SHAWORDS

aur bhi ik fareb khaane de — Premi Romani

HomePremi RomaniGhazal
"aur bhi ik fareb khaane de muskuraataa huun muskuraane de aashnaa zindagi se kar mujh ko apni aankhon mein Duub jaane de tirgi is se miT sake shaayad sham-e-mahfil ko jagmagaane de aaj apnaa hai aaj ki kar fikr kal paraayaa thaa kal ko jaane de dil kahin bujh na jaae ai 'premi' dard ki lau zaraa baDhaane de"
Urdu

اور بھی اک فریب کھانے دے مسکراتا ہوں مسکرانے دے آشنا زندگی سے کر مجھ کو اپنی آنکھوں میں ڈوب جانے دے تیرگی اس سے مٹ سکے شاید شمع محفل کو جگمگانے دے آج اپنا ہے آج کی کر فکر کل پرایا تھا کل کو جانے دے دل کہیں بجھ نہ جائے اے پریمیؔ درد کی لو ذرا بڑھانے دے

Hindi

और भी इक फ़रेब खाने दे मुस्कुराता हूँ मुस्कुराने दे आश्ना ज़िंदगी से कर मुझ को अपनी आँखों में डूब जाने दे तीरगी इस से मिट सके शायद शम-ए-महफ़िल को जगमगाने दे आज अपना है आज की कर फ़िक्र कल पराया था कल को जाने दे दिल कहीं बुझ न जाए ऐ 'प्रेमी' दर्द की लौ ज़रा बढ़ाने दे

aur bhī ik fareb khāne de
Premi Romani
Premi Romani
Premi Romani
poet7 quotes

More by Premi Romani

View all →
Quote
"giraan hai talkhi-e-lamhaat pyaare sudhar jaaeinge sab haalaat pyaare koi ilzaam kyon mujh par lagegaa ghalat kartaa huun main kab baat pyaare main dard-o-karb mein Duubaa huaa huun kaTegi kis tarah se raat pyaare tire lutf-o-karam se ji rahaa huun nahin varna miri auqaat pyaare nahin maalum is duniyaa ne kyon kar lagaa rakhi hai mujh par ghaat pyaare miTaaein ham ghalat fahmi hai jo bhi hain dil mein kis liye khadshaat pyaare nahin koi mazaa phir zindagi kaa hue majruh jab jazbaat pyaare kahaan tak is tarah 'premi' jiyeinge baDe hain dil-shikan haalaat pyaare"
Premi RomaniPremi Romani
Quote
"main kaun huun kyaa huun main yahi soch rahaa huun surat mein muqayyad huun magar bikhraa huaa huun taa-hadd-e-nazar mere sivaa koi nahin hai main jaise kisi dard ke sahraa mein khaDaa huun ye baat miri soch se baahar hai abhi tak main koh thaa phir kaise samundar mein bahaa huun ye sach hai kisi kaa huun main matlub na taalib hairaan huun ki kis vaaste duniyaa mein jiyaa huun be-bas huun main ai mujh se ziyaa maangne vaalo main diip thaa jalne se magar pahle bujhaa huun 'premi' mujhe is baat kaa khud ilm nahin hai vo kaun hai main jis ke khayaalon mein ghiraa huun"
Premi RomaniPremi Romani
Quote
"zamin se taa-falak chhaai hui hai raushni-e-laa ye saaraa shahr hai meri nazar mein aankh kaa dhokaa samundar mein nadi ban kar utar jaaun kahaan tak main nigal jaaegaa paani ek din saaraa badan meraa ugal degi zamin sab aag ik din apne andar ki rakhe kab tak bhalaa ye bojh siine par pahaaDon kaa nagar ko log khultaa saa ik aaina samajhte the magar mujh ko nazar aayaa koi chehra na apnaa saa use mein DhunDhtaa thaa raat ki gahri khamoshi mein na jaane kis tarah phir shahr mein meraa huaa charchaa"
Premi RomaniPremi Romani

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar