"dusron ko hamaari sazaaein na de chaandni raat ko bad-duaaein na de phuul se 'aashiqi kaa hunar siikh le titliyaan khud rukeingi sadaaein na de sab gunaahon kaa iqraar karne lagein is qadar khub-surat sazaaein na de main darakhton ki saf kaa bhikaari nahin bevafaa mausamon ki qabaaein na de motiyon ko chhupaa sipiyon ki tarah be-vafaaon ko apni vafaaein na de main bikhar jaaungaa aansuon ki tarah is qadar pyaar se bad-duaaein na de"
suraj chandaa jaisi joDi ham donon — Bashir Badr
"suraj chandaa jaisi joDi ham donon din kaa raaja raat ki raani ham donon jagmag jagmag duniyaa kaa mela jhuTaa sachchaa sonaa sachchi chaandi ham donon ik duuje se mil kar puure hote hain aadhi aadhi ek kahaani ham donon ghar-ghar dukh-sukh kaa ik dipak jale bujhe har dipak mein tel aur baati ham donon duniyaa ki ye maayaa kankar patthar hai aansu shabnam hiiraa moti ham donon chaaron or samandar baDhti chintaa hai lahar lahar lahraati kashti ham donon parbat-parbat baadal-baadal kiran-kiran ujle par vaale do panchhi ham donon main dahliz kaa dipak huun aa tez havaa raat guzaarein apni apni ham donon"
سورج چندا جیسی جوڑی ہم دونوں دن کا راجہ رات کی رانی ہم دونوں جگ مگ جگ مگ دنیا کا میلہ جھوٹا سچا سونا سچی چاندی ہم دونوں اک دوجے سے مل کر پورے ہوتے ہیں آدھی آدھی ایک کہانی ہم دونوں گھر گھر دکھ سکھ کا اک دیپک جلے بجھے ہر دیپک میں تیل اور باتی ہم دونوں دنیا کی یہ مایا کنکر پتھر ہے آنسو شبنم ہیرا موتی ہم دونوں چاروں اور سمندر بڑھتی چنتا ٔہے لہر لہر لہراتی کشتی ہم دونوں پربت پربت بادل بادل کرن کرن اجلے پر والے دو پنچھی ہم دونوں میں دہلیز کا دیپک ہوں آ تیز ہوا رات گزاریں اپنی اپنی ہم دونوں
सूरज चंदा जैसी जोड़ी हम दोनों दिन का राजा रात की रानी हम दोनों जगमग जगमग दुनिया का मेला झूटा सच्चा सोना सच्ची चाँदी हम दोनों इक दूजे से मिल कर पूरे होते हैं आधी आधी एक कहानी हम दोनों घर-घर दुख-सुख का इक दीपक जले बुझे हर दीपक में तेल और बाती हम दोनों दुनिया की ये माया कंकर पत्थर है आँसू शबनम हीरा मोती हम दोनों चारों ओर समंदर बढ़ती चिंता है लहर लहर लहराती कश्ती हम दोनों परबत-परबत बादल-बादल किरन-किरन उजले पर वाले दो पंछी हम दोनों मैं दहलीज़ का दीपक हूँ आ तेज़ हवा रात गुज़ारें अपनी अपनी हम दोनों

More by Bashir Badr
View all →"hamaaraa dil savere kaa sunahraa jaam ho jaae charaaghon ki tarah aankhein jalein jab shaam ho jaae kabhi to aasmaan se chaand utre jaam ho jaae tumhaare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae ajab haalaat the yuun dil kaa saudaa ho gayaa aakhir mohabbat ki haveli jis tarah nilaam ho jaae samundar ke safar mein is tarah aavaaz de ham ko havaaein tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaae mujhe maalum hai us kaa Thikaanaa phir kahaan hogaa parinda aasmaan chhune mein jab naakaam ho jaae ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae"
"resham ki chaadar oDhi pagDi baandhi daaman mein darvaaze ki miTTi baandhi rail ki paTri par meri shohrat rakh di bus ke pahiyon se rozi-roTi baandhi palkon se jhilmil jhilmil saavan barsaa mausam ne baadal jaisi saari baandhi is tulsi se un kaa rishta thaa koi aanchal mein us ne sukhi patti baandhi pahle se kuchh saaf nazar aai duniyaa jab se ham ne aankhon par paTTi baandhi"
"faqir aaina hai parda-e-khayaal nahin mire badan pe kisi maslahat ki shaal nahin ye log jiite hain khush-fahmiyon ki qabron mein vatan-parasti ki is se baDi misaal nahin zamin maan bhi hai mahbub bhi hai beTi bhi zamin chhoD ke jaaun koi savaal nahin kahaaniyon kaa muqaddar vahi adhuraa-pan kahin firaaq nahin hai kahin visaal nahin bahut udaas rahi zindagi tumhaare baad khayaal thaa ki tumhein bhulnaa muhaal nahin"
"chaand haath mein bhar kar jugnuon ke sar kaaTo aur aag par rakh do momi shamon ki raanein jab blade se khul jaaein chaaquon ke sar rakh do main bhi ik shajar hi huun jis pe aaj tak shaayad phuul phal nahin aae tum miri hatheli par ek raat chupke se barf ke samar rakh do dhuup kaa haraa bajraa aag ke samandar mein chal paDaa hamein lene narm-o-garm honTon se band hoti palkon par titliyon ke par rakh do chaahe koi mausam ho din gai bahaaron ke phir se lauT aaeinge ek phuul ki patti apne honT par rakh kar mere honT par rakh do meraa tan darakhton mein is liye jhulastaa hai sakht dhuup sahtaa hai kyaa ajab tum aa niklo aur mere kaandhon par thak ke apnaa sar rakh do roz taar kaTne se raat ke samandar mein shahr Duub jaataa hai is liye zaruri hai ik diyaa jalaa kar tum dil ke taaq par rakh do"
"ab dilon ke 'alaava paDhnaa kyaa apnaa kaaghaz qalam se rishta kyaa aansuon se miri hatheli par kaun paDhtaa ki us ne likkhaa kyaa ik mahak jaise raat ki raani kyaa bataaun ki main ne sochaa kyaa jab bhi dekho usi taraf nazrein chaand bhi hai kisi kaa chehra kyaa pankhuDi pankhuDi salaam o payaam phuul bhi hai koi lifaafa kyaa jo na aadaab-e-dushmani jaane dosti kaa use saliqa kyaa tum miri zindagi ho ye sach hai zindagi kaa magar bharosa kyaa"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"