SHAWORDS

ahl-e-sukhan bataaein mujhe martaba miraa — Farrukh Adeel

HomeFarrukh AdeelGhazal
"ahl-e-sukhan bataaein mujhe martaba miraa ghaalib ne aa ke khvaab mein matla sunaa miraa aayaa thaa ghumne ke liye main to chaar din kis ne banaa diyaa hai yahaan maqbara miraa phir muskuraa rahaa hai koi munh pe rakh ke haath phir aazmaa rahaa hai koi hausla miraa tab mujh pe ye khulaa koi andar ki choT hai jab aaine mein aks bhi dhundlaa gayaa miraa"
Urdu

اہل سخن بتائیں مجھے مرتبہ مرا غالب نے آ کے خواب میں مطلع سنا مرا آیا تھا گھومنے کے لیے میں تو چار دن کس نے بنا دیا ہے یہاں مقبرہ مرا پھر مسکرا رہا ہے کوئی منہ پہ رکھ کے ہاتھ پھر آزما رہا ہے کوئی حوصلہ مرا تب مجھ پہ یہ کھلا کوئی اندر کی چوٹ ہے جب آئنے میں عکس بھی دھندلا گیا مرا

Hindi

अहल-ए-सुख़न बताएँ मुझे मर्तबा मिरा ग़ालिब ने आ के ख़्वाब में मतला सुना मिरा आया था घूमने के लिए मैं तो चार दिन किस ने बना दिया है यहाँ मक़बरा मिरा फिर मुस्कुरा रहा है कोई मुँह पे रख के हाथ फिर आज़मा रहा है कोई हौसला मिरा तब मुझ पे ये खुला कोई अंदर की चोट है जब आइने में अक्स भी धुँदला गया मिरा

ahl-e-suḳhan batā.eñ mujhe martaba mirā
Farrukh Adeel
Farrukh Adeel
Farrukh Adeel
poet8 quotes

More by Farrukh Adeel

View all →
Quote
"havaa se dast-o-garebaan huaa to bhed khulaa main khud diye ki jagah par jalaa to bhed khulaa ham apne naqsh bhi kho baiThe us hasin ke liye hamaare haath lagaa aaina to bhed khulaa mujhe khabar hi na thi gham bhi hain zamaane mein jab aasmaan mire sar par giraa to bhed khulaa main chikhtaa hi rahaa be-asar sadaaein diin kisi taraf na milaa jab khudaa to bhed khulaa kisi ne haath baDhaayaa na koi paas aayaa rah-e-vafaa pe main thak kar giraa to bhed khulaa ye haadse mujhe patthar samajh rahe the 'adil' phir ek roz main jab ro paDaa to bhed khulaa"
Farrukh AdeelFarrukh Adeel
Quote
"main mutmain na huaa tujh ko gham sunaa ke bhi andheraa aur baDhaa hai diyaa jalaa ke bhi qubul karte hue dil taDapne lagtaa hai ajiib hote hain kuchh faisle khudaa ke bhi vo aasmaan miri dastaras mein kyaa aataa hazaar koshishein kiin eDiyaan uThaa ke bhi tujhe gale se lagaaein to jaan nikalti hai asir-e-jism hain lekin tiri hayaa ke bhi magar ye kyaa ki parinde shajar se gir jaaein agarche hote hain kuchh faaede havaa ke bhi qafas kaa qimti panchhi huun so kharidte vaqt mujhe uDaa ke bhi dekhaa gayaa giraa ke bhi nahin hai dasht faqat pyaas kaa havaala 'adil' main ro paDaa huun samundar ko aazmaa ke bhi"
Farrukh AdeelFarrukh Adeel
Quote
"ye chand log hamaare hain sab hamaare nahin chamak rahe hain ye jitne sabhi sitaare nahin na-jaane jalte hain kyon ham se ye jahaan vaale hamaare paas to ashaar hain sharaare nahin vo muskuraataa hai is vaaste tavaatur se ki us ne meri tarah din abhi guzaare nahin kuchh is liye bhi ham aison ko maut kaa Dar hai hamaare sar hain kai qarz jo utaare nahin nasib kaise sanvaareinge ham se khaana-ba-dosh jinhon ne baal bhi apne kabhi sanvaare nahin main shahsavaar huun unchi muhib lahron kaa bhanvar lubhaate raheinge mujhe kinaare nahin"
Farrukh AdeelFarrukh Adeel

More on Maa

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud