"rakh diyaa main ne dar-e-husn pe haaraa huaa ishq aaj ke baa'd miri jaan tumhaaraa huaa ishq choT gahri thi magar paaon nahin ruk paae ham palaT aae vahin ham ko dobaara huaa ishq jhilmilaataa hai miri aankh mein aansu ban kar aa gayaa raas mujhe dil mein utaaraa huaa ishq sikka-e-vaqt badalte hi sabhi chhoD gae zaat ke shahr mein ik umr sahaaraa huaa ishq jab bhi hoti hai dar-e-khvaab pe dastak koi jaag jaataa hai tire hijr kaa maaraa huaa ishq meri aankhon se Tapaktaa hai lahu ban ke 'amin' teri galiyon mein shab-o-roz guzaaraa huaa ishq"
ashk piine na dard khaane se — Ameen Adirai
"ashk piine na dard khaane se ishq paltaa hai khuun pilaane se kaise kah duun tumhaari yaad se main jaa nikal jaa mire fasaane se apne dar par main ek aahaT kaa muntazir huun baDe zamaane se mere ghar mein hai ek meraa vajud aur bartan hain kuchh puraane se roz karte hain bazm mein rusvaa ashk chhupte nahin chhupaane se ji rahaa huun ki mar gayaa huun main dekh jaataa hai vo bahaane se masale hal hue hazaaron 'amin' ek aavaaz ke uThaane se"
اشک پینے نہ درد کھانے سے عشق پلتا ہے خوں پلانے سے کیسے کہہ دوں تمہاری یاد سے میں جا نکل جا مرے فسانے سے اپنے در پر میں ایک آہٹ کا منتظر ہوں بڑے زمانے سے میرے گھر میں ہے ایک میرا وجود اور برتن ہیں کچھ پرانے سے روز کرتے ہیں بزم میں رسوا اشک چھپتے نہیں چھپانے سے جی رہا ہوں کہ مر گیا ہوں میں دیکھ جاتا ہے وہ بہانے سے مسئلے حل ہوئے ہزاروں امینؔ ایک آواز کے اٹھانے سے
अश्क पीने न दर्द खाने से इश्क़ पलता है ख़ूँ पिलाने से कैसे कह दूँ तुम्हारी याद से मैं जा निकल जा मिरे फ़साने से अपने दर पर मैं एक आहट का मुंतज़िर हूँ बड़े ज़माने से मेरे घर में है एक मेरा वजूद और बर्तन हैं कुछ पुराने से रोज़ करते हैं बज़्म में रुस्वा अश्क छुपते नहीं छुपाने से जी रहा हूँ कि मर गया हूँ मैं देख जाता है वो बहाने से मसअले हल हुए हज़ारों 'अमीन' एक आवाज़ के उठाने से

More by Ameen Adirai
View all →"maar detaa mujhe miTaa detaa is se baDh kar vo kyaa sazaa detaa shart hoti agar vafaa ki yahi qatra-qatra main khun-bahaa detaa phuul hotaa to baanTtaa khushbu main to kaanTaa thaa tujh ko kyaa detaa baandh letaa jo paaon mein ghungru saari duniyaa ko main nachaa detaa main na gar roktaa to vo paagal apne haathon se ghar jalaa detaa jhaank letaa jo mere dil mein 'amin' meraa dushman mujhe duaa detaa"
"raah-e-dushvaar apni had mein rah dekh is baar apni had mein rah tu nahin jiit paaegaa mujh se ai gham-e-yaar apni had mein rah khuun sar par savaar hai mere aaj divaar apni had mein rah main bhi apni hadon kaa qaail huun tu bhi dildaar apni had mein rah main ne bechi nahin anaa apni ai kharidaar apni had mein rah ik piyaada hai tu bhi dekh 'amin' pheink talvaar apni had mein rah"
"ik ashk sar-e-shokhi-e-rukhsaar mein gum hai aaina bhi us husn ke asraar mein gum hai koi to zamin zar kaa pujaari hai mire dost aur koi yahaan apne hi ghar-baar mein gum hai apnon ke ravayyon ne jise toD diyaa thaa vo shakhs kisi mahfil-e-aghyaar mein gum hai paayaa to sikhaa degaa mujhe shoala-bayaani vo harf jo us sina-e-kohsaar mein gham hai kahtaa hai tire sar ki safedi mein chhupaa dukh ik shahr-e-butaan vaqt ki divaar mein gum hai kuchh dard numaayaan hai kahaani mein 'amin' aur kuchh dard abhi dast-e-qalam-kaar mein gum hai"
"us ne jo gham kiye havaale the ham ne ik umr vo sambhaale the sehn-e-dil mein tumhaare sab vaade main ne bachchon ki tarah paale the aankh se khud-ba-khud nikal aae ashk ham ne kahaan nikaale the ik khushi aise muskuraai thi dard jaise bichhaDne vaale the apne haathon se jo banaae but ek din saare toD Daale the chaar-su vahshaton kaa Deraa thaa jaan ke har kisi ko laale the ajnabi ban ke jo mile the 'amin' log sab mere dekhe-bhaale the"
"kashkol-e-jaan se sikka-e-nafrat nikaal kar ai dost phir se aa ke maraasim bahaal kar chaahaa thaa umr-bhar tujhe pal mein bhulaa diyaa tu ne hi to kahaa thaa ki koi kamaal kar ye dard kaa safar hai bahut duur jaaegaa umr-e-ravaan abhi se na mujh ko niDhaal kar duniyaa ko kyaa khabar ki guzarti hai ham pe kyaa likhte hain sher apne lahu ko ubaal kar is shahr kaa to hai yahi dastur-e-zindagi bas khaamushi se dekh na koi savaal kar maanaa ki shaaeri hai asaasa tiraa 'amin' ghar ki zaruriyaat kaa kuchh to khayaal kar"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"kal shab dil-e-aavaara ko siine se nikaalaa ye aakhiri kaafir bhi madine se nikaalaa ye fauj nikalti thi kahaan khaana-e-dil se yaadon ko nihaayat hi qarine se nikaalaa main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa Thahre hain zar-o-sim ke haqdaar tamaashaai aur maar-e-siyah ham ne dafine se nikaalaa ye soch ke saahil pe safar khatm na ho jaae baahar na kabhi paanv safine se nikaalaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"