SHAWORDS

apnaa ahd-e-vafaa nibhaataa huun — RuKHsaar Nazimabadi

"apnaa ahd-e-vafaa nibhaataa huun ab use roz gungunaataa huun meri himmat na puchhiye saahab ret par kashtiyaan chalaataa huun do fariqon ke darmiyaan aksar main mohabbat ke pul banaataa huun meri imdaad aur kuchh bhi nahin main faqat hausle baDhaataa huun aaj-kal pencilon se kaaghaz par dhuup mein roTiyaan banaataa huun main kabhi dushmani nahin kartaa aur ho jaae to nibhaataa huun faisle apne chhoD kar un par zarf logon ke aazmaataa huun"
Urdu

اپنا عہد وفا نبھاتا ہوں اب اسے روز گنگناتا ہوں میری ہمت نہ پوچھئے صاحب ریت پر کشتیاں چلاتا ہوں دو فریقوں کے درمیاں اکثر میں محبت کے پل بناتا ہوں میری امداد اور کچھ بھی نہیں میں فقط حوصلے بڑھاتا ہوں آج کل پنسلوں سے کاغذ پر دھوپ میں روٹیاں بناتا ہوں میں کبھی دشمنی نہیں کرتا اور ہو جائے تو نبھاتا ہوں فیصلے اپنے چھوڑ کر ان پر ظرف لوگوں کے آزماتا ہوں

Hindi

अपना अहद-ए-वफ़ा निभाता हूँ अब उसे रोज़ गुनगुनाता हूँ मेरी हिम्मत न पूछिए साहब रेत पर कश्तियाँ चलाता हूँ दो फ़रीक़ों के दरमियाँ अक्सर मैं मोहब्बत के पुल बनाता हूँ मेरी इमदाद और कुछ भी नहीं मैं फ़क़त हौसले बढ़ाता हूँ आज-कल पेंसिलों से काग़ज़ पर धूप में रोटियाँ बनाता हूँ मैं कभी दुश्मनी नहीं करता और हो जाए तो निभाता हूँ फ़ैसले अपने छोड़ कर उन पर ज़र्फ़ लोगों के आज़माता हूँ

apnā ahd-e-vafā nibhātā huuñ
RuKHsaar Nazimabadi
RuKHsaar Nazimabadi
ruKHsaar Nazimabadi
poet8 quotes

More by RuKHsaar Nazimabadi

View all →
Quote
"ye zindagi nae manzar dikhaa rahi hai mujhe khizaan hai aakhiri mausam bataa rahi hai mujhe hansaa rahi hai kabhi ye rulaa rahi hai mujhe ghazal miri hi kahaani sunaa rahi hai mujhe vo ek shai jo ki siine mein hai kahin maujud kisi ke hukm pe pal pal chalaa rahi hai mujhe ye ittifaaq nahin hain koi duaa hai jo yuun haadson se musalsal bachaa rahi hai mujhe tu buzdili na samajh ye hi to sharaafat hai mire lahu ki nafaasat jhukaa rahi hai mujhe jo ek lahr bhanvar ke thi aas paas kahin vo dhire dhire kinaare lagaa rahi hai mujhe baghair us ke thi mumkin kahaan rihaai miri ye maut aa ke balaa se chhuDaa rahi hai mujhe nae libaas mein lipTaa huaa huun aur ye zamin mire vajud ki qimat bataa rahi hai mujhe ye tez dhuup ye sahraaon kaa safar 'rukhsaar' yahi tapish hai jo kundan banaa rahi hai mujhe"
RuKHsaar NazimabadiRuKHsaar Nazimabadi
Quote
"log jo saahab-e-kirdaar huaa karte the bas vahi qaabil-e-dastaar huaa karte the ye alag baat vo thaa daur-e-jahaalat lekin log an-paDh bhi samajhdaar huaa karte the saamne aa ke nibhaate the adaavat apni piiTh pichhe se kahaan vaar huaa karte the jin qabilon mein yahaan aaj diye hain raushan un qabilon ke to sardaar huaa karte the tab adaalat se riaayat nahin mil paati thiin tab gunahgaar gunahgaar huaa karte the kyaa zamaana thaa mahakti thiin vo kyaari ghar ki ghar ke aangan gul-o-gulzaar huaa karte the qaid mazhab ki na thi kal ke paDosi donon ek duuje ke madad-gaar huaa karte the ghar ke sab log nibhaate the khushi se jin ko ghar ke har fard ke kirdaar huaa karte the"
RuKHsaar NazimabadiRuKHsaar Nazimabadi
Quote
"lihaaz karte adab ehtiraam karte hue guzar rahaa huun mohabbat ko aam karte hue ye raat aa ke mujhe phir se joD deti hai main TuuT jaataa huun din ikhtitaam karte hue baghair zaad-e-safar ham pahunch gae manzil bhaTakte girte sambhalte qayaam karte hue kisi kaa koi bhi kirdaar rah na jaae kahin khayaal rakhnaa kahaani tamaam karte hue miraa zamir malaamat kare hai yuun mujh par mujhe jo dekhe hai tujh ko salaam karte hue ye mere pusta-e-jaan mein shigaaf the lekin kisi ne dekhaa nahin rok thaam karte hue vo baat baat pe naaraaz hone lagtaa hai so khauf aataa hai us se kalaam karte hue koi mazaaq nahin umr bhar ki mehnat ko kaleja chaahiye ghairon ke naam karte hue"
RuKHsaar NazimabadiRuKHsaar Nazimabadi
Quote
"maut kaa Dar naakhudaa kuchh bhi nahin zindagi kaa masala kuchh bhi nahin aag paani aur havaa kuchh bhi nahin sirf miTTi thi banaa kuchh bhi nahin kuchh lahu kaa rang aur kuchh aab-o-gil mujh mein to khud-saakhta kuchh bhi nahin zindagi ki is hasin paazeb mein sirf ghungru ke sivaa kuchh bhi nahin diid ki khvaahish ki muusaa ne vahaan lekin un par bhi khulaa kuchh bhi nahin ho na jab tak hijr ki mushkil radif vasl kaa to qaafiya kuchh bhi nahin be-yaqini hai yaqini kaifiyat haath uThe hain par duaa kuchh bhi nahin haan agar maqsud ho didaar-e-yaar tab khalaa aur faasla kuchh bhi nahin ab zamin par main agar maujud huun is mein to meri khataa kuchh bhi nahin jis tarah 'rukhsaar' guzri zindagi maut kaa ye marhala kuchh bhi nahin"
RuKHsaar NazimabadiRuKHsaar Nazimabadi
Quote
"tark-e-taalluqaat kaa vaada nahin kiyaa vaada agar kiyaa use puuraa nahin kiyaa ik kaam thaa zaruri zaruri thaa ek kaam dil mutmain nahin thaa lihaazaa nahin kiyaa jaisi mili hai vaisi guzaari hai zindagi ham ne kahin bhi jhuTaa dikhaavaa nahin kiyaa khud ko kai maqaam pe kham to kiyaa zarur lekin kisi ke ru-ba-ru sajda nahin kiyaa apni bisaat se bhi baDhaa kar ke khvaahishaat apne dukhon mein aur izaafa nahin kiyaa dhokaa kisi ke saath jo karnaa paDaa agar vo bhi zaruraton se ziyaada nahin kiyaa ik baar baargaah-e-ilaahi mein ki duaa phir us se duuji baar taqaaza nahin kiyaa jis se bhi hai faqat vo usulon ki jang hai varna kabhi kisi se bhi jhagDaa nahin kiyaa rakht-e-safar mein sab ko baraabar kiyaa sharik taqsim-e-zaad-e-raah anokhaa nahin kiyaa"
RuKHsaar NazimabadiRuKHsaar Nazimabadi
Quote
"andheri shab diyaa jugnu qamar nain safar mein ab koi bhi ham-safar nain ham aise band kamron ke makin hain jahaan taaza havaaon kaa guzar nain khushaamad chaaplusi jhuuT ghibat hamaare paas to koi hunar nain jo ghurbat ke andheron mein pale hain nai tahzib kaa un par asar nain ajab mausam milaa hai zindagi ko nai rut hai darakhton par samar nain sabab apni hazimat ke kai the bas ik tanhaa bahaadur-shah-zafar nain ye kis jaanib safar tum kar rahe ho ab aankhon mein umidon kaa nagar nain guzarne kaa udhar se lutf hi kyaa jidhar maujein talaatum aur bhanvar nain us aane vaale kal kaa kyaa bharosa jin agle chand lamhon ki khabar nain koi ik raat hi mein khatm kar le main qissa is qadar bhi mukhtasar nain jise 'rukhsaar' ab main sah rahaa huun musalsal ik aziyyat hai safar nain"
RuKHsaar NazimabadiRuKHsaar Nazimabadi

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb