SHAWORDS

aankhon aankhon mein ishaare ho gae — Alam Faizabadi

HomeAlam FaizabadiGhazal
"aankhon aankhon mein ishaare ho gae ham tumhaare tum hamaare ho gae ham samajhte the ki ho jaaeinge paar vaae qismat tez dhaare ho gae rahte auron ke sahaare kab talak khud hi ham apne sahaare ho gae jab bhi aaya koi vaqt-e-imtihaan dost jitne the kinaare ho gae chaDh ke nazron mein hue the sar-buland gir ke nazron se bichaare ho gae ek do kaa zikr kyaa 'aalam' yahaan kitnon hi ke vaare-nyaare ho gae"
Urdu

آنکھوں آنکھوں میں اشارے ہو گئے ہم تمہارے تم ہمارے ہو گئے ہم سمجھتے تھے کہ ہو جائیں گے پار وائے قسمت تیز دھارے ہو گئے رہتے اوروں کے سہارے کب تلک خود ہی ہم اپنے سہارے ہو گئے جب بھی آیا کوئی وقت امتحان دوست جتنے تھے کنارے ہو گئے چڑھ کے نظروں میں ہوئے تھے سر بلند گر کے نظروں سے بچارے ہو گئے ایک دو کا ذکر کیا عالمؔ یہاں کتنوں ہی کے وارے نیارے ہو گئے

Hindi

आँखों आँखों में इशारे हो गए हम तुम्हारे तुम हमारे हो गए हम समझते थे कि हो जाएँगे पार वाए क़िस्मत तेज़ धारे हो गए रहते औरों के सहारे कब तलक ख़ुद ही हम अपने सहारे हो गए जब भी आया कोई वक़्त-ए-इम्तिहान दोस्त जितने थे किनारे हो गए चढ़ के नज़रों में हुए थे सर-बुलंद गिर के नज़रों से बिचारे हो गए एक दो का ज़िक्र क्या 'आलम' यहाँ कितनों ही के वारे-न्यारे हो गए

āñkhoñ āñkhoñ meñ ishāre ho ga.e
Alam Faizabadi
Alam Faizabadi
Alam Faizabadi
poet8 quotes

More by Alam Faizabadi

View all →
Quote
"dard-e-dil ko jo main is dil kaa hi hissa kar luun dard kaa dard miTe dil ko bhi achchhaa kar luun jab ki khud hi mein mujhe us ki jhalak milti hai hijr mein subh talak khud ko hi sajda kar luun teri duniyaa mein bahut kaam hain hone yaa-rab main akelaa huun akelaa hi main kyaa kyaa kar luun juujh saktaa huun zamaane ki kisi mushkil se shaktiyaan apni baDhaa kar jo main ik-jaa kar luun apni ghazlon ko nayaa rang diyaa hai main ne hijr mein us ke main is rang ko chokhaa kar luun paaTh ulfat kaa paDhaanaa hai mujhe duniyaa ko tu jo de saath to main kaam ye puuraa kar luun gham-e-jaanaan bhi miraa aur gham-e-dauraan bhi miraa phir bhalaa kyon main kisi gham kaa mudaavaa kar luun kaun detaa hai yahaan saath kisi kaa 'aalam' kis ko hamraaz banaa luun kise apnaa kar luun"
Alam FaizabadiAlam Faizabadi
Quote
"lazzat-e-dard kaa kuchh tujh ko pataa hai ki nahin naasehaa tu ne kabhi ishq kiyaa hai ki nahin baaton baaton mein na bahlaaiye sach sach kahiye aap ke paas mire dil ki davaa hai ki nahin vo jo rakhte hain use dair-o-haram tak mahdud aa ke dekhein ki yahaan par bhi khudaa hai ki nahin karte phirte hain masihaai jo duniyaa bhar mein haalat-e-dil kaa miri un ko pataa hai ki nahin jab se dekhi hai tiri saanvli surat main ne sochtaa huun ki koi aur khudaa hai ki nahin apni aankhon se pilaai thi kabhi tu ne jo mai nashsha us kaa miri aankhon mein phalaa hai ki nahin vasl ki baat jo karte hain bataaein pahle raat ki raat koi dil mein rahaa hai ki nahin DhunDte phirte hain khud us ko vo divaane se dekho 'aalam' kaa kahin koi pataa hai ki nahin"
Alam FaizabadiAlam Faizabadi
Quote
"khvaab to dekh magar khvaab ki taabir na dekh kis tarah banti bigaDti hai ye taqdir na dekh Dheh na jaae kahin ulfat kaa tiri taaj-mahal is ki buniyaad ko dekh uupri taamir na dekh main ne jo kuchh bhi kiyaa sab tiri shah paa ke kiyaa hashr ke roz faqat meri hi taqsir na dekh us ko paanaa hai to phir toD de saare bandhan raah mein us ki kisi ko bhi anaa-gir na dekh tujh saa zaalim bhi na khaa jaae taras dekh kahin daam mein apne taDaptaa huaa nakhchir na dekh khinch abru ki kamaan aur chalaa tiir pe tiir kitne sinon mein hain paivast tire tiir na dekh ek jhaTke ki to hai baat magar us kaa khayaal mujh ko roke hai ki tu jaanib-e-zanjir na dekh dekh 'aalam' tiraa dil bhi na ulajh jaae kahin is qadar dhyaan se tu zulf-e-girah-gir na dekh"
Alam FaizabadiAlam Faizabadi
Quote
"haal-e-dil yaar ko sunaanaa kyaa ro ke khud us ko bhi rulaanaa kyaa khaa rahe ho qasam javaani ki is javaani kaa hai Thikaanaa kyaa lenaa aaThon pahar tumhaaraa naam saari duniyaa ko bhuul jaanaa kyaa mere dil hi mein jab basaa hai vo phir bhi us ki gali mein jaanaa kyaa aaj hain dost aur kal dushman aise logon kaa dostaana kyaa khul gayaa jab ki bevafaa hai vo phir use aur aazmaanaa kyaa biij bote hain log nafrat ke uTh gayaa pyaar kaa zamaanaa kyaa jin ki yaadon se un ki yaad aae vo jafaaein bhi bhuul jaanaa kyaa gar nahin hain ye khel ulfat ke ruThnaa kyaa hai aur manaanaa kyaa dil mein phir gudgudi lagi uThne fasl-e-gul kaa hai ye zamaanaa kyaa qatl-o-ghaarat hai ashk-baari hai dekhaa jaataa hai ye zamaana kyaa gham-e-dauraan hi kam na thaa ai dil ab gham-e-ishq bhi uThaanaa kyaa khud-bakhud jhuk rahaa hai sar 'aalam' aa gayaa us kaa aastaanaa kyaa"
Alam FaizabadiAlam Faizabadi

More on Maa

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud