SHAWORDS

jab kabhi lauT kar vo aaegaa — Ahmad Safeer

HomeAhmad SafeerGhazal
"jab kabhi lauT kar vo aaegaa mujh ko khoyaa huaa hi paaegaa us ko apnon ki yaad aaegi jab vo ghairon se dhokaa khaaegaa ab vo khud se hi ruuTh jaaegaa aur phir khud ko hi manaaegaa tu mohabbat kharid legaa magar itne paise kahaan se laaegaa jis ne khoyaa nahin kisi ko kabhi vo bhalaa ashk kyon bahaaegaa 'ishq kar ke pataa chalaa yaaro mujh ko ye khaak mein milaaegaa"
Urdu

جب کبھی لوٹ کر وہ آئے گا مجھ کو کھویا ہوا ہی پائے گا اس کو اپنوں کی یاد آئے گی جب وہ غیروں سے دھوکا کھائے گا اب وہ خود سے ہی روٹھ جائے گا اور پھر خود کو ہی منائے گا تو محبت خرید لے گا مگر اتنے پیسے کہاں سے لائے گا جس نے کھویا نہیں کسی کو کبھی وہ بھلا اشک کیوں بہائے گا عشق کر کے پتا چلا یارو مجھ کو یہ خاک میں ملائے گا

Hindi

जब कभी लौट कर वो आएगा मुझ को खोया हुआ ही पाएगा उस को अपनों की याद आएगी जब वो ग़ैरों से धोका खाएगा अब वो ख़ुद से ही रूठ जाएगा और फिर ख़ुद को ही मनाएगा तू मोहब्बत ख़रीद लेगा मगर इतने पैसे कहाँ से लाएगा जिस ने खोया नहीं किसी को कभी वो भला अश्क क्यों बहाएगा 'इश्क़ कर के पता चला यारो मुझ को ये ख़ाक में मिलाएगा

jab kabhī lauT kar vo aa.egā
Ahmad Safeer
Ahmad Safeer
Ahmad Safeer
poet9 quotes

More by Ahmad Safeer

View all →
Quote
"suno kuchh kar na paaogi main jab bhi yaad aaungaa faqat aansu bahaaogi main jab bhi yaad aaungaa chhupaati aa rahi ho sab se par apni saheli ko mire baare bataaogi main jab bhi yaad aaungaa na koi giit gaaogi na khul ke muskuraaogi magar sar ko jhukaaogi main jab bhi yaad aaungaa kisi ki yaad mein khud ko bhulaanaa Thiik hai lekin khudaa ko bhuul jaaogi main jab bhi yaad aaungaa tumhaare yaar ki tasvirein achchhi hain magar phir bhi miri D-p lagaaogi main jab bhi yaad aaungaa tiri surat banaataa huun ki jab tum yaad aati ho magar tum munh banaaogi main jab bhi yaad aaungaa ye maanaa jism do hain ham magar ik jaan hai jaanaan mujhe bhi yaad aaogi main jab bhi yaad aaungaa"
Ahmad SafeerAhmad Safeer

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar