujh se duur hi rahnaa hai teraa ishq miri barbaadi shahzaadi"
Ali QaisarAli Qaisar
Quote
"darakht mujh ko nai kahaani sunaa rahe hain ki ye parinde gae dinon mein khudaa rahe hain main kuchh dinon mein khudaa se milne ko jaa rahaa huun mujhe lakiron ko paDhne vaale bataa rahe hain tamaam shahron ko dushmanon ne bachaa liyaa hai mire sipaahi bas apni jaanein bachaa rahe hain sisak rahe hain tamaam vaada nibhaane vaale ki ham ye kaisi aziyyaton ko nibhaa rahe hain kisi ne khiDki ko kholnaa hai to dekhnaa hai so ham gali mein gulon ke jhurmuT lagaa rahe hain bichhaDne vaale ne kab palaT kar ye dekhnaa hai ki gham badan ke tamaam hisson ko khaa rahe hain ye peD vaaqif hain in fusun-khez khushbuon se so ehtiraaman tamaam sar ko jhukaa rahe hain"
Ali QaisarAli Qaisar
Quote
"vo koi jaadui takhliq nazar aati hai duur se bhi mujhe nazdik nazar aati hai jis se khiltaa hai bayaabaan mein gulon kaa mausam husn-e-jaanaan mein vo tahrik nazar aati hai hai mohabbat mein ujaalaa hi ujaalaa lekin ye guphaa duur se taarik nazar aati hai aap kyon hijr ke topic pe pareshaan ho ji kyaa kahin par koi tashkik nazar aati hai nazm ho yaa ho ghazal yaa koi pyaari tasvir nasl-e-gauhar hi ki takhliq nazar aati hai aaj-kal main bhi pareshaan huun mire paper hain aaj-kal vo bhi bahut weak nazar aati hai haath phailaaun to aataa hai nazar haal miraa haath baandhun to mujhe bhiik nazar aati hai aur ab kuchh bhi nahin Thiik se dikhtaa mujh ko yaar lekin tu mujhe Thiik nazar aati hai"
Ali QaisarAli Qaisar

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud