SHAWORDS

ab to aate honge kab ke bheje hain — Ikram Basra

HomeIkram BasraGhazal
"ab to aate honge kab ke bheje hain main ne tum ko lene raste bheje hain apni taraf se teraa vaqt bachaayaa hai teri taraf se khud ko dilaase bheje hain us ki lughat mein tanhaai kaa lafz bhi hai jis ne har ik shai ke joDe bheje hain qaasid ki jaan-bakhshi par mamnun huun main khat mein us ne khat ke purze bheje hain kaise kam ho sakte hain jo gham tu ne maap aur taul ke andaaze se bheje hain sarhad paar kisi par jab bhi pyaar aayaa ham-saayon ko yunhi tohfe bheje hain taariki ham khinch ke laae hain ghar tak Dubte suraj ko bas tinke bheje hain amn ki khaatir itnaa hi kar saktaa thaa main ne jang mein apne beTe bheje hain"
Urdu

اب تو آتے ہوں گے کب کے بھیجے ہیں میں نے تم کو لینے رستے بھیجے ہیں اپنی طرف سے تیرا وقت بچایا ہے تیری طرف سے خود کو دلاسے بھیجے ہیں اس کی لغت میں تنہائی کا لفظ بھی ہے جس نے ہر اک شے کے جوڑے بھیجے ہیں قاصد کی جاں بخشی پر ممنون ہوں میں خط میں اس نے خط کے پرزے بھیجے ہیں کیسے کم ہو سکتے ہیں جو غم تو نے ماپ اور تول کے اندازے سے بھیجے ہیں سرحد پار کسی پر جب بھی پیار آیا ہم سایوں کو یوں ہی تحفے بھیجے ہیں تاریکی ہم کھینچ کے لائے ہیں گھر تک ڈوبتے سورج کو بس تنکے بھیجے ہیں امن کی خاطر اتنا ہی کر سکتا تھا میں نے جنگ میں اپنے بیٹے بھیجے ہیں

Hindi

अब तो आते होंगे कब के भेजे हैं मैं ने तुम को लेने रस्ते भेजे हैं अपनी तरफ़ से तेरा वक़्त बचाया है तेरी तरफ़ से ख़ुद को दिलासे भेजे हैं उस की लुग़त में तन्हाई का लफ़्ज़ भी है जिस ने हर इक शय के जोड़े भेजे हैं क़ासिद की जाँ-बख़्शी पर मम्नून हूँ मैं ख़त में उस ने ख़त के पुर्ज़े भेजे हैं कैसे कम हो सकते हैं जो ग़म तू ने माप और तौल के अंदाज़े से भेजे हैं सरहद पार किसी पर जब भी प्यार आया हम-सायों को यूँही तोहफ़े भेजे हैं तारीकी हम खींच के लाए हैं घर तक डूबते सूरज को बस तिनके भेजे हैं अम्न की ख़ातिर इतना ही कर सकता था मैं ने जंग में अपने बेटे भेजे हैं

ab to aate hoñge kab ke bheje haiñ
Ikram Basra
Ikram Basra
Ikram Basra
poet9 quotes

More by Ikram Basra

View all →
Quote
"zindagi jab tire aasaar nazar aaeinge ham tire shahr ke us paar nazar aaeinge meri aankhon kaa kinaara jo tumhein kaafi ho mere baazu tumhein patvaar nazar aaeinge kahin khud ko nazar aae bhi tire baad to ham saans lete hue be-kaar nazar aaeinge log DhunDeinge hamein DhunDne vaalon ki tarah ham pas-e-chashm-e-nam-e-yaar nazar aaeinge aashiqi aise qabile mein riaayat kaisi paani bharte hue sardaar nazar aaeinge koi malhaar na sujhegaa tire baad hamein baanjh dharti ke zamin-daar nazar aaeinge dil ke parde pe agar ek nazar Daalein to kuchh pareshaan se kirdaar nazar aaeinge"
Ikram BasraIkram Basra
Quote
"na dalilein na hi abaabilein sabr ke ghunT hain vahi pi lein kaisi be-khvaab hain sabhi aankhein jis tarah khushk-o-be-amaan jhilein maat khaa jaaein zabt se apne aur insaaniyat pe baazi lein ek insaan kaa lahu kar ke us pe shaitaan ki gavaahi lein kuuch kar jaaein aise kuche se saath naakaamiyon ki punji lein jahl mein sahl hai unhein shaayad us pe ik dusre se thapki lein bas nahin chal rahaa farishton kaa varna palTi hui ye dharti lein jin ke shajre mein bas jahaalat hai un se naslon ki rahnumaai lein raakh suraj hi ki nikalti hai jab kisi raat ki talaashi lein ye siyaahi hai is liye shaayad taaki akhbaar apni surkhi lein kitne hi girye ham pe vaajib hain par suhulat nahin ki ruuhi lein sirf paidaa hon us zamaane mein aur phir 'umr bhar tasalli lein sakht naadim huun apne bachchon se yahi maahaul hai agar ji lein"
Ikram BasraIkram Basra
Quote
"mare dosh par tiri laash re o maaashre teraa marg fikr-e-maaash re o maaashre main janm janm kaa faqir huun to amiir huun mujhe raas meraa qimaash re o maaashre kai uljhanon kaa javaaz huun koi raaz huun mujhe mujh pe rahne de faash re o maaashre kai aasmaanon se duur huun main ghurur huun mujhe kab hai teri talaash re o maaashre koi barf-zaad vajud huun main jumud huun mujhe dhuup se na taraash re o maaashre miraa zakhm zakhm dikhaa diyaa mujhe kyaa diyaa faqat aansuon kaa faraash re o maaashre ai khudaa-e-dil ai khudaa-e-dil ai khudaa-e-dil o maaashre o maaashre o maaashre"
Ikram BasraIkram Basra
Quote
"ruuh ko meri tavajjoh chaahiye zakhm se gahri tavajjoh chaahiye ghar ki haalat dekh kar lagtaa nahin ab ise koi tavajjoh chaahiye jam gai hai kaai si dahliz par tere qadmon ki tavajjoh chaahiye pahle mujh ko chaahiye thaa tu magar ab faqat teri tavajjoh chaahiye ek chashm-e-tar kahin gum ho gai ai miri miTTi tavajjoh chaahiye Dubte suraj ke ye alfaaz the ghup andhere ki tavajjoh chaahiye be-khayaali tu kahaan hai aaj-kal tujh ko bhi thoDi tavajjoh chaahiye kar rahe hain aap divaana jise us ko pahle hi tavajjoh chaahiye"
Ikram BasraIkram Basra
Quote
"raste kitnaa thak jaate hain phir bhi manzil tak jaate hain patton ko aaraam nahin hai kaan havaa ke pak jaate hain lamhon ko aasaan na lenaa lamhe sadiyaan faq jaate hain ek taraf se tum aate ho chaaron or dhaDak jaate hain ek moattar yaad ke jhonke taaza lams chhiDak jaate hain qadmon ki aadat hai yunhi su-e-yaar sarak jaate hain jaane do logon ki baatein kuchh bhi aa kar bak jaate hain rasta gar bhi shart nahin hai raste aap bhaTak jaate hain aankhein chaukhaT ho jaati hain mausam be-dastak jaate hain"
Ikram BasraIkram Basra
Quote
"buri zaminon ke faaslon ko miTaate rahnaa main lauT aaungaa mujh ko vaapas bulaate rahnaa ye gard-baadon kaa masala hai ki mashghala hai havaa ke daaman pe daaere se banaate rahnaa tiri talab ke alaava apnaa koi nahin hai qarib aa kar bhi kuchh na kuchh duur jaate rahnaa tumhaari aankhein to zindagi se bhari hui hain hamaare jaison kaa hausla bhi baDhaate rahnaa vo nazm jis ko paDhaa nahin thaa jiyaa thaa ham ne koi bhi rut ho bahaar aai sunaate rahnaa visaal kyaa hai supurdagi kaa kamaal kyaa hai baDhaa-chaDhaa kar saheliyon ko bataate rahnaa nazar bhi rakhnaa mohalle vaalon ki zindagi par kabutaron ko bhi daana-vaana khilaate rahnaa bichhaDnaa chaaho to apne dil ki nafi na karnaa yahi bahut hai jahaan raho muskuraate rahnaa ye peD vo hain jo aasmaanon ko saaya deinge jo ho sake to duaa ke paude lagaate rahnaa hamaari duniyaa mein hairaton ki bahut kami hai ye aag andar se bujh rahi hai jalaate rahnaa"
Ikram BasraIkram Basra

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud