"mire badan ko ghusl de ke paak kar diyaa gayaa phir is ke baad mujh ko zer-e-khaak kar diyaa gayaa jahaan pe thoDi der hi sahi vo aate the magar ye kyaa huaa ki khiDkiyon ko lock kar diyaa gayaa sitamgaron ke zulm se huaa ye faaeda hamein ki ham ko har tariqe se be-baak kar diyaa gayaa yahaan pe jhuuT hi kaa bas hai bol-baalaa har taraf hai jis ne haq ki baat ki halaak kar diyaa gayaa zariya ab koi nahin main un ko kaise khat likhun ki duur ghar ke paas se hai Daak kar diyaa gayaa bahut dinon ke baad dil 'hiraa' kahin lagaa magar phir ek hi ghaDi mein dil ko chaak kar diyaa gayaa"
aankhon se ho rahi hai jo barsaat hi to hai — Adil Hera
"aankhon se ho rahi hai jo barsaat hi to hai mujh par kisi ki chashm-e-inaayaat hi to hai jo rafta-rafta utraa hai dil ke makaan mein koi nahin vo sirf tiri zaat hi to hai sab pesh aa rahe hain khulus-o-vafaa ke saath ye zindagi ki meri baDi baat hi to hai toDaa na ham ne sabr kaa daaman isi liye lambi hai gham ki raat magar raat hi to hai ye jhiil ye pahaaD ye jharne ye aabshaar jo kuchh hai sab khudaa ki inaayaat hi to hai be-ikhtiyaari aur ye be-taabiyaan 'hiraa' ye sab mohabbaton ki shuruaat hi to hai"
آنکھوں سے ہو رہی ہے جو برسات ہی تو ہے مجھ پر کسی کی چشم عنایات ہی تو ہے جو رفتہ رفتہ اترا ہے دل کے مکان میں کوئی نہیں وہ صرف تری ذات ہی تو ہے سب پیش آ رہے ہیں خلوص و وفا کے ساتھ یہ زندگی کی میری بڑی بات ہی تو ہے توڑا نہ ہم نے صبر کا دامن اسی لیے لمبی ہے غم کی رات مگر رات ہی تو ہے یہ جھیل یہ پہاڑ یہ جھرنے یہ آبشار جو کچھ ہے سب خدا کی عنایات ہی تو ہے بے اختیاری اور یہ بے تابیاں حراؔ یہ سب محبتوں کی شروعات ہی تو ہے
आँखों से हो रही है जो बरसात ही तो है मुझ पर किसी की चश्म-ए-इनायात ही तो है जो रफ़्ता-रफ़्ता उतरा है दिल के मकान में कोई नहीं वो सिर्फ़ तिरी ज़ात ही तो है सब पेश आ रहे हैं ख़ुलूस-ओ-वफ़ा के साथ ये ज़िंदगी की मेरी बड़ी बात ही तो है तोड़ा न हम ने सब्र का दामन इसी लिए लम्बी है ग़म की रात मगर रात ही तो है ये झील ये पहाड़ ये झरने ये आबशार जो कुछ है सब ख़ुदा की इनायात ही तो है बे-इख़्तियारी और ये बे-ताबियाँ 'हिरा' ये सब मोहब्बतों की शुरूआ'त ही तो है

More by Adil Hera
View all →"ai dil-e-naadaan na koi tu sunahre khvaab dekh band hotaa jaa rahaa hai ab vafaa kaa baab dekh un ke aane ki khabar baad-e-sabaa le aai hai ho rahaa hai dil miraa betaab pe betaab dekh chaand ke jalve bhi tujh ko aaeinge phike nazar ik nazar pahle tu us kaa chehra-e-zartaab dekh kyaa zaraa saa vaqt badlaa sab ne aankhein pher liin bebasi par muskuraate hain mire ahbaab dekh bhuuk kahti hai ki kar le aur thoDi koshishein aur thakan kahti hai chal ab chal ke koi khvaab dekh kis qadar karne lage ahl-e-khirad naadaaniyaan vo badal baiThe hain apnaa huliya-e-aadaab dekh ab to saahil bhi nazar aataa nahin hai duur tak bach nikalne ke 'hiraa' manjhdaar se asbaab dekh"
"har khushi hisse se mere jaise rukhsat ho gai mustaqil sahnaa ghamon ko meri aadat ho gai chaand taaron ki ziyaa bhi kam nazar aane lagi aap ke chehre ki jab mujh ko ziyaarat ho gai ab patangon ki tarah se niind meri ban gai mujh ko jab se shaaeri karne ki aadat ho gai jo muaafiq thaa miraa vo naa-muvaafiq ban gayaa kyaa zamaane mein zaraa si meri shohrat ho gai har koi us ko nigaah-e-qadr se dekhe yahaan paas jis ke thoDi daulat aur shohrat ho gai titliyon ko phuul ki jitni tamanna hai 'hiraa' us se bhi baDh kar mujhe teri zarurat ho gai"
"ujDe hue dayaar kaa matlab samajh gae tum kaise intizaar kaa matlab samajh gae jo ajnabi the ishq-o-mohabbat ke lafz se sad-shukr hai vo yaar kaa matlab samajh gae phir khul ke apne ishq kaa izhaar kar diyaa jab vo bhi haal-e-zaar kaa matlab samajh gae hairat mein huun main dekh ke ye aaj dosto vo kaise dil-figaar kaa matlab samajh gae thoDi bahut idhar bhi hain kuchh be-qaraariyaan jo dil ke taar-taar kaa matlab samajh gae us ko bhi meri yaad ne majbur kar diyaa jab mausam-e-bahaar kaa matlab samajh gae nazrein jhukaae rakhnaa 'hiraa' un ke ru-ba-ru vo bhi tumhaare pyaar kaa matlab samajh gae"
"aaj kyon be-hijaab hai re tu kis ke dil kaa azaab hai re tu dekhne vaale tujh ko bol uThe ek chaDhtaa shabaab hai re tu dekhtaa hai tujhi ko har koi jaise taaza gulaab hai re tu qatl kyaa phir kisi kaa karnaa hai kis liye be-naqaab hai re tu tujh mein Duubaa to rah gayaa Duubaa kitni achchhi sharaab hai re tu umr-bhar jo na ho sake haasil ek aisaa saraab hai re tu tujh pe 'aadil' hai is liye shaidaa meraa ik intikhaab hai re tu"
"khushi zaruri nahin sirf zindagi ke liye mataa-e-gham bhi zaruri hai aadmi ke liye na hogaa raaegaan us shakhs kaa koi sajda jo dil se sar ko jhukaataa hai bandagi ke liye ye kaisi aag lagaai hai nafraton ki yahaan taras rahaa hai har ik shakhs ik hansi ke liye pata nahin tumhein ye kaam kitnaa mushkil hai rah-e-vafaa mein nikal aae aashiqi ke liye tu be-naqaab sar-e-bazm saaqiyaa aa jaa taras rahi hai miri aankh mai-kashi ke liye tumhaari yaad ki khushbu mili mujhe har pal uThaayaa jab bhi qalam main ne shaaeri ke liye had-e-nigaah yahaan dhuup hi kaa sahraa hai 'hiraa' bataao kahaan jaaein tishnagi ke liye"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"