"azm faani bhi laa-zavaal bhi hai aadmi hai to ye kamaal bhi hai aarzu mein halaavatein bhi hain aarzu markaz-e-khayaal bhi hai vaardaat-e-junun kaa zikr na chheD kuchh khushi bhi hai kuchh malaal bhi hai aaina hai javaab vahshat kaa aaina paikar-e-savaal bhi hai hai javaan fikr daur-e-haazir ki shiddat-e-hosh se niDhaal bhi hai khvaahish-e-zist aaj duniyaa mein jurm hai aur be-misaal bhi hai kitne suraj ubhar ke Duub gae ufuq-e-dil ko ye khayaal bhi hai apne maazi ko bhulne vaale tujh se vaabasta meraa haal bhi hai chaahtaa huun jise main us kaa 'nazar' dusraa naam laa-zavaal bhi hai"
apne baare mein jab bhi sochaa hai — Jamil Nazar
"apne baare mein jab bhi sochaa hai us kaa chehra nazar mein ubhraa hai tajrabon ne yahi bataayaa hai aadmi shohraton kaa bhukaa hai dekhiye to hai kaarvaan varna har musaafir safar mein tanhaa hai us ke baare mein sochne vaalo dekh lo ab ye haal apnaa hai kaun bandish lagaae khushbu ki ishq fitrat kaa ik taqaazaa hai yaad aai hai jaane kis kis ki lab pe jab zikr us kaa aayaa hai fikr ki talkhiyon mein gum ho kar aadmi be-sabab bhi hanstaa hai aarzumand koi ho to kahun mere dil mein bhi ik tamannaa hai mere chehre pe jo likhaa hai 'nazar' ghaur se kis ne us ki samjhaa hai"
اپنے بارے میں جب بھی سوچا ہے اس کا چہرہ نظر میں ابھرا ہے تجربوں نے یہی بتایا ہے آدمی شہرتوں کا بھوکا ہے دیکھیے تو ہے کارواں ورنہ ہر مسافر سفر میں تنہا ہے اس کے بارے میں سوچنے والو دیکھ لو اب یہ حال اپنا ہے کون بندش لگائے خوشبو کی عشق فطرت کا اک تقاضا ہے یاد آئی ہے جانے کس کس کی لب پہ جب ذکر اس کا آیا ہے فکر کی تلخیوں میں گم ہو کر آدمی بے سبب بھی ہنستا ہے آرزو مند کوئی ہو تو کہوں میرے دل میں بھی اک تمنا ہے میرے چہرے پہ جو لکھا ہے نظرؔ غور سے کس نے اس کی سمجھا ہے
अपने बारे में जब भी सोचा है उस का चेहरा नज़र में उभरा है तजरबों ने यही बताया है आदमी शोहरतों का भूका है देखिए तो है कारवाँ वर्ना हर मुसाफ़िर सफ़र में तन्हा है उस के बारे में सोचने वालो देख लो अब ये हाल अपना है कौन बंदिश लगाए ख़ुशबू की इश्क़ फ़ितरत का इक तक़ाज़ा है याद आई है जाने किस किस की लब पे जब ज़िक्र उस का आया है फ़िक्र की तल्ख़ियों में गुम हो कर आदमी बे-सबब भी हँसता है आरज़ूमंद कोई हो तो कहूँ मेरे दिल में भी इक तमन्ना है मेरे चेहरे पे जो लिखा है 'नज़र' ग़ौर से किस ने उस की समझा है

More by Jamil Nazar
View all →"majbur-e-iltifaat bhi honge jafaa ke baad aataa hai inqalaab agar intihaa ke baad sab ko nae nae se ujaalon ki fikr hai tahrik-e-ehtiyaat chali hai havaa ke baad maazi kaa tazkira hai na ab fikr-e-haal hai bedaar ho gayaa huun main kis ki sadaa ke baad paate hain laa-shuur mein ham qalb-e-maahiyat ehsaas kuchh latif hai itnaa sazaa ke baad dushvaar us pe ho gai kuchh aur dastaras jab tajziya kiyaa hai asar kaa duaa ke baad vo din gae ki khaak-nashinon ke dost the ab to samajh rahe hain vo khud ko khudaa ke baad tauhin-e-aarzu hai jahaan-e-shuur mein tark-e-vafaa kaa vahm bhi azm-e-vafaa ke baad jiine ki ik umiid to paidaa hui 'nazar' dil mutmain hamein nazar aayaa jafaa ke baad"
"ahl-e-junun kaa jab bhi chaman mein guzar huaa arbaab-e-fikr ke liye ik dard-e-sar huaa unvaan har aarzu kaa ba-shart-e-nazar huaa afsaana khatm sab kaa tire naam par huaa naakaamiyon se hausle kuchh aur baDh gae sau dar khule hain band agar ek dar huaa meraa mazaaq tirgi-e-shab hai dosto vo koi aur hogaa jo vaqf-e-sahar huaa apnon hi ki harif-e-nazar khaa gai use paidaa jahaan chaman mein koi dida-var huaa tere hi iltifaat kaa mannat-guzaar hai jo haadisa bhi vaqt se kuchh peshtar huaa naa-pukhtagi-e-shauq ke aalam mein ai 'nazar' jo markaz-e-khayaal banaa muntashar huaa"
"kuchh na kuchh sochne pe huun majbur log samjhein agar mazaaq-e-shuur ek be-naam si talab ke liye sar-ba-sajda huun nafraton ke huzur dhaDkanein dil ki chaahti hain jumud bolne par na kijiye majbur ek ummid ke sahaare par ghup andheron ko kar rahaa huun ubuur raah-e-manzil kaa phir taayyun kyaa har musaafir kaa hai alag manshur main ne aksar taraash kar dekhaa husn detaa hai pattharon ko ghurur us ki khushbu ke daaere na khutut log alfaaz mein rahe mahsur saanehe kaa khayaal aate hi aadmi muD ke dekhtaa hai zarur kis fazaa mein kaTi ye umr 'nazar' saans lene kaa aa sakaa na shuur"
"judaai ruuh ko jab ishtiaal deti hai khunuk havaa bhi badan ko ubaal deti hai agar ho vaqt kaa ehsaas zindagaani mein har ek saans hamein ik savaal deti hai usi ke dam se to yaadon ke zakhm taaza hain yahi sabaa hai jo har ghar kaa haal deti hai fazaa mein rang tiri khushbuon ke phailaa ke dukhe dilon ko sabaa bhi malaal deti hai raqaabaton ke sabab se jo dhund chhaa jaae tiri nigaah vo manzar khangaal deti hai kudaal pahli chalaa kar rivaayaton pe 'nazar' kiyaa vo kaam ki duniyaa misaal deti hai"
"mohabbat ko jo zaahir kar rahi hai mire chehre pe vo tahrir bhi hai huiin sadiyaan nazar ke zalzalon ko abhi tak shahr ki haalat vahi hai ujaagar jab bhi us ke gham hue hain nae rukh se ghazal main ne kahi hai agar gahraa nahin hai zakhm-e-ehsaas hamaare sochne mein kuchh kami hai havaa-e-zulm ke jhonke idhar bhi mire dil mein bhi shauq-e-aagahi hai tire anjaan bhi tere shanaasaa hamaaraa aashnaa bhi ajnabi hai main tere zulm kaa radd-e-amal huun miraa paighaam sulh-o-aashti hai kahaavat ban chuki hai jis ki vahshat 'nazar' hi ek aisaa aadmi hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"