Quote
"ham us ke shahr se kuchh vaardaat karte gae jo baat zarf-e-adab thi vo baat karte gae ik haadse mein kisi ne gale lagaayaa thaa isi khayaal mein ham haadsaat karte gae main jis ki raah se sab mushkilein haTaataa thaa vo meri raah mein sab mushkilaat karte gae jo ham ko raah ke patthar bataayaa karte the ham un ke naam pe ik kaainaat karte gae kisi ne ham se kahaa dil sanbhaaliye apnaa ye dil sanbhal na sakaa ehtiyaat karte gae"
K
Katib Khan