Quote
"asir-e-gham huun rihaai hai aarzu meri chalo zabaan pe to aai hai aarzu meri khayaal-e-yaar bhi hai aarzu miri yaaro so zehn-o-dil mein samaai hai aarzu meri isi liye to judaa kar diyaa use main ne vo keh rahaa thaa judaai hai aarzu meri guzar gayaa vo zamaana ki jab vo apni thi 'safir' ab to paraai hai aarzu meri"
