SHAWORDS

apne vahm-o-gumaan se niklaa — Abdul Mateen Niyaz

"apne vahm-o-gumaan se niklaa main andhere makaan se niklaa be-rukhi dekh ab zamaane ki muddaaa kyuun zabaan se niklaa samt kaa gham na thaa safine ko ye alam baadbaan se niklaa dhuup barsaa rahi thiin talvaarein phir bhi main saaebaan se niklaa vaqt mohlat na degaa phir tum ko tiir jis dam kamaan se niklaa aa gayaa lijiye saahil-e-hasti main baDe imtihaan se niklaa zindagi kaa nayaa mizaaj 'niyaaz' dard ke khaandaan se niklaa"
Urdu

اپنے وہم و گمان سے نکلا میں اندھیرے مکان سے نکلا بے رخی دیکھ اب زمانے کی مدعا کیوں زبان سے نکلا سمت کا غم نہ تھا سفینے کو یہ الم بادبان سے نکلا دھوپ برسا رہی تھیں تلواریں پھر بھی میں سائبان سے نکلا وقت مہلت نہ دے گا پھر تم کو تیر جس دم کمان سے نکلا آ گیا لیجئے ساحل ہستی میں بڑے امتحان سے نکلا زندگی کا نیا مزاج نیازؔ درد کے خاندان سے نکلا

Hindi

अपने वहम-ओ-गुमान से निकला मैं अँधेरे मकान से निकला बे-रुख़ी देख अब ज़माने की मुद्दआ' क्यूँ ज़बान से निकला सम्त का ग़म न था सफ़ीने को ये अलम बादबान से निकला धूप बरसा रही थीं तलवारें फिर भी मैं साएबान से निकला वक़्त मोहलत न देगा फिर तुम को तीर जिस दम कमान से निकला आ गया लीजिए साहिल-ए-हस्ती मैं बड़े इम्तिहान से निकला ज़िंदगी का नया मिज़ाज 'नियाज़' दर्द के ख़ानदान से निकला

apne vahm-o-gumān se niklā
Abdul Mateen Niyaz
Abdul Mateen Niyaz
Abdul Mateen Niyaz
poet35 quotes

More by Abdul Mateen Niyaz

View all →
Quote
"shaam aai dard kaa bistar khulaa ab rahegaa zakhm-e-dil shab-bhar khulaa qatl kaa ilzaam mujh par kis liye khuun us ki aastinon par khulaa paaon ke niche zamin dozakh hui aur sar par dhuup kaa khanjar khulaa amn kaa daftar bhi us ke ghar mein hai chhoD rakkhaa hai usi ne shar khulaa nafraton ke is kunein ko chhoDiye aaiye baahar ki hai baahar khulaa tul gae aadarsh sab daulat ke bhaav is sadi kaa kyaa ajab manzar khulaa munh se us ke phuul jhaDte hain 'niyaaz' haath mein rakhtaa hai vo nishtar khulaa"
Abdul Mateen NiyazAbdul Mateen Niyaz
Quote
"tajrabon ke mausam jab saazgaar aaeinge fikr ke darakhton mein barg-o-baar aaeinge juratein uDaanon ki paar le gaiin ham ko ghaat mein rahe jangal ab shikaar aaeinge TukDe TukDe ummidein joD lungaa main jis din hanste gaate mausam khud mere dvaar aaeinge ham ko dekhnaa ye hai bojh to nahin jivan marhale to dukh sukh ke baar baar aaeinge phuul bante jaaeinge zakhm zakhm talvon se meri raah mein jitne khaar-zaar aaeinge Duub jaa niyaaz ab to sath ki chamak mat dekh tujh ko gahre paani hi saazgaar aaeinge"
Abdul Mateen NiyazAbdul Mateen Niyaz
Quote
"hamein to jism se baahar khulaa saa lagtaa hai ye jism ruuh pe lipTi ridaa saa lagtaa hai har ek chehre pe kuchh rang hai kudurat kaa tamaam shahr kaa mausam khafaa saa lagtaa hai sukhan farebon ko rakhtaa hai vo aziiz magar miraa khulus use be-mazaa saa lagtaa hai vajud us kaa munavvar hai us ki sirat se vo aadmi hai magar aaina saa lagtaa hai tumhaari zaat pe kartaa hai jab koi tanqid khudaa hi jaane mujhe kyon buraa saa lagtaa hai amir-e-shahr kaa kirdaar hi nahin khultaa kabhi harif kabhi ham-navaa saa lagtaa hai 'niyaaz' fikr dikhaati hai jab kabhi eajaaz puraanaa lafz bhi bilkul nayaa saa lagtaa hai"
Abdul Mateen NiyazAbdul Mateen Niyaz
Quote
"barg piile kyaa hue shor-e-khizaan uThne lagaa be-sharar hi sina-e-gul se dhuaan uThne lagaa naam par ham ko tahaffuz ke mile itne fareb dhire dhire eatibaar-e-aasmaan uThne lagaa rahmatein shaayad ki ham se bhi gurezaan ho gaiin varna kyon is shahr se amn-o-amaan uThne lagaa kah ke divaana mujhe duniyaa ne rusvaa kar diyaa aankh se jab parda-e-vahm-o-gumaan uThne lagaa baT gai ik din jaziron mein hamaari zindagi aur kahaani se shuur-e-daastaan uThne lagaa kaash pahle jaagte to dhuup mein jalte na ham niind jab TuuTi ki sar se saaebaan uThne lagaa aag phir lagne lagi nafrat ki shahron mein 'niyaaz' dekhiye chaaron taraf phir se dhuaan uThne lagaa"
Abdul Mateen NiyazAbdul Mateen Niyaz
Quote
"hamaare dast-e-sakhaa kaasa-e-gadaai hain jo rahnumaa the vo muhtaaj-e-rahnumaai hain jo mil bhi jaae to kaise uThaaeinge talvaar ye bad-nasib to TuuTi hui kalaai hain harif jo bhi hain vo sab ke sab muqaabil hain jo vaar karte hain pichhe se apne bhaai hain bas ek naam ki tasbih roz-o-shab paDhnaa mujhe ye lagtaa hai ye dhaDkanein paraai hain ye aap hi ki navaazish hai mehrbaani hai hamaari palkon pe jo shamein jagmagaai hain main muntazir thaa bahaaron ke lauTne kaa magar mire dukhon ki rutein phir se lauT aai hain kahin bichhaDne ki saaat qarib hi to nahin 'niyaaz' aankhein achaanak jo DabDabaai hain"
Abdul Mateen NiyazAbdul Mateen Niyaz

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb