"ye kahaan se mauj-e-tarab uThi ki malaal dil se nikal gae vahi subh-o-shaam jo the garaan nafas-e-bahaar mein Dhal gae ye dayaar-e-shauq hai ham-nashin yahaan laghzishon mein bhi husn hai jo miTe vo aur ubhar gae jo gire vo aur sambhal gae hasin zindagi ki talaash thi hamein sarkhushi ki talaash thi hue zindagi se jo aashnaa to jaraahaton se bahal gae tire sogvaaron ki zindagi kabhi mutmain na guzar saki jo bujhi kabhi koi tishnagi kai aur dard machal gae miri aarzuon ke khvaab the ki fazaa-e-husn-o-shabaab the kahin nikhaton mein bikhar gae kahin rang-o-nur mein Dhal gae unhein raahaton kaa khayaal hai na saubaton kaa malaal hai jo tiri talaash mein chal paDe jo tiri talab mein nikal gae hai bhari bahaar to kyaa karun na mile qaraar to kyaa karun mire saamne hain vo aashiyaan jo bhari bahaar mein jal gae"
abhi makaan main abhi su-e-laa-makaan huun main — Fareed Javed
"abhi makaan main abhi su-e-laa-makaan huun main tire khayaal tiri dhun mein huun jahaan huun main kali kali mutabassim hai aarzuon ki qadam qadam pe mohabbat mein kaamraan huun main navaa navaa mein miri zindagi machalti hai rabaab-e-husn-o-mohabbat pe naghma-khvaan huun main miraa tajassus-e-paiham hai zindagi-aamoz mujhe qaraar nahin hai ravaan-davaan huun main jahaan tamaam agar mujh se sargiraan hai to kyaa ba-zaat-e-khud bhi to ik mustaqil jahaan huun main fanaa ki zad se hai mahfuz zindagi meri shiaar apnaa mohabbat hai jaavedaan huun main ye eatibaar-e-gul-o-gulsitaan mujhi se hai ye aur baat ki parvarda-e-khizaan huun main ye kaun dekh rahaa hai mujhe hiqaarat se ghubaar-e-raah nahin mir-e-kaarvaan huun main"
ابھی مکاں میں ابھی سوئے لامکاں ہوں میں ترے خیال تری دھن میں ہوں جہاں ہوں میں کلی کلی متبسم ہے آرزوؤں کی قدم قدم پہ محبت میں کامراں ہوں میں نوا نوا میں مری زندگی مچلتی ہے رباب حسن و محبت پہ نغمہ خواں ہوں میں مرا تجسس پیہم ہے زندگی آموز مجھے قرار نہیں ہے رواں دواں ہوں میں جہاں تمام اگر مجھ سے سرگراں ہے تو کیا بذات خود بھی تو اک مستقل جہاں ہوں میں فنا کی زد سے ہے محفوظ زندگی میری شعار اپنا محبت ہے جاوداں ہوں میں یہ اعتبار گل و گلستاں مجھی سے ہے یہ اور بات کہ پروردۂ خزاں ہوں میں یہ کون دیکھ رہا ہے مجھے حقارت سے غبار راہ نہیں میر کارواں ہوں میں
अभी मकाँ मैं अभी सू-ए-ला-मकाँ हूँ मैं तिरे ख़याल तिरी धुन में हूँ जहाँ हूँ मैं कली कली मुतबस्सिम है आरज़ूओं की क़दम क़दम पे मोहब्बत में कामराँ हूँ मैं नवा नवा में मिरी ज़िंदगी मचलती है रबाब-ए-हुस्न-ओ-मोहब्बत पे नग़्मा-ख़्वाँ हूँ मैं मिरा तजस्सुस-ए-पैहम है ज़िंदगी-आमोज़ मुझे क़रार नहीं है रवाँ-दवाँ हूँ मैं जहाँ तमाम अगर मुझ से सरगिराँ है तो क्या ब-ज़ात-ए-ख़ुद भी तो इक मुस्तक़िल जहाँ हूँ मैं फ़ना की ज़द से है महफ़ूज़ ज़िंदगी मेरी शिआ'र अपना मोहब्बत है जावेदाँ हूँ मैं ये ए'तबार-ए-गुल-ओ-गुलसिताँ मुझी से है ये और बात कि परवर्दा-ए-ख़िज़ाँ हूँ मैं ये कौन देख रहा है मुझे हिक़ारत से ग़ुबार-ए-राह नहीं मीर-ए-कारवाँ हूँ मैं

More by Fareed Javed
View all →"kis ujaale kaa nishaan hain ham log kin andheron mein ravaan hain ham log nur-e-khurshid ko ilzaam na do subh kaa khvaab-e-giraan hain ham log jaise bhaTkaa huaa raahi ho koi yunhi har su nigaraan hain ham log kabhi aavaargi-e-nihkat-e-gul kabhi zanjir-e-giraan hain ham log duur tak dasht-e-junun hai 'jaaved' aabla-paa guzaraan hain ham log"
"tum ho shaaer miri jaan jiite raho sher kahte raho zahr piite raho sina-e-chaak hi mishal-e-nur hai sina-chaako isi tarah jiite raho raat jaagi hui hai havaa mehrbaan phir ye lamhe kahaan, aaj piite raho rok lo dil pe sail-e-giraan-e-alam dosto zindagi ke chahite raho itni fursat kise hai ki dekhe tumhein chaak kar lo girebaan ki siite raho"
"jab bhi sham-e-tarab jalaai hai aanch mahrumiyon ki aai hai raaste itne be-karaan to na the justuju kitni duur laai hai zahmat-e-justuju se kyaa hogaa bu-e-gul kis ke haath aai hai kitni ranginiyon mein teri yaad kis qadar saadgi se aai hai kah ke jaan-e-ghazal tujhe ham ne apni kam-maaigi chhupaai hai jab bhi 'jaaved' chheD di hai ghazal baat vaaraftagi tak aai hai"
"shauq kaa silsila be-karaan hai zindagi kaarvaan kaarvaan hai haasil-e-narmi-e-shabnam-o-gil aatish-e-gham kaa sail-e-ravaan hai har nafas mein tiri aahaTein hain har nafas zindagi kaa nishaan hai apni viraaniyon par abhi tak dil ko shaadaabiyon kaa gumaan hai ham-nafas dil dhaDakte hain jab tak kaarobaar-e-mohabbat javaan hai tohmat-e-mai-kashi bhi uThaai tishnagi hai ki shoala-ba-jaan hai un ke daaman mein bhi phuul hote jin se raanaai-e-gulsitaan hai"
"kyaa ho gayaa kaisi rut palTi miraa chain gayaa miri niind gai khulti hi nahin ab dil ki kali miraa chain gayaa miri niind gai main laakh rahun yunhi khaak-basar shaadaab rahein tire shaam-o-sahar nahin us kaa mujhe shikva bhi koi miraa chain gayaa miri niind gai main kab se huun aas lagaae hue ik sham-e-umid jalaae hue koi lamha sakun kaa mile to sahi miraa chain gayaa miri niind gai 'jaaved' kabhi main shaadaan thaa mire saath tarab kaa tufaan thaa phir zindagi mujh se ruuTh gai miraa chain gayaa miri niind gai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"