"kahin se chaand kahin se qutub-numaa niklaa qadam jo ghar se nikaalaa to raasta niklaa jalaayaa dhuup mein khud ko to ek saaya saa hamaare jism ki divaar se lagaa niklaa tamaam-umr bhaTaktaa rahaa main tere liye tiraa vajud hi hasti kaa muddaaa niklaa tumhaari aankhon mein sadiyon ki pyaas Duub gai hamaari ruuh se ehsaas-e-karbalaa niklaa gurez karne lagaa hai tire khayaal se bhi hamaaraa dil bhi tiri tarah bevafaa niklaa miraa hi naam kabhi 'mir' thaa ghazal vaalo nae safar mein bhi meraa hi naqsh-e-paa niklaa charaagh ghar mein jalaa chhoD kar gae the 'shakil' safar se lauTe to sab kuchh bujhaa bujhaa niklaa"
aasmaanon se zaminon ko milaane vaale — Shakeel Azmi
"aasmaanon se zaminon ko milaane vaale jhuTe hote hain ye taqdir bataane vaale ab to mar jaataa hai rishta hi bure vaqton par pahle mar jaate the rishton ko nibhaane vaale jo tire 'aib bataataa hai use mat khonaa ab kahaan milte hain aaina dikhaane vaale ban gayaa zahr miri lau kaa dhuaan raat gae subh uTThe hi nahin mujh ko bujhaane vaale tujh mein himmat hai to suraj ke muqaabil bhi aa mere maa'sum charaaghon ko Daraane vaale ab gayaa hai to palaT kar mujhe aavaaz na de lauT ke mat aa mujhe chhoD ke jaane vaale parde darvaazon pe aangan mein hasin chehre the gaanv mein ghar huaa karte the khazaane vaale"
آسمانوں سے زمینوں کو ملانے والے جھوٹے ہوتے ہیں یہ تقدیر بتانے والے اب تو مر جاتا ہے رشتہ ہی برے وقتوں پر پہلے مر جاتے تھے رشتوں کو نبھانے والے جو ترے عیب بتاتا ہے اسے مت کھونا اب کہاں ملتے ہیں آئینہ دکھانے والے بن گیا زہر مری لو کا دھواں رات گئے صبح اٹھے ہی نہیں مجھ کو بجھانے والے تجھ میں ہمت ہے تو سورج کے مقابل بھی آ میرے معصوم چراغوں کو ڈرانے والے اب گیا ہے تو پلٹ کر مجھے آواز نہ دے لوٹ کے مت آ مجھے چھوڑ کے جانے والے پردے دروازوں پہ آنگن میں حسیں چہرے تھے گاؤں میں گھر ہوا کرتے تھے خزانے والے
आसमानों से ज़मीनों को मिलाने वाले झूटे होते हैं ये तक़दीर बताने वाले अब तो मर जाता है रिश्ता ही बुरे वक़्तों पर पहले मर जाते थे रिश्तों को निभाने वाले जो तिरे 'ऐब बताता है उसे मत खोना अब कहाँ मिलते हैं आईना दिखाने वाले बन गया ज़हर मिरी लौ का धुआँ रात गए सुब्ह उठ्ठे ही नहीं मुझ को बुझाने वाले तुझ में हिम्मत है तो सूरज के मुक़ाबिल भी आ मेरे मा'सूम चराग़ों को डराने वाले अब गया है तो पलट कर मुझे आवाज़ न दे लौट के मत आ मुझे छोड़ के जाने वाले पर्दे दरवाज़ों पे आँगन में हसीं चेहरे थे गाँव में घर हुआ करते थे ख़ज़ाने वाले

More by Shakeel Azmi
View all →"sabhi hain jhuThe to sach main hi bol kar dekhun bahut andheraa hai lekin TaTol kar dekhun miraa charaagh bujhegaa yaa raushni hogi havaa ke saath ye jhagDaa bhi mol kar dekhun pata chale ki miraa shahr kitnaa behis hai fazaa mein zahr kisi roz ghol kar dekhun ye dekhnaa hai vo kitnaa qarib aataa hai us ajnabi se zaraa mel-jol kar dekhun pakaD rakhe hain kai khvaab meri aankhon ne jo niind aae to darvaaza khol kar dekhun sunaa hai 'ishq mein divaangi zaruri hai tu ek lai mein badal main bhi Dol kar dekhun tu zindagi hai to ho jaaun main fanaa tujh mein tu film hai to koi main bhi role kar dekhun"
"kahin mandiron mein diyaa nahin kahin masjidon mein du'aa nahin mire shahr mein hain khudaa bahut magar aadmi kaa pataa nahin yahaan ghaav hai yahaan vaar hai ye siyaasaton kaa dayaar hai yahaan koi teraa janaa nahin yahaan koi meraa sagaa nahin ye jo dil mein dard kaa raag hai ye dabi hui koi aag hai main vo zakhm huun jo bharaa nahin main vo daagh huun jo miTaa nahin kahin yuun na ho tire haath mein main havaa se mil ke bhaDak uThun abhi khel mat miri raakh se main sulag rahaa huun bujhaa nahin miri taazgi se Dare hue hain kai puraane gulaab bhi mire haq mein logo du'aa karo abhi Thiik se main khilaa nahin na main bhiiD huun na main shor huun main isi liye koi aur huun kai rang aae gae magar koi rang mujh pe chaDhaa nahin vo jo haal chaDh ke utar gayaa jo khayaal tham ke guzar gayaa kabhi tu ne mujh se sunaa nahin kabhi main ne tujh se kahaa nahin na to meraa koi raqib thaa na to meraa koi habib thaa tujhe khonaa meraa nasib thaa mujhe tujh se koi gila nahin mujhe she'r kahnaa thaa kah diyaa mujhe she'r paDhnaa thaa paDh diyaa mujhe taaliyon ki havas nahin mujhe shohraton kaa nasha nahin ye jo botalon mein sharaab hai ye kharaab thi ye kharaab hai ise chhoD de ise toD de ye kisi maraz ki davaa nahin"
"ajiib manzar hai baarishon kaa makaan paani mein bah rahaa hai falak zamin ki hudud mein hai nishaan paani mein bah rahaa hai tamaam faslein ujaD chuki hain na hal bachaa hai na bail baaqi kisaan girvi rakhaa huaa hai lagaan paani mein bah rahaa hai azaab utraa to paanv sab ke zamin ki sathon se aa lage hain havaa ke ghar mein nahin hai koi machaan paani mein bah rahaa hai koi kisi ko nahin bachaataa sab apni khaatir hi tairte hain ye din qayaamat kaa din ho jaise jahaan paani mein bah rahaa hai udaas aankhon ke baadalon ne dilon ke gard-o-ghubaar dhoe yaqin patthar banaa khaDaa hai gumaan paani mein bah rahaa hai"
"sanbhaal lete zaraa saa to sakht ho jaataa kuchh hi dinon mein ye paudaa darakht ho jaataa labon se chhuT ke divaar-e-dil se jaa lagtaa miri zabaan kaa patthar karakht ho jaataa miri uDaan kisi shai ke kaam aa jaati miraa khayaal parindon kaa bakht ho jaataa jo tu na thaa to tiri yaad kyon nahin aai nae safar ke liye kuchh to rakht ho jaataa bas ek lafz ne jumle ki laaj rakh li 'shakil' vagarna baat kaa andaaz sakht ho jaataa"
"kabhi kabhi tiri aavaaz par rukun bhi nahin ki tu bulaae mujhe aur main sunun bhi nahin is intizaar mein zid kaa bhi ek pahlu hai kivaaD khol duun aur raasta takun bhi nahin tamaam shahr sune mujh ko tere honTon se tire sivaa main kisi aur pe khilun bhi nahin vo duur ho to lage us se koi rishta hai qarib aae to main us kaa kuchh lagun bhi nahin likhegaa kaun adhuri talaash kaa nauha tiri talab kaa mire sar mein ab junun bhi nahin na jaane TuuT ke gir jaae kab saron pe 'shakil' ki aasmaan ki imaarat mein ik sutun bhi nahin"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"