SHAWORDS

abhi tak naqsh-e-paa hain rahguzar mein — Ansar Ali Ansar

"abhi tak naqsh-e-paa hain rahguzar mein kai sadiyaan guzaari hain safar mein kiran Thahre hue paani mein utri diye jalne lage shishe ke ghar mein miri binaai hai zulmat-gazida mujhe rakkho ujaalon ke nagar mein jise chaahaa use pahlu mein rakkhaa baDi gunjaaishein dekhin nazar mein natija zindagi ke baa'd niklaa sadaf ki aabru chamki guhar mein na kiije sang-baari kaa iraada koi saudaa nahin hai mere sar mein"
Urdu

ابھی تک نقش پا ہیں رہ گزر میں کئی صدیاں گزاری ہیں سفر میں کرن ٹھہرے ہوئے پانی میں اتری دیے جلنے لگے شیشے کے گھر میں مری بینائی ہے ظلمت گزیدہ مجھے رکھو اجالوں کے نگر میں جسے چاہا اسے پہلو میں رکھا بڑی گنجائشیں دیکھیں نظر میں نتیجہ زندگی کے بعد نکلا صدف کی آبرو چمکی گہر میں نہ کیجے سنگ باری کا ارادہ کوئی سودا نہیں ہے میرے سر میں

Hindi

अभी तक नक़्श-ए-पा हैं रहगुज़र में कई सदियाँ गुज़ारी हैं सफ़र में किरन ठहरे हुए पानी में उतरी दिए जलने लगे शीशे के घर में मिरी बीनाई है ज़ुल्मत-गज़ीदा मुझे रक्खो उजालों के नगर में जिसे चाहा उसे पहलू में रक्खा बड़ी गुंजाइशें देखीं नज़र में नतीजा ज़िंदगी के बा'द निकला सदफ़ की आबरू चमकी गुहर में न कीजे संग-बारी का इरादा कोई सौदा नहीं है मेरे सर में

abhī tak naqsh-e-pā haiñ rahguzar meñ
Ansar Ali Ansar
Ansar Ali Ansar
Ansar Ali Ansar
poet7 quotes

More by Ansar Ali Ansar

View all →
Quote
"be-rabt mausamon mein samoe gae the log kyaa kahiye kis laDi mein piroe gae the log be-naam raaston ke safar kaa savaal thaa nafrat ki naddiyon mein Duboe gae the log binaaiyaan simaT ke palaTti thiin apni samt apni anaa ke dasht mein khoe gae the log yuun to safar mein chaand sitaare the ham-rikaab phir bhi ‘azaab-e-shab mein piroe gae the log Thahraa huaa vo lamha abhi tak khalaa mein hai jab tirgi ke ghaar mein Dhoe gae the log naakaam ho ke dhuup zamin se palaT gai 'ansar' na jaane kaise bhigoe gae the log"
Ansar Ali AnsarAnsar Ali Ansar
Quote
"ye paDaav to ik bahaana thaa ham ne rakht-e-safar ganvaanaa thaa jab gayaa thaa tabaah kar ke mujhe us kaa andaaz faatehaana thaa jis ne patthar se saazishein ki thiin aise shishe ko TuuT jaanaa thaa koi taaza nigaah kyaa karti rog dil kaa bahut puraanaa thaa zabt ki bheinT chaDh gae aakhir ham ko naamus-e-gham bachaanaa thaa raasta koi to nikaltaa zarur dhund ke paar ham ko jaanaa thaa bhed khud apnaa ham samajh na sake aur kis kaa suraagh paanaa thaa har bagula huaa rahin-e-safar kyaa havaaon kaa taaziyaana thaa ek din be-sadaa jaziron se apni jaanib palaT ke aanaa thaa us ne apni hifaazaton ke liye khat-e-faasil hamein banaanaa thaa kyon savaali ho chaand ke 'ansar' apne ghar mein diyaa jalaanaa thaa"
Ansar Ali AnsarAnsar Ali Ansar
Quote
"jurm Thahraa haal se aage kaa naqsha dekhnaa taazgi ki aas rakhnaa aur sabza dekhnaa aarzu karnaa chaman-zaaron ki sabza-zaar ki aur taa-hadd-e-nazar sahraa hi sahraa dekhnaa azm ye rakhnaa ki gahraai kaa siina chiir dein aur apne aap ko saahil pe tanhaa dekhnaa dhuup ki baarish mein rahnaa pyaas ki lahron ke saath har saraab-e-dasht ko tasvir-e-dariyaa dekhnaa dekhne vaalon se koi harf-e-manzar kyaa kahe aankh ki taqdir mein likhkhaa hai kyaa kyaa dekhnaa ye alaamat kaun si hai kis se puchhun ai havaa pahli rut mein har shajar par zard pattaa dekhnaa kaun batlaaegaa 'ansar' aisi baaton kaa javaaz chaandni mein baadbaan par aks-e-dariyaa dekhnaa"
Ansar Ali AnsarAnsar Ali Ansar

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui