SHAWORDS

aankh se ho ke ashk tak jaaein — Nayan H. Desai

HomeNayan H. DesaiGhazal
"aankh se ho ke ashk tak jaaein gham ne sochaa chalo bahak jaaein dauDne ko to sab hi dauD paDe aur ye Dar bhi thaa na thak jaaein subh hote hi TuuT jaate hain kaash ye khvaab raat tak jaaein in havaaon mein yaad hai un ki in ko chhu kar chalo mahak jaaein"
Urdu

آنکھ سے ہو کے اشک تک جائیں غم نے سوچا چلو بہک جائیں دوڑنے کو تو سب ہی دوڑ پڑے اور یہ ڈر بھی تھا نہ تھک جائیں صبح ہوتے ہی ٹوٹ جاتے ہیں کاش یہ خواب رات تک جائیں ان ہواؤں میں یاد ہے ان کی ان کو چھو کر چلو مہک جائیں

Hindi

आँख से हो के अश्क तक जाएँ ग़म ने सोचा चलो बहक जाएँ दौड़ने को तो सब ही दौड़ पड़े और ये डर भी था न थक जाएँ सुब्ह होते ही टूट जाते हैं काश ये ख़्वाब रात तक जाएँ इन हवाओं में याद है उन की इन को छू कर चलो महक जाएँ

aañkh se ho ke ashk tak jaa.eñ
Nayan H. Desai
Nayan H. Desai
Nayan H. Desai
poet8 quotes

More by Nayan H. Desai

View all →

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer