SHAWORDS

aks-e-khayaal-e-yaar sanvaaraa kareinge ham — Junaid Akhtar

HomeJunaid AkhtarGhazal
"aks-e-khayaal-e-yaar sanvaaraa kareinge ham shishe mein aaine ko utaaraa kareinge ham sahraa mein e'timaad ke gum-sum samaaatein kuchh log kah rahe the pukaaraa kareinge ham gardan kaTi hai haath bhi shaanon se kaT gae qaatil ki samt kaise ishaara kareinge ham mere khilaaf vo bhi samundar se mil gae dariyaa to kah rahe the kinaaraa kareinge ham chaadar se jab na chhup sakaa sukDaa huaa badan khul kar ab apne paanv pasaaraa kareinge ham saanson ki tarah ye bhi hain jiine ko laazmi choTein jo dab chuki hain ubhaaraa kareinge ham 'akhtar' hon jab sitaare sabhi aasmaan par phir kyuun kisi zamin pe guzaaraa kareinge ham"
Urdu

عکس خیال یار سنوارا کریں گے ہم شیشے میں آئنے کو اتارا کریں گے ہم صحرا میں اعتماد کے گم سم سماعتیں کچھ لوگ کہہ رہے تھے پکارا کریں گے ہم گردن کٹی ہے ہاتھ بھی شانوں سے کٹ گئے قاتل کی سمت کیسے اشارہ کریں گے ہم میرے خلاف وہ بھی سمندر سے مل گئے دریا تو کہہ رہے تھے کنارا کریں گے ہم چادر سے جب نہ چھپ سکا سکڑا ہوا بدن کھل کر اب اپنے پاؤں پسارا کریں گے ہم سانسوں کی طرح یہ بھی ہیں جینے کو لازمی چوٹیں جو دب چکی ہیں ابھارا کریں گے ہم اخترؔ ہوں جب ستارے سبھی آسمان پر پھر کیوں کسی زمیں پہ گزارا کریں گے ہم

Hindi

अक्स-ए-ख़याल-ए-यार सँवारा करेंगे हम शीशे में आइने को उतारा करेंगे हम सहरा में ए'तिमाद के गुम-सुम समाअतें कुछ लोग कह रहे थे पुकारा करेंगे हम गर्दन कटी है हाथ भी शानों से कट गए क़ातिल की सम्त कैसे इशारा करेंगे हम मेरे ख़िलाफ़ वो भी समुंदर से मिल गए दरिया तो कह रहे थे किनारा करेंगे हम चादर से जब न छुप सका सुकड़ा हुआ बदन खुल कर अब अपने पाँव पसारा करेंगे हम साँसों की तरह ये भी हैं जीने को लाज़मी चोटें जो दब चुकी हैं उभारा करेंगे हम 'अख़्तर' हों जब सितारे सभी आसमान पर फिर क्यूँ किसी ज़मीं पे गुज़ारा करेंगे हम

aks-e-ḳhayāl-e-yār sañvārā kareñge ham
Junaid Akhtar
Junaid Akhtar
Junaid Akhtar
poet20 quotes

More by Junaid Akhtar

View all →
Quote
"jaa ke suraj se milaa din mein bhi ghar se niklaa baad muddat main charaaghon ke asar se niklaa ab to mil jaati hain har moD pe aankhein achchhi teri aankhon kaa vo kaanTaa bhi nazar se niklaa kitni kam-go thi miri jaan-e-sukhan vo khushbu baat karne kaa bahaana bhi agar se niklaa jaane kis kis ko diye mere hazaaron dil the ye khazaana mire siine ke khanDar se niklaa mujh ko to gardish-e-dauraan ne diyaa hai lahja meraa matlab to isi zer-o-zabar se niklaa vo bhi mahfil mein chali aai hai pichhe pichhe main to ghar se isi tanhaai ke Dar se niklaa jis ki chhaanv mein sukun paaein sukhan ke panchhi peD vo meri hi mehnat ke samar se niklaa mujh ko le Duubi faraavaani ye sim-o-zar ki saaraa mehnat kaa mazaa luqma-e-tar se niklaa ho-na-ho is mein koi raaz chhupaa hai 'akhtar' kaam aksar to khudaa kaa bhi bashar se niklaa"
Junaid AkhtarJunaid Akhtar
Quote
"meri mahfil mein agar chaand sitaare hote vo bhi qurbaan miri jaan tumhaare hote mujh ko sahraaon se jaane ki ijaazat hoti phir ye dariyaa na samundar na kinaare hote vo to bas jhuTi tasalli ko kahaa thaa tum se ham to apne bhi nahin, khaak tumhaare hote un ke pichhe bhi koi gham kaa samundar hogaa varna aansu na kabhi aankh mein khaare hote tere vaadon ko bhi bachchon ki tarah se rakhtaa mujh se hote to sabhi raaj dulaare hote tum nahin the to miri rah gai izzat 'akhtar' main to paD jaataa agar paanv tumhaare hote baat saada thi magar der mein samjhe 'akhtar' duur kyuun hote agar paas tumhaare hote"
Junaid AkhtarJunaid Akhtar
Quote
"raah-e-talab mein daam-o-diram chhoD jaaeinge likh lo hamaare sher baDe kaam aaeinge jhuTaa hai jhuuT baat ye bolegaa aaina aao hamaare saamne ham sach bataaeinge tanhaa jo apnaa bojh uThaae hue hain khud mar jaaein ham to chaar ye mil kar uThaaeinge thoDi si be-khudi ho to ham uTh ke chal paDein hosh-o-havaas mein to qadam laDkhaDaaeinge ham ne tumhaare baad jalaayaa nahin charaagh tum kyaa samajh rahe the ki ham dil jalaaeinge 'akhtar' ham aasmaan pe aa to gae magar aisaa nahin ki apni zamin bhuul jaaeinge"
Junaid AkhtarJunaid Akhtar
Quote
"ham ne to bain mein nauhe mein sadaa-kaari ki aaj dafnaa di hai mayyat bhi ravaa-daari ki ham se bad-tar koi fankaar jahaan mein hogaa ham adaa-kaariyaan karte hain adaakaari ki ham ne ghairat kaa baghaavat kaa alaapaa dipak taan unchi hai magar aaj bhi darbaari ki ham ko saae se bhi shaahon ke bachaa kar rakhnaa ham pe aa jaae na tohmat bhi taraf-daari ki vo na maaneinge ki ye ain khataa hai un ki vo jo yaari ko bhi kahte hain ki 'ayyaari ki ham to anjaan the is ghar mein hamaaraa kyaa thaa tum to timsaal the duniyaa mein samajhdaari ki jin se uThti thiin siyah aag ki lapTein har dam ham ne aisi bhi zaminon mein shajar-kaari ki tum ko sote mein bhi kab aankh uThaa kar dekhaa ham ne khvaabon mein bhi aankhon ki nigah-daari ki"
Junaid AkhtarJunaid Akhtar
Quote
"harza-saraai bain-e-sukhan aur baDh gai sastaa huaa to qimat-e-fan aur baDh gai jaanaa ki dost hi thaa masihaa ke ruup mein dil par rakhaa jo haath jalan aur baDh gai jaane kahaan se aai thi kal raat ko havaa khiDki khuli to ghar mein ghuTan aur baDh gai pahle hi haath-paaon hasin kam na the magar rang-e-hinaa se un ki phaban aur baDh gai yaum-e-jazaa mein fitna-e-mahshar ki khair ho pahle hi jo thi sarv-badan aur baDh gai sahraa ko dekhne kaa to bachpan se shauq thaa dil ko lagaa liyaa to lagan aur baDh gai vo to mire manaane se 'akhtar' bigaD gae maathe pe ek gahri shikan aur baDh gai"
Junaid AkhtarJunaid Akhtar
Quote
"hai abhi tak isi vahshat ki inaayat baaqi koi bhi chiiz nahin ghar ki salaamat baaqi main bhalaa haath duaaon ko uThaataa kaise us ne chhoDi hi nahin koi zarurat baaqi us ne TuuTe hue TukDon se bhi pahchaan liyaa hai bikhar kar bhi miyaan meri nafaasat baaqi be-nishaan koi na ujDe hue khanDaraat rahein un mein rahti hai abhi ghar ki shabaahat baaqi pahle jazbaat chhalak paDte the khaamoshi se ab to lahjon mein bhi hai khaali muravvat baaqi khud ko aadat koi paDne hi nahin detaa huun meri ab tak hai hamesha ki ye aadat baaqi mere chhune se kali phuul bani jaati hai mere haathon mein abhi tak hai sharaarat baaqi main nazar aauun to dikhtaa nahin suraj 'akhtar' ek hi rah gai chhoTi si karaamat baaqi"
Junaid AkhtarJunaid Akhtar

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat