SHAWORDS

aavaara huun rain-baseraa koi nahin meraa — Anwar Shuoor

HomeAnwar ShuoorGhazal
"aavaara huun rain-baseraa koi nahin meraa gali gali kartaa huun pheraa koi nahin meraa teri aas pe jiitaa thaa main vo bhi khatm hui ab duniyaa mein kaun hai meraa koi nahin meraa tere bajaae kaun thaa meraa pahle bhi phir bhi jab se saath chhuTaa hai teraa koi nahin meraa jab bhi chaand se chehre dekhe bhiig gaiin palkein phail gayaa har samt andheraa koi nahin meraa ajab nahin koi lahr uThe jo paar lagaa de naav dard ki dhun mein gaae machheraa koi nahin meraa koi musaafir hi ruk jaae pal do pal ke liye muddat se viraan hai Deraa koi nahin meraa main ne qadr-e-tirgi-e-shab ab pahchaani jab guzar gai shab huaa saveraa koi nahin meraa koi nahin hai jis ke haathon zahr piyun mar jaaun biin bajaae jaae saperaa koi nahin meraa"
Urdu

آوارہ ہوں رین بسیرا کوئی نہیں میرا گلی گلی کرتا ہوں پھیرا کوئی نہیں میرا تیری آس پہ جیتا تھا میں وہ بھی ختم ہوئی اب دنیا میں کون ہے میرا کوئی نہیں میرا تیرے بجائے کون تھا میرا پہلے بھی پھر بھی جب سے ساتھ چھٹا ہے تیرا کوئی نہیں میرا جب بھی چاند سے چہرے دیکھے بھیگ گئیں پلکیں پھیل گیا ہر سمت اندھیرا کوئی نہیں میرا عجب نہیں کوئی لہر اٹھے جو پار لگا دے ناؤ درد کی دھن میں گائے مچھیرا کوئی نہیں میرا کوئی مسافر ہی رک جائے پل دو پل کے لیے مدت سے ویران ہے ڈیرا کوئی نہیں میرا میں نے قدر تیرگیٔ شب اب پہچانی جب گزر گئی شب ہوا سویرا کوئی نہیں میرا کوئی نہیں ہے جس کے ہاتھوں زہر پیوں مر جاؤں بین بجائے جائے سپیرا کوئی نہیں میرا

Hindi

आवारा हूँ रैन-बसेरा कोई नहीं मेरा गली गली करता हूँ फेरा कोई नहीं मेरा तेरी आस पे जीता था मैं वो भी ख़त्म हुई अब दुनिया में कौन है मेरा कोई नहीं मेरा तेरे बजाए कौन था मेरा पहले भी फिर भी जब से साथ छुटा है तेरा कोई नहीं मेरा जब भी चाँद से चेहरे देखे भीग गईं पलकें फैल गया हर सम्त अँधेरा कोई नहीं मेरा अजब नहीं कोई लहर उठे जो पार लगा दे नाव दर्द की धुन में गाए मछेरा कोई नहीं मेरा कोई मुसाफ़िर ही रुक जाए पल दो पल के लिए मुद्दत से वीरान है डेरा कोई नहीं मेरा मैं ने क़द्र-ए-तीरगी-ए-शब अब पहचानी जब गुज़र गई शब हुआ सवेरा कोई नहीं मेरा कोई नहीं है जिस के हाथों ज़हर पियूँ मर जाऊँ बीन बजाए जाए सपेरा कोई नहीं मेरा

āvāra huuñ rain-baserā koī nahīñ merā
Anwar Shuoor
Anwar Shuoor
Anwar Shuoor
poet214 quotes

More by Anwar Shuoor

View all →
Quote
"yaad aa gayaa vo shakhs to yaad aae jaaegaa rulvaae jaaegaa hamein taDpaae jaaegaa taa'bir se kabhi to navaazegaa aasmaan kab tak hamaare khvaab-mahal Dhaae jaaegaa sar 'ishq ki muhim nahin hoti dimaagh se jo sochtaa rahegaa vo ghabraae jaaegaa itnaa bhi sabr-o-shukr kaa qaail nahin ki dil har kaifiyat mein aap ke gun gaae jaaegaa aataa hai rahm naaseh-e-mushfiq ke haal par be-chaara 'umr-bhar hamein samjhaae jaaegaa nazrein haTaa haTaa ke na kyon guftugu karein ham dekhe jaaeinge to vo sharmaae jaaegaa thoDi 'sha'ur' aur chaDhaa le to har taraf saaghar nachaae jaaegaa chhalkaae jaaegaa"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"aise dekhaa hai ki dekhaa hi na ho jaise mujh ko tiri parvaa hi na ho baaz ghar shahr mein aise dekhe jaise un mein koi rahtaa hi na ho mujh se katraa ke bhalaa kyuun jaataa shaayad us ne mujhe dekhaa hi na ho ye samajhtaa hai har aane vaalaa main na aauun to tamaashaa hi na ho yuun bhaTakne pe huun qaane jaise raaston mein koi dariyaa hi na ho raat har chaap pe aataa thaa khayaal uTh ke dekhun koi aayaa hi na ho kaise chhoDun dar-o-divaar apne kyaa khabar lauT ke aanaa hi na ho hain sabhi ghair to apnaa maskan shahr kyuun ho koi sahraa hi na ho yuun to kahne ko bahut kuchh hai 'shuur' kyaa kahun jab koi suntaa hi na ho"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"ittifaaq apni jagah khush-qismati apni jagah khud banaataa hai jahaan mein aadmi apni jagah kah to saktaa huun magar majbur kar saktaa nahin ikhtiyaar apni jagah hai bebasi apni jagah kuchh na kuchh sachchaai hoti hai nihaan har baat mein kahne vaale Thiik kahte hain sabhi apni jagah sirf us ke honT kaaghaz par banaa detaa huun main khud banaa leti hai honTon par hansi apni jagah dost kahtaa huun tumhein shaaer nahin kahtaa 'shuur' dosti apni jagah hai shaaeri apni jagah"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor

More on Dard

View all →
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar