Quote
"chhoD kar dasht-e-junun mere nagar mein aayaa qais sadqe tire ustaad ke ghar mein aayaa kyaa tiraa hijr miri raahguzar mein aayaa dard uTh uTh ke bataataa hai jigar mein aayaa apne gham ko na mire dil se kahin jaane de baDi muddat se ye mehmaan hai ghar mein aayaa us ne bas itnaa kahaa aa mire siine se lag phir to jis tarh miraa haath kamar mein aayaa laakh bachtaa huun magar us se bachaa jaataa nahin dard kahtaa hai tiraa le main jigar mein aayaa lazzat-e-gham tire sadqe ki sivaa gham ke liye dusraa ek jigar mere jigar mein aayaa mere marne kaa bhi sunte nahin vo kahte hain kaun kambakht hai ye kaise khabar mein aayaa aur suno jalte hain jannat mein bhi vo huron se DhunDte phirte hain bal kis ki kamar mein aayaa baa-khudaa tujh ko sukhan hi se khudaa kar dungaa mo'jiza ye bhi agar mere hunar mein aayaa"
