Quote
"baraste roz patthar dekhtaa huun yahi ronaa main ghar ghar dekhtaa huun nikal kar khud se baahar dekhtaa huun samundar apne andar dekhtaa huun upaj dugnaa hai tujh se ab ke meraa main tere saath mil kar dekhtaa huun nazar aataa hai manzar aur koi jagah apni se uTh kar dekhtaa huun hisaab apnaa yahaan sab de rahe hain bapaa har samt mahshar dekhtaa huun jise tum log behtar kah rahe ho vahi abtar se abtar dekhtaa huun alag andaaz meraa zaaviya bhi tiri duniyaa se haT kar dekhtaa huun ghani hai asl ashiyaa aur hi kuchh tumhaare khair ko shar dekhtaa huun"
