Quote
"koi aahaT koi dastak koi jhankaar to ho us ki jaanib se kisi baat kaa izhaar to ho bukhl se kaam na lungaa main saraahungaa use koi chehra tire maanind trahdaar to ho zakhm sah lungaa munDeron pe lage shishon ke koi shai diid ke qaabil pas-e-divaar to ho chand lamhon ki masaafat ho ki barson kaa safar kaif-parvar hain sabhi sang koi yaar to ho chand lamhe mein kahin baiTh ke dam le to sakun dar mile yaa na mile saaya-e-divaar to ho"
