SHAWORDS

andesha-e-amal na khayaal-e-najaat hai — Faiz Jhanjhanvi

"andesha-e-amal na khayaal-e-najaat hai subh-e-haram se mast javaani ki raat hai dil ki agar baqaa to nazar kaa sabaat hai aansu jo mustajaab ho aab-e-hayaat hai tufaan-e-aam zalzala-e-kaaenaat hai kyaa zindagi mariz-e-mohabbat ki raat hai fikr-e-nasheman-o-gham-e-gul se najaat hai bijli mire liye nigah-e-iltifaat hai vo ik nazar ki jaaeza-e-dil na le sake kyaa faaeda jo mumtahin-e-kaaenaat hai maatam na kyon karun dil-e-saahil-nasib kaa is bahr-e-zindagi mein talaatum hayaat hai ye imtiyaaz-e-vahdat-o-kasrat bajaa sahi lekin qiyaam-e-zaat ba-qaid-e-sifaat hai ahl-e-chaman nigaah rakhein inqalaab par rang-e-khizaan bhi gul ki tarah be-sabaat hai gulshan mein 'faiz' masala-e-rang-o-bu na chheD ye imtiyaaz-e-qalb-o-nazar ki vafaat hai"
Urdu

اندیشۂ عمل نہ خیال نجات ہے صبح حرم سے مست جوانی کی رات ہے دل کی اگر بقا تو نظر کا ثبات ہے آنسو جو مستجاب ہو آب حیات ہے طوفان عام زلزلۂ کائنات ہے کیا زندگی مریض محبت کی رات ہے فکر نشیمن و غم گل سے نجات ہے بجلی مرے لئے نگہ التفات ہے وہ اک نظر کہ جائزۂ دل نہ لے سکے کیا فائدہ جو ممتحن کائنات ہے ماتم نہ کیوں کروں دل ساحل نصیب کا اس بحر زندگی میں تلاطم حیات ہے یہ امتیاز وحدت و کثرت بجا سہی لیکن قیام ذات بہ قید صفات ہے اہل چمن نگاہ رکھیں انقلاب پر رنگ خزاں بھی گل کی طرح بے ثبات ہے گلشن میں فیضؔ مسئلۂ رنگ و بو نہ چھیڑ یہ امتیاز قلب و نظر کی وفات ہے

Hindi

अंदेशा-ए-अमल न ख़याल-ए-नजात है सुब्ह-ए-हरम से मस्त जवानी की रात है दिल की अगर बक़ा तो नज़र का सबात है आँसू जो मुस्तजाब हो आब-ए-हयात है तूफ़ान-ए-आम ज़लज़ला-ए-काएनात है क्या ज़िंदगी मरीज़-ए-मोहब्बत की रात है फ़िक्र-ए-नशेमन-ओ-ग़म-ए-गुल से नजात है बिजली मिरे लिए निगह-ए-इल्तिफ़ात है वो इक नज़र कि जाएज़ा-ए-दिल न ले सके क्या फ़ाएदा जो मुम्तहिन-ए-काएनात है मातम न क्यों करूँ दिल-ए-साहिल-नसीब का इस बहर-ए-ज़िंदगी में तलातुम हयात है ये इम्तियाज़-ए-वहदत-ओ-कसरत बजा सही लेकिन क़ियाम-ए-ज़ात ब-क़ैद-ए-सिफ़ात है अहल-ए-चमन निगाह रखें इंक़लाब पर रंग-ए-ख़िज़ाँ भी गुल की तरह बे-सबात है गुलशन में 'फ़ैज़' मसअला-ए-रंग-ओ-बू न छेड़ ये इम्तियाज़-ए-क़ल्ब-ओ-नज़र की वफ़ात है

andesha-e-amal na ḳhayāl-e-najāt hai
Faiz Jhanjhanvi
Faiz Jhanjhanvi
Faiz Jhanjhanvi
poet14 quotes

More by Faiz Jhanjhanvi

View all →
Quote
"gul-e-rangin mah-e-kaamil kahaan hai mujhe aavaaz de ai dil kahaan hai hai khud gumraah aql-e-maslahat mein junun se puchhiye manzil kahaan hai har ik shai is muhit-e-zindagi mein fareb-e-mauj hai saahil kahaan hai na iThlaa ai nasim-e-subh-gaahi khudaa jaane miraa ab dil kahaan hai dar-e-maazi jabin-e-haal kab tak bataa ai mere mustaqbil kahaan hai na maalum ai sukun-e-kaamraani vo lutf-e-sai-e-laa-haasil kahaan hai bahaar aaegi ashk-e-saada-ru par abhi khun-e-jigar shaamil kahaan hai vo dil jis ko mayassar hai huzuri asir-e-bazm-e-aab-o-gil kahaan hai jise samjhaa hai 'faiz' aaina-e-haq vo be-aks-e-rukh-e-baatil kahaan hai"
Faiz JhanjhanviFaiz Jhanjhanvi
Quote
"yad-e-baizaa rukh-e-yusuf dil-e-mansur hote hain jo tu dekhe to zarre bhi charaagh-e-tur hote hain gar is nukte ko kuchh samjhaa to sarv-e-paa-ba-gil samjhaa ki baagh-e-dahr mein aazaad bhi majbur hote hain shabaab-e-mast ki Dhalti hui taarik raaton par sahar hansti hai yaa mu-e-siyah kaafur hote hain ho sadd-e-raah kyon tere liye sang-e-vajud apnaa tu bebaakaana paa-e-naaz uThaa ham duur hote hain ye mai-khaana hai ai shaikh-e-haram laghzida-paa ho jaa ki ik Thokar se paidaa is jagah sau tuur hote hain sar-e-jamshed ko khisht-e-khum-e-sahbaa se Takraa dein gadaa-e-mai-kada bhi kis qadar maghrur hote hain hiqaarat ki nazar se khirqa-poshon ko na dekh ai dil ki aksar in mein apne ahd ke mansur hote hain muhayyaa sang-e-dar ai naa-muraad-e-zindagi kar le ki jiine ki tarah marne ke bhi dastur hote hain na ho khun-e-jigar jin mein na aavaaz-e-shikast-e-dil vo aansu huun ki naale 'faiz' naa-manzur hote hain"
Faiz JhanjhanviFaiz Jhanjhanvi
Quote
"abhi abhi thaa tabassum abhi hijaab mein hai zamaane bhar kaa talavvun tire shabaab mein hai zamir-e-lauh-o-qalam jis se pech-o-taab mein hai vo raaz mere dil-e-khaanumaan-kharaab mein hai tasavvur us kaa mire dida-e-pur-aab mein hai jo be-hijaab bhi ho kar abhi hijaab mein hai nigaah-e-husn se azal jau kaundi thi vo barq dekh mire saaghar-e-sharaab mein hai bas ek sabza-e-begaana par nahin mauquf ye vo chaman hai jahaan zarra zarra khvaab mein hai likhaa thaa kilk-e-azal ne jo husn-o-masti par vo tabsira bhi tiri chashm-e-nim-khvaab mein hai bilittifaaq tum ab ban gae na markaz-e-husn yahi to baat mire husn-e-intikhaab mein hai khayaal-e-tark-e-mohabbat durust 'faiz' magar main puchhtaa huun ye imkaan aan-janaab mein hai"
Faiz JhanjhanviFaiz Jhanjhanvi
Quote
"kyaa ghazab tu ne ye ai zauq-e-pashemaan kar diyaa meraa aansu un ki aankhon se numaayaan kar diyaa thaa mujhe to khair paighaam-e-junun josh-e-bahaar gul pe kyaa guzri ki chaak us ne garebaan kar diyaa khanda-e-gul jalva-e-shabnam farogh-e-maahtaab main ne jis manzar pe chaahaa un ko uryaan kar diyaa ye gul-e-aatish-ba-jaan ye laala-e-raushan-zamir ai nasim-e-subh tu ne to charaaghaan kar diyaa be-niyaaz-e-mausam-e-gul thaa miraa josh-e-junun main ne jis zarre ko Thukraayaa gulistaan kar diyaa gar miri jaanib nazar uTThi zahe-qismat magar tum ne ye kyaa tiir saa juzv-e-rag-e-jaan kar diyaa main koi naqsh-e-kaf-e-paa thaa sar-e-raah-e-talab aankh abhi khulne na paai thi ki hairaan kar diyaa bil-yaqin lakht-e-jigar apnaa thaa farzand-e-khalil surkh-ru dida-e-tar hai hai ki qurbaan kar diyaa sun rahaa huun ghunche ghunche se anal-haq ki sadaa kyaa mire dil ko ham-aaghosh-e-gulistaan kar diyaa naara-e-rind-e-kharaabaati na labbaik-e-haram tu ne uTh kar bazm ko shahr-e-khamoshaan kar diyaa misl-e-gul main to chaman mein muskuraayaa bhi nahin phir mujhe kis jurm mein tu ne pareshaan kar diyaa haath bhi uThne na paayaa thaa Ba-hangaam-e-junun kahkashaan ne hans ke pesh apnaa garebaan kar diyaa shaam surma dar-gulu hai to sahar pamba-ba-gosh kis jahaan mein 'faiz' ko tu ne ghazal-khvaan kar diyaa"
Faiz JhanjhanviFaiz Jhanjhanvi
Quote
"ik baada-e-simaabi barsaa mah-o-akhtar se nikle jo taDap kar vo chaak-e-dil-e-muztar se ik ishrat-e-laa-faani ik dard-e-baqaa-parvar mizaan-e-do-aalam mein ham tum hain baraabar se khultaa hai ba-aasaani kab uqda-e-majburi aise mein to kaam ai dil le naakhun-e-khanjar se ik sai-e-nazaara phir ai chashm-e-tamaashaai shaayad na naqaab uTThe phir is rukh-e-anvar se aao gham-e-pursish kyaa main shikve se baaz aaya tum chaar qadam pichhe kyon ho saf-e-mehshar se ik marg-e-dil-o-jaan thi manzil ki tan-aasaani rahzan se ziyaada hai shikva mujhe rahbar se ai 'faiz' taqaazaa-e-tahzib-e-nazariya hai dekh us but-e-kaafir ko chashm-e-mah-o-akhtar se"
Faiz JhanjhanviFaiz Jhanjhanvi
Quote
"fareb-e-dair-o-haram mein aa kar tavaaf-e-jaam-o-subu na karnaa gunaah hai rind-mashrabi mein gunaah ki aarzu na karnaa bayaan se kyaa khaak shiddat-e-soz-e-gham kaa andaaza ho sakegaa guzaarish-e-haal-e-vaaqai hai mariz kaa guftugu na karnaa agar tujhe gulsitaan-e-hasti mein hai par-o-baal ki zarurat to shaakh-e-gul par kabhi murattab nasheman-e-rang-o-bu na karnaa tulua hotaa hai aaftaab-e-khudi garebaan-e-be-khudi se tajassus-e-aql gumrahi hai tu bhuul kar justuju na karnaa ho husn ki raae mein shikast-e-khudi ki tauhin-e-be-niyaazi aqida-e-ishq mein to lekin haraam hai aarzu na karnaa yahin se ik roz aaftaab-e-hayaat-e-nau phir tulua hogaa agar vo taar-e-nazar bhi bakhshein to chaak-e-dil tu rafu na karnaa tiri nigaah-e-karam ne har anjuman ke aaiin badal diye hain kabhi khamoshi savaab thi ab azaab hai guftugu na karnaa namaaz kyaa laghzish-e-qadam bhi hai mustajaab us ki baargah mein agar mayassar huzur-e-dil ho gunaah bhi be-vuzu na karnaa havaa-e-sair-e-chaman mubaarak guzaarish-e-'faiz' is qadar hai asir-e-daam-e-nigaah ho kar tu dil ko be-aabru na karnaa"
Faiz JhanjhanviFaiz Jhanjhanvi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi