Quote
"ye mahakte hue jazbaat ye ashaar ke phuul kaash kaam aaein kisi ke mere afkaar ke phuul mere dil ne jo sajaa rakhe hain zakhmon ki tarah khil na paae kisi gulshan mein vo meaar ke phuul sunghti hain unhein khush ho ke bahishti hurein sarfaroshon ke badan par hain jo talvaar ke phuul ye mere ashk-e-nadaamat hain khudaa ko mahbub duniyaa vaalon ki nigaahon mein hain be-kaar ke phuul mujh ko tohfe mein ataa us ne kiye hain 'haafiz' kabhi inkaar ke kaanTe kabhi iqraar ke phuul"
