SHAWORDS

jab bhi sham-e-tarab jalaai hai — Fareed Javed

HomeFareed JavedGhazal
"jab bhi sham-e-tarab jalaai hai aanch mahrumiyon ki aai hai raaste itne be-karaan to na the justuju kitni duur laai hai zahmat-e-justuju se kyaa hogaa bu-e-gul kis ke haath aai hai kitni ranginiyon mein teri yaad kis qadar saadgi se aai hai kah ke jaan-e-ghazal tujhe ham ne apni kam-maaigi chhupaai hai jab bhi 'jaaved' chheD di hai ghazal baat vaaraftagi tak aai hai"
Urdu

جب بھی شمع طرب جلائی ہے آنچ محرومیوں کی آئی ہے راستے اتنے بے کراں تو نہ تھے جستجو کتنی دور لائی ہے زحمت جستجو سے کیا ہوگا بوئے گل کس کے ہاتھ آئی ہے کتنی رنگینیوں میں تیری یاد کس قدر سادگی سے آئی ہے کہہ کے جان غزل تجھے ہم نے اپنی کم‌ مائیگی چھپائی ہے جب بھی جاویدؔ چھیڑ دی ہے غزل بات وارفتگی تک آئی ہے

Hindi

जब भी शम-ए-तरब जलाई है आँच महरूमियों की आई है रास्ते इतने बे-कराँ तो न थे जुस्तुजू कितनी दूर लाई है ज़हमत-ए-जुस्तुजू से क्या होगा बू-ए-गुल किस के हाथ आई है कितनी रंगीनियों में तेरी याद किस क़दर सादगी से आई है कह के जान-ए-ग़ज़ल तुझे हम ने अपनी कम-माइगी छुपाई है जब भी 'जावेद' छेड़ दी है ग़ज़ल बात वारफ़्तगी तक आई है

jab bhī sham-e-tarab jalā.ī hai
Fareed Javed
Fareed Javed
Fareed Javed
poet22 quotes

More by Fareed Javed

View all →
Quote
"ye kahaan se mauj-e-tarab uThi ki malaal dil se nikal gae vahi subh-o-shaam jo the garaan nafas-e-bahaar mein Dhal gae ye dayaar-e-shauq hai ham-nashin yahaan laghzishon mein bhi husn hai jo miTe vo aur ubhar gae jo gire vo aur sambhal gae hasin zindagi ki talaash thi hamein sarkhushi ki talaash thi hue zindagi se jo aashnaa to jaraahaton se bahal gae tire sogvaaron ki zindagi kabhi mutmain na guzar saki jo bujhi kabhi koi tishnagi kai aur dard machal gae miri aarzuon ke khvaab the ki fazaa-e-husn-o-shabaab the kahin nikhaton mein bikhar gae kahin rang-o-nur mein Dhal gae unhein raahaton kaa khayaal hai na saubaton kaa malaal hai jo tiri talaash mein chal paDe jo tiri talab mein nikal gae hai bhari bahaar to kyaa karun na mile qaraar to kyaa karun mire saamne hain vo aashiyaan jo bhari bahaar mein jal gae"
Fareed JavedFareed Javed
Quote
"kyaa ho gayaa kaisi rut palTi miraa chain gayaa miri niind gai khulti hi nahin ab dil ki kali miraa chain gayaa miri niind gai main laakh rahun yunhi khaak-basar shaadaab rahein tire shaam-o-sahar nahin us kaa mujhe shikva bhi koi miraa chain gayaa miri niind gai main kab se huun aas lagaae hue ik sham-e-umid jalaae hue koi lamha sakun kaa mile to sahi miraa chain gayaa miri niind gai 'jaaved' kabhi main shaadaan thaa mire saath tarab kaa tufaan thaa phir zindagi mujh se ruuTh gai miraa chain gayaa miri niind gai"
Fareed JavedFareed Javed

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer