"teraa vo karam teri jafaa yaad hai ab tak sab kuchh mujhe ai jaan-e-hayaa yaad hai ab tak aayaa thaa zabaan par miri kyon harf-e-tamannaa kyon ho gayaa thaa koi khafaa yaad hai ab tak shaanon pe mire vasl ki shab khaas adaa se rahti thi tiri zulf-e-rasaa yaad hai ab tak kahne pe mire aao mire paas to baiTho vo un ke bigaDne ki adaa yaad hai ab tak aa jaao agar tum to tumhin se kabhi puchhun kyaa bhuul gayaa huun mujhe kyaa yaad hai ab tak barsi thi jo paimaana uThaate hi hamaare kyaa tum ko bhi vo mast ghaTaa yaad hai ab tak rahtaa thaa mire haath mein jo dast-e-hinaai us haath ki khushbu-e-hinaa yaad hai ab tak muddat hui us ko ki miri khalvat-e-shab mein paighaam jo laai thi sabaa yaad hai ab tak taaid mein jis ke the dhaDakte hue do dil kyaa tum ko vo paimaan-e-vafaa yaad hai ab tak thaa 'soz' sar-e-mai-kada jab koi ham-aaghosh vo sohbat-e-rangin ba-khudaa yaad hai ab tak"
aankh mein aansu labon par aah dil mein dard hai — Sardar Khan Soz
"aankh mein aansu labon par aah dil mein dard hai tere saudaai ki nazron mein to duniyaa gard hai ik jhalak dekhi thi us ne un ki auj-e-charkh par rashk se mahtaab kaa chehra abhi tak zard hai khush-nasibaan-e-rah-e-ulfat to manzil paa gae apne hisse mein jo aai vo safar ki gard hai meri barbaadi ne un ko aur rusvaa kar diyaa ab to duniyaa kah rahi hai vo baDaa be-dard hai ibtidaa-e-ishq ki vo garmi-e-lazzat kahaan ik zamaana ho gayaa ye aag bilkul sard hai us ki chhoDo tum na bhaTko mulkon mulkon pyaar mein 'soz' to rusvaa hai divaana hai kucha-gard hai"
آنکھ میں آنسو لبوں پر آہ دل میں درد ہے تیرے سودائی کی نظروں میں تو دنیا گرد ہے اک جھلک دیکھی تھی اس نے ان کی اوج چرخ پر رشک سے مہتاب کا چہرہ ابھی تک زرد ہے خوش نصیبان رہ الفت تو منزل پا گئے اپنے حصے میں جو آئی وہ سفر کی گرد ہے میری بربادی نے ان کو اور رسوا کر دیا اب تو دنیا کہہ رہی ہے وہ بڑا بے درد ہے ابتدائے عشق کی وہ گرمیٔ لذت کہاں اک زمانہ ہو گیا یہ آگ بالکل سرد ہے اس کی چھوڑو تم نہ بھٹکو ملکوں ملکوں پیار میں سوزؔ تو رسوا ہے دیوانہ ہے کوچہ گرد ہے
आँख में आँसू लबों पर आह दिल में दर्द है तेरे सौदाई की नज़रों में तो दुनिया गर्द है इक झलक देखी थी उस ने उन की औज-ए-चर्ख़ पर रश्क से महताब का चेहरा अभी तक ज़र्द है ख़ुश-नसीबान-ए-रह-ए-उल्फ़त तो मंज़िल पा गए अपने हिस्से में जो आई वो सफ़र की गर्द है मेरी बर्बादी ने उन को और रुस्वा कर दिया अब तो दुनिया कह रही है वो बड़ा बे-दर्द है इब्तिदा-ए-इश्क़ की वो गर्मी-ए-लज़्ज़त कहाँ इक ज़माना हो गया ये आग बिल्कुल सर्द है उस की छोड़ो तुम न भटको मुल्कों मुल्कों प्यार में 'सोज़' तो रुस्वा है दीवाना है कूचा-गर्द है

More by Sardar Khan Soz
View all →"mere afkaar-o-khayaalaat kaa mehvar tum ho al-gharaz meri har ik baat kaa mehvar tum ho mere din-raat hain mansub tumhin se ba-khudaa din kaa mehvar bhi ho tum raat kaa mehvar tum ho kyon na maqbul-e-zamaana hon hikaayaat miri meri taabinda hikaayaat kaa mehvar tum ho ye haqiqat vahi samjheinge jo hain ahl-e-nazar mere sab kashf-o-karaamaat kaa mehvar tum ho kyon na pur-soz hon ashaar ghazal ke meri mere ashaar miri zaat kaa mehvar tum ho"
"marhale aasaan saare ho gae tum hamaare ham tumhaare ho gae aap se milnaa khushi ki baat hai aap to aankhon ke taare ho gae miT gaiin mahrumiyaan aur faasle sab se chhuT kar vo hamaare ho gae aap ke aate hi taariki gai dil mein raushan chaand taare ho gae aai jab girdaab mein kashti miri duur nazron se kinaare ho gae ashk the aankhon mein the jab tak miri aa ke palkon par sharaare ho gae vo jo aae to miri qismat ke 'soz' kis qadar unche sitaare ho gae"
"ye koi baat hui mil ke judaa ho jaanaa kaash aae tumhein paaband-e-vafaa ho jaanaa is tasavvur hi se dil kaanp rahaa hai meraa mere mahbub kaa aur mujh se judaa ho jaanaa ye sar-e-arsh-e-muaallaa bhi pahunch jaae to kyaa nahin mumkin kabhi insaan kaa khudaa ho jaanaa ahl-e-mahfil ne to samjhaa thaa haqiqat is ko ik dikhaavaa thaa tiraa mujh se khafaa ho jaanaa aarzu hai miri taqdir mein likkhaa hotaa rahguzar mein tiri naqsh-e-kaf-e-paa ho jaanaa haasil-e-umr-e-ravaan is ke sivaa kuchh bhi nahin 'soz' us jaan-e-tamannaa pe fidaa jaanaa"
"laakh ho maazi daaman-gir mustaqbil ki dekh lakir sab se mohabbat karnaa siikh kah ke gayaa kal ek faqir sab allaah ke bande hain koi nahin duniyaa mein haqir ahd-e-javaani biit gayaa kar ab jiine ki tadbir kohkan ab bhi zinda hai laa na sakaa jo ju-e-shir kaise main us ko sher kahun jis mein na ho koi taasir dilkash hain kirdaar ye sab lailaa ho shirin yaa hiir apni qismat aap banaa kyuun hai gilaa-sanj-e-taqdir soz-e-darun bhi neamat hai naam usi kaa hai iksir 'soz' gham-e-jaanaan hi to hai ahl-e-mohabbat ki jaagir"
"mohabbat karne vaale kab kisi kaa naam lete hain zabaan khaamosh rahti hai nazar se kaam lete hain vo kaise log hain yaarab giraate hain jo insaan ko yaqinan vo farishte hain jo baDh kar thaam lete hain taajjub-khez hai dastur yaarab teri duniyaa kaa miTaate hain jo duniyaa ko vahi inaam lete hain yahi apni ibaadat hai yahi hai bandagi apni tumhaaraa zikr karte hain tumhaaraa naam lete hain jafaaein hain adaavat hai sitam hai bevafaai hai khushi se apne sar ham baDh ke har ilzaam lete hain kahaan kaa nashsha mai kaisi na maikhaane na mai-noshi tiri aankhon ke paimaanon se bhar kar jaam lete hain tabaahi kaa gila tum se nahin to phir karun kis se miri ulfat ke afsaane tumhaaraa naam lete hain"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"