SHAWORDS

kyon hamesha hamin kalaam karein — Haris Ali

HomeHaris AliGhazal
"kyon hamesha hamin kalaam karein kabhi vo bhi du'aa-salaam karein kyaa ye sunne ko ham kalaam karein aap ko kyaa hai apnaa kaam karein yuun na rah rah ke meraa kaam karein ik nazar aur bas tamaam karein jaaiye rind aur tark-e-sharaab shaikh ji kuchh nayaa haraam karein kaam baaton pe kar ke dekh liyaa kyon na paighaambar pe kaam karein haal puchhaa jo ham ne to bole aap ko kyaa hai apnaa kaam karein qais bhi aa ke dasht mein ham se puchhtaa hai kahaan qiyaam karein ham vo badnaam hain jinhein 'haaris' khuld se 'shefta' salaam karein"
Urdu

کیوں ہمیشہ ہمیں کلام کریں کبھی وہ بھی دعا سلام کریں کیا یہ سننے کو ہم کلام کریں آپ کو کیا ہے اپنا کام کریں یوں نہ رہ رہ کے میرا کام کریں اک نظر اور بس تمام کریں جائیے رند اور ترک شراب شیخ جی کچھ نیا حرام کریں کام باتوں پہ کر کے دیکھ لیا کیوں نہ پیغامبر پہ کام کریں حال پوچھا جو ہم نے تو بولے آپ کو کیا ہے اپنا کام کریں قیس بھی آ کے دشت میں ہم سے پوچھتا ہے کہاں قیام کریں ہم وہ بدنام ہیں جنہیں حارثؔ خلد سے شیفتہؔ سلام کریں

Hindi

क्यों हमेशा हमीं कलाम करें कभी वो भी दु'आ-सलाम करें क्या ये सुनने को हम कलाम करें आप को क्या है अपना काम करें यूँ न रह रह के मेरा काम करें इक नज़र और बस तमाम करें जाइए रिंद और तर्क-ए-शराब शैख़ जी कुछ नया हराम करें काम बातों पे कर के देख लिया क्यों न पैग़ाम्बर पे काम करें हाल पूछा जो हम ने तो बोले आप को क्या है अपना काम करें क़ैस भी आ के दश्त में हम से पूछता है कहाँ क़ियाम करें हम वो बदनाम हैं जिन्हें 'हारिस' ख़ुल्द से 'शेफ़्ता' सलाम करें

kyoñ hamesha hamīñ kalām kareñ
Haris Ali
Haris Ali
Haris Ali
poet13 quotes

More by Haris Ali

View all →
Quote
"chhoD kar dasht-e-junun mere nagar mein aayaa qais sadqe tire ustaad ke ghar mein aayaa kyaa tiraa hijr miri raahguzar mein aayaa dard uTh uTh ke bataataa hai jigar mein aayaa apne gham ko na mire dil se kahin jaane de baDi muddat se ye mehmaan hai ghar mein aayaa us ne bas itnaa kahaa aa mire siine se lag phir to jis tarh miraa haath kamar mein aayaa laakh bachtaa huun magar us se bachaa jaataa nahin dard kahtaa hai tiraa le main jigar mein aayaa lazzat-e-gham tire sadqe ki sivaa gham ke liye dusraa ek jigar mere jigar mein aayaa mere marne kaa bhi sunte nahin vo kahte hain kaun kambakht hai ye kaise khabar mein aayaa aur suno jalte hain jannat mein bhi vo huron se DhunDte phirte hain bal kis ki kamar mein aayaa baa-khudaa tujh ko sukhan hi se khudaa kar dungaa mo'jiza ye bhi agar mere hunar mein aayaa"
Haris AliHaris Ali
Quote
"isi adaa pe sitamgar kaa sar buland huaa nazar vahaan pe uThi dil yahaan pe band huaa khudaa rakhe ik unhi ko taras nahin aayaa raqib tak miri haalat pe dard-mand huaa baDhaa na raah-e-mohabbat pe kaarvaan-e-junun khudaa kaa shukr ki naala miraa buland huaa jo ham na kar sake piiri ne kar diyaa aa kar charaagh-e-husn bujhaa un kaa kaam band huaa sazaa-e-'ishq na kartaa talab main khaatir-e-ghair vo 'umr bhar ke liye un ke dil mein band huaa hamein visaal se matlab unhein visaal se khaar pasand jo thaa hamein un ko naa-pasand huaa ilaahi khair ki 'arsh-e-barin bhi Taap gayaa khayaal-e-hazrat-e-'haaris' 'ajab buland huaa"
Haris AliHaris Ali
Quote
"buri nazron se tab hi ham dekhte hain hamein ye khabar hai vo kam dekhte hain ye kis ne kahaa hai ki kam dekhte hain na tum dekh paao jo ham dekhte hain unhein kyaa khabar jaa chukaa hai kabhi kaa hamaaraa vo ab aa ke dam dekhte hain vo dhamkaa gae marte marte bhi mujh ko tujhe to ham agle janam dekhte hain ai qaasid khud un ko miraa haal kahnaa ziyaada vo sunte hain kam dekhte hain jo puchhi pasandida shai dekhne mein kahaa shauq se teraa gham dekhte hain kabhi ham se munh pherte hain vo apnaa palaT kar kabhi ek dam dekhte hain magan hain vo apne khayaalon mein 'haaris' ye un ki balaa se ki ham dekhte hain"
Haris AliHaris Ali
Quote
"hui bakhshish to nayaa chaand chaDhaayaa ham ne khuld mein ghair ki huron ko phansaayaa ham ne haal-e-dil un ko agar jaa ke sunaayaa ham ne ulTaa barham hue kyon dil ko lagaayaa ham ne kyon banaayaa thaa hamein ek taraf hai ye savaal ik taraf hai ye bharam tum ko banaayaa ham ne hashr kuchh aap ki mahfil nahin banda-parvar jo bigaD kar hamein kahte hain bulaayaa ham ne vasl mein baat thi das boson ki lekin us ne sharm mein ik hi liyaa aur baqaayaa ham ne husn aankhon mein utar aayaa hai har chand us kaa aaine mein bhi jo dekhaa use paayaa ham ne jab paDhi hazrat-e-'haaris' ki ghazal farmaayaa ba-khudaa aisaa sukhanvar nahin paayaa ham ne"
Haris AliHaris Ali
Quote
"laakh aap par shabaab ho kyaa is se faaeda dil hi ko jab na taab ho kyaa is se faaeda manzil agar ai shaikh bil-aakhir bahisht hai kaisaa bhi phir hisaab ho kyaa is se faaeda apnaa yahi savaal ho inkaar-e-vasl kyon un kaa yahi javaab ho kyaa is se faaeda nuqsaan is se kyaa hai jo mahshar mein bakhshe jaaein ham ko agar 'azaab ho kyaa is se faaeda maa'shuq-e-nek-khu na mohabbat mein chaahiye niyyat na jab kharaab ho kyaa is se faaeda kaafi janaab-e-dil ko hain un ki nazar ke tiir chehre pe go naqaab ho kyaa is se faaeda qismat hi mein shikast hai 'aashiq ki ai kalim kitni bhi tum mein taab ho kyaa is se faaeda 'haaris' tamaam rind jahannum mein jaaeinge jannat mein kyon sharaab ho kyaa is se faaeda"
Haris AliHaris Ali
Quote
"kyaa huaa jo dil huaa qurbaan hanste bolte jaan-nisaaron hi se hain maidaan hanste bolte taaD lete hain yunhi anjaan hanste bolte yuun nahin har ik se meri jaan hanste bolte tum farishta ho pari ho huur ho kyaa chiiz ho is tarah se to nahin insaan hanste bolte bain kaisaa jab shahid-e-'ishq kahlaataa hai ye tum mire dil kaa karo e'laan hanste bolte ham ne jo taa'rif ki un ki vo barham ho gae muft hi mein ho gayaa chaalaan hanste bolte tum zamaane ke ho harjaai mujhe maa'lum thaa le gae aa kar miraa imaan hanste bolte hazrat-e-'haaris-ali’ ke vaaste kyaa hai ghazal vo to kah lete hain ik divaan hanste bolte"
Haris AliHaris Ali

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar