SHAWORDS

ab dilon ke 'alaava paDhnaa kyaa — Bashir Badr

HomeBashir BadrGhazal
"ab dilon ke 'alaava paDhnaa kyaa apnaa kaaghaz qalam se rishta kyaa aansuon se miri hatheli par kaun paDhtaa ki us ne likkhaa kyaa ik mahak jaise raat ki raani kyaa bataaun ki main ne sochaa kyaa jab bhi dekho usi taraf nazrein chaand bhi hai kisi kaa chehra kyaa pankhuDi pankhuDi salaam o payaam phuul bhi hai koi lifaafa kyaa jo na aadaab-e-dushmani jaane dosti kaa use saliqa kyaa tum miri zindagi ho ye sach hai zindagi kaa magar bharosa kyaa"
Urdu

اب دلوں کے علاوہ پڑھنا کیا اپنا کاغذ قلم سے رشتہ کیا آنسوؤں سے مری ہتھیلی پر کون پڑھتا کہ اس نے لکھا کیا اک مہک جیسے رات کی رانی کیا بتاؤں کہ میں نے سوچا کیا جب بھی دیکھو اسی طرف نظریں چاند بھی ہے کسی کا چہرہ کیا پنکھڑی پنکھڑی سلام و پیام پھول بھی ہے کوئی لفافہ کیا جو نہ آداب دشمنی جانے دوستی کا اسے سلیقہ کیا تم مری زندگی ہو یہ سچ ہے زندگی کا مگر بھروسہ کیا

Hindi

अब दिलों के 'अलावा पढ़ना क्या अपना काग़ज़ क़लम से रिश्ता क्या आँसुओं से मिरी हथेली पर कौन पढ़ता कि उस ने लिक्खा क्या इक महक जैसे रात की रानी क्या बताऊँ कि मैं ने सोचा क्या जब भी देखो उसी तरफ़ नज़रें चाँद भी है किसी का चेहरा क्या पंखुड़ी पंखुड़ी सलाम ओ पयाम फूल भी है कोई लिफ़ाफ़ा क्या जो न आदाब-ए-दुश्मनी जाने दोस्ती का उसे सलीक़ा क्या तुम मिरी ज़िंदगी हो ये सच है ज़िंदगी का मगर भरोसा क्या

ab diloñ ke 'alāva paḌhnā kyā
Bashir Badr
Bashir Badr
Bashir Badr
poet340 quotes

More by Bashir Badr

View all →
Quote
"hamaaraa dil savere kaa sunahraa jaam ho jaae charaaghon ki tarah aankhein jalein jab shaam ho jaae kabhi to aasmaan se chaand utre jaam ho jaae tumhaare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae ajab haalaat the yuun dil kaa saudaa ho gayaa aakhir mohabbat ki haveli jis tarah nilaam ho jaae samundar ke safar mein is tarah aavaaz de ham ko havaaein tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaae mujhe maalum hai us kaa Thikaanaa phir kahaan hogaa parinda aasmaan chhune mein jab naakaam ho jaae ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae"
Bashir BadrBashir Badr
Quote
"suraj chandaa jaisi joDi ham donon din kaa raaja raat ki raani ham donon jagmag jagmag duniyaa kaa mela jhuTaa sachchaa sonaa sachchi chaandi ham donon ik duuje se mil kar puure hote hain aadhi aadhi ek kahaani ham donon ghar-ghar dukh-sukh kaa ik dipak jale bujhe har dipak mein tel aur baati ham donon duniyaa ki ye maayaa kankar patthar hai aansu shabnam hiiraa moti ham donon chaaron or samandar baDhti chintaa hai lahar lahar lahraati kashti ham donon parbat-parbat baadal-baadal kiran-kiran ujle par vaale do panchhi ham donon main dahliz kaa dipak huun aa tez havaa raat guzaarein apni apni ham donon"
Bashir BadrBashir Badr
Quote
"chaand haath mein bhar kar jugnuon ke sar kaaTo aur aag par rakh do momi shamon ki raanein jab blade se khul jaaein chaaquon ke sar rakh do main bhi ik shajar hi huun jis pe aaj tak shaayad phuul phal nahin aae tum miri hatheli par ek raat chupke se barf ke samar rakh do dhuup kaa haraa bajraa aag ke samandar mein chal paDaa hamein lene narm-o-garm honTon se band hoti palkon par titliyon ke par rakh do chaahe koi mausam ho din gai bahaaron ke phir se lauT aaeinge ek phuul ki patti apne honT par rakh kar mere honT par rakh do meraa tan darakhton mein is liye jhulastaa hai sakht dhuup sahtaa hai kyaa ajab tum aa niklo aur mere kaandhon par thak ke apnaa sar rakh do roz taar kaTne se raat ke samandar mein shahr Duub jaataa hai is liye zaruri hai ik diyaa jalaa kar tum dil ke taaq par rakh do"
Bashir BadrBashir Badr

More on Zindagi

View all →
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bahut khajil hain ki ham raaegaan bhi zinda rahe jahaan pe tu bhi nahin thaa vahaan bhi zinda rahe ajiib shart hai is be-yaqin mizaaj ki bhi ki tu bhi paas ho teraa gumaan bhi zinda rahe tujhe pe zid hai magar is tarah nahin hotaa ki tu bhi zinda rahe daastaan bhi zinda rahe vo kaun log the jin kaa vajud jism se thaa ye kaun hain jo pas-e-jism-o-jaan bhi zinda rahe jo ye na ho to sukhan kaa koi javaaz nahin zamir zinda rahe to zabaan bhi zinda rahe ye kaaenaat faqat manfaat kaa naam nahin koi yahaan pe baraae ziyaan bhi zinda rahe adam mein jo bhi nahin thaa vo sab vajud mein thaa ye ham hi the jo kahin darmiyaan bhi zinda rahe"
Irfan SattarIrfan Sattar