"Dhalke Dhalke aansu Dhalke chhalke chhalke saaghar chhalke dil ke taqaaze un ke ishaare bojhal bojhal halke halke dekho dekho daaman uljhaa Thahro Thahro saaghar chhalke un kaa taghaaful un ki tavajjoh ik dil us par laakh tahalke un ki tamannaa un ki mohabbat dekho sanbhaal ke dekho sanbhal ke gham ne uThaae saikDon tufaan dil ne bisaaraa laakh machal ke pal mein hansaao pal mein rulaao pal mein ujaale pal mein dhundalke ham ne samjhaa tum ne jaanaa dil ne machaae laakh tahalke laakh manaayaa laakh bhulaayaa nain kaTore bhar bhar kar chhalke kitne uljhe kitne sidhe raste un ke rang-mahal ke"
achaanak dilrubaa mausam kaa dil-aazaar ho jaanaa — Ada Jafarey
"achaanak dilrubaa mausam kaa dil-aazaar ho jaanaa duaa aasaan nahin rahnaa sukhan dushvaar ho jaanaa tumhein dekhein nigaahein aur tum ko hi nahin dekhein mohabbat ke sabhi rishton kaa yuun naadaar ho jaanaa abhi to be-niyaazi mein takhaatub ki si khushbu thi hamein achchhaa lagaa thaa dard kaa dildaar ho jaanaa agar sach itnaa zaalim hai to ham se jhuuT hi bolo hamein aataa hai patjhaD ke dinon gul-baar ho jaanaa abhi kuchh an-kahe alfaaz bhi hain kunj-e-mizhgaan mein agar tum is taraf aao sabaa-raftaar ho jaanaa havaa to ham-safar Thahri samajh mein kis tarah aae havaaon kaa hamaari raah mein divaar ho jaanaa abhi to silsila apnaa zamin se aasmaan tak thaa abhi dekhaa thaa raaton kaa sahar-aasaar ho jaanaa hamaare shahr ke logon kaa ab ahvaal itnaa hai kabhi akhbaar paDh lenaa kabhi akhbaar ho jaanaa"
اچانک دل ربا موسم کا دل آزار ہو جانا دعا آساں نہیں رہنا سخن دشوار ہو جانا تمہیں دیکھیں نگاہیں اور تم کو ہی نہیں دیکھیں محبت کے سبھی رشتوں کا یوں نادار ہو جانا ابھی تو بے نیازی میں تخاطب کی سی خوشبو تھی ہمیں اچھا لگا تھا درد کا دل دار ہو جانا اگر سچ اتنا ظالم ہے تو ہم سے جھوٹ ہی بولو ہمیں آتا ہے پت جھڑ کے دنوں گل بار ہو جانا ابھی کچھ ان کہے الفاظ بھی ہیں کنج مژگاں میں اگر تم اس طرف آؤ صبا رفتار ہو جانا ہوا تو ہم سفر ٹھہری سمجھ میں کس طرح آئے ہواؤں کا ہماری راہ میں دیوار ہو جانا ابھی تو سلسلہ اپنا زمیں سے آسماں تک تھا ابھی دیکھا تھا راتوں کا سحر آثار ہو جانا ہمارے شہر کے لوگوں کا اب احوال اتنا ہے کبھی اخبار پڑھ لینا کبھی اخبار ہو جانا
अचानक दिलरुबा मौसम का दिल-आज़ार हो जाना दुआ आसाँ नहीं रहना सुख़न दुश्वार हो जाना तुम्हें देखें निगाहें और तुम को ही नहीं देखें मोहब्बत के सभी रिश्तों का यूँ नादार हो जाना अभी तो बे-नियाज़ी में तख़ातुब की सी ख़ुशबू थी हमें अच्छा लगा था दर्द का दिलदार हो जाना अगर सच इतना ज़ालिम है तो हम से झूट ही बोलो हमें आता है पतझड़ के दिनों गुल-बार हो जाना अभी कुछ अन-कहे अल्फ़ाज़ भी हैं कुंज-ए-मिज़्गाँ में अगर तुम इस तरफ़ आओ सबा-रफ़्तार हो जाना हवा तो हम-सफ़र ठहरी समझ में किस तरह आए हवाओं का हमारी राह में दीवार हो जाना अभी तो सिलसिला अपना ज़मीं से आसमाँ तक था अभी देखा था रातों का सहर-आसार हो जाना हमारे शहर के लोगों का अब अहवाल इतना है कभी अख़बार पढ़ लेना कभी अख़बार हो जाना

More by Ada Jafarey
View all →"be-gaangi-e-tarz-e-sitam bhi bahaana-saaz be-chaargi-e-karb-o-alam bhi bahaana-saaz kuchh but banaa liye hain chaTTaanein taraash kar dil bhi bahaana-saaz hai gham bhi bahaana-saaz uzr-e-vafaa ke saath jalaate rahe charaagh khultaa hai ab ki dida-e-nam bhi bahaana-saaz paabandi-e-rusum-o-vafaa bhi bahaana-khu tark-e-vafaa-o-sheva-e-ram bhi bahaana-saaz har lamha-e-hayaat kaa tanhaa rahaa vajud dildaari-e-nigaah-e-karam bhi bahaana-saaz kuchh duur saath saath the itnaa to yaad hai sahraa-e-gham mein naqsh-e-qadam bhi bahaana-saaz sab se baDaa fareb hai khud zindagi 'adaa' is hila-ju ke saath hain ham bhi bahaana-saaz"
"khalish-e-tir-e-be-panaah gai lijiye un se rasm-o-raah gai aap hi markaz-e-nigaah rahe jaane ko chaar-su nigaah gai saamne be-naqaab baiThe hain vaqat-e-husn-e-mehr-o-maah gai us ne nazrein uThaa ke dekh liyaa ishq ki jurat-e-nigaah gai intihaa-e-junun mubaarakbaad pursish-e-haal gaah gaah gai mar miTe jald-baaz parvaane apni si shama to nibaah gai dil mein azm-e-haram sahi lekin un ke kuche ko gar ye raah gai"
"har gaam sambhal sambhal rahi thi yaadon ke bhanvar mein chal rahi thi saanche mein khabar ke Dhal rahi thi ik khvaab ki lau se jal rahi thi shabnam si lagi jo dekhne main patthar ki tarah pighal rahi thi rudaad safar ki puchhte ho main khvaab mein jaise chal rahi thi kaifiyyat-e-intizaar-e-paiham hai aaj vahi jo kal rahi thi thi harf-e-duaa si yaad us ki zanjir-e-firaaq gal rahi thi kaliyon ko nishaan-e-rah dikhaa kar mahki hui raat Dhal rahi thi logon ko pasand laghzish-e-paa aise mein 'adaa' sambhal rahi thi"
"aage harim-e-gham se koi raasta na thaa achchhaa huaa ki saath kisi ko liyaa na thaa daamaan-e-chaak chaak gulon ko bahaana thaa dil kaa jo rang thaa vo nazar se chhupaa na thaa rang-e-shafaq ki dhuup khili thi qadam qadam maqtal mein subh-o-shaam kaa manzar judaa na thaa kyaa bojh thaa ki jis ko uThaae hue the log muD kar kisi ki samt koi dekhtaa na thaa kuchh itni raushni mein the chehron ke aaine dil us ko DhunDhtaa thaa jise jaantaa na thaa kuchh log sharmsaar khudaa jaane kyuun hue apne sivaa hamein to kisi se gilaa na thaa har ik qadam uThaa thaa nae mausamon ke saath vo jo sanam taraash thaa but pujtaa na thaa jis dar se dil ko zauq-e-ibaadat ataa huaa us aastaan-e-shauq pe sajda ravaa na thaa aandhi mein barg-e-gul ki zabaan se adaa huaa vo raaz jo kisi se abhi tak kahaa na thaa"
"diip thaa yaa taaraa kyaa jaane dil mein kyuun Duubaa kyaa jaane gul par kyaa kuchh biit gai hai albelaa jhonkaa kyaa jaane aas ki maili chaadar oDhe vo bhi thaa mujh saa kyaa jaane riit bhi apni rut bhi apni dil rasm-e-duniyaa kyaa jaane ungli thaam ke chalne vaalaa nagri kaa rastaa kyaa jaane kitne moD abhi baaqi hain tum jaano saayaa kyaa jaane kaun khilaunaa TuuT gayaa hai baalak be-parvaa kyaa jaane mamtaa oT dahakte suraj aankhon kaa taaraa kyaa jaane"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"