SHAWORDS

avval avval ki javaani mein ubaal aayaa thaa — Khwaja Ali Husain

"avval avval ki javaani mein ubaal aayaa thaa baad mein jaa ke kahin zabt-e-kamaal aayaa thaa mere vijdaan ne bar-vaqt bataayaa thaa mujhe hijr kaa khvaab mujhe vaqt-e-visaal aayaa thaa ku-ba-ku phail gai us ke badan ki khushbu saaf lagtaa hai vahi zohra-jamaal aayaa thaa khud ko paane ke liye khud mein utar kar apne bahr-o-bar haath ki chhalni mein khangaal aayaa thaa vaqt ke jabr ki dahliz pe baiThaa jis dam gham ki tahrik se khushiyon pe zavaal aayaa thaa ab to ahbaab bhi dam bhar ko ThiThuk jaate hain jab main aayaa thaa yahaan kitnaa nihaal aayaa thaa 'aabdi' kaun bataaegaa mire baad use Dubte vaqt mujhe us kaa khayaal aayaa thaa"
Urdu

اول اول کی جوانی میں ابال آیا تھا بعد میں جا کے کہیں ضبط کمال آیا تھا میرے وجدان نے بر وقت بتایا تھا مجھے ہجر کا خواب مجھے وقت وصال آیا تھا کو بہ کو پھیل گئی اس کے بدن کی خوشبو صاف لگتا ہے وہی زہرہ جمال آیا تھا خود کو پانے کے لیے خود میں اتر کر اپنے بحر و بر ہاتھ کی چھلنی میں کھنگال آیا تھا وقت کے جبر کی دہلیز پہ بیٹھا جس دم غم کی تحریک سے خوشیوں پہ زوال آیا تھا اب تو احباب بھی دم بھر کو ٹھٹک جاتے ہیں جب میں آیا تھا یہاں کتنا نہال آیا تھا عابدیؔ کون بتائے گا مرے بعد اسے ڈوبتے وقت مجھے اس کا خیال آیا تھا

Hindi

अव्वल अव्वल की जवानी में उबाल आया था बाद में जा के कहीं ज़ब्त-ए-कमाल आया था मेरे विज्दान ने बर-वक़्त बताया था मुझे हिज्र का ख़्वाब मुझे वक़्त-ए-विसाल आया था कू-ब-कू फैल गई उस के बदन की ख़ुशबू साफ़ लगता है वही ज़ोहरा-जमाल आया था ख़ुद को पाने के लिए ख़ुद में उतर कर अपने बहर-ओ-बर हाथ की छलनी में खँगाल आया था वक़्त के जब्र की दहलीज़ पे बैठा जिस दम ग़म की तहरीक से ख़ुशियों पे ज़वाल आया था अब तो अहबाब भी दम भर को ठिठुक जाते हैं जब मैं आया था यहाँ कितना निहाल आया था 'आब्दी' कौन बताएगा मिरे बाद उसे डूबते वक़्त मुझे उस का ख़याल आया था

avval avval kī javānī meñ ubaal aayā thā
Khwaja Ali Husain
Khwaja Ali Husain
Khwaja Ali Husain
poet9 quotes

More by Khwaja Ali Husain

View all →
Quote
"sunaa hai jab se khudaa kaa kalaam raahat hai har ek dars kaa mauzu'-e-aam raahat hai kuduraton se kashaaish milaa nahin karti jahaan bhar ko hamaaraa payaam raahat hai main ikhtiyaar ke hote hue kahaan khush thaa huaa huun jab se kisi kaa ghulaam raahat hai main dasht-o-shahr-o-gulistaan mein be-sukun rahaa kiyaa hai zaat mein jab se qayaam raahat hai sataa sataa ke pareshaan ho gayaa hai adu kai dinon se hamein subh-o-shaam raahat hai ye aa rahi hai miri samt roknaa na use subuk-ravi se jo mahv-e-khiraam raahat hai dukhe dilon se lagaavaT se baat kar lenaa sukun-e-dil ke liye ehtiraam raahat hai ye qasr-e-lutf banaayaa hai 'aabdi' ne magar mohabbaton mein faqat inhidaam raahat hai"
Khwaja Ali HusainKhwaja Ali Husain
Quote
"karb-e-takhliq kaa chhaayaa rahaa manzar mujh par aayat-e-ishq utarti rahi shab bhar mujh par ek saaat ko bhulaayaa thaa gham-e-ishq abhi band hone lagaa takhliq kaa har dar mujh par jaagte vaqt vahi shakhs labaada thaa miraa nim-shab ko jo utaaraa gayaa paikar mujh par chiil kavvon ki tarah khaa gae rishte mere phir bhi ilzaam dharaa jaataa hai mujh par mujh par khalq ne naavak-e-dushnaam se chhalni kar ke jabr ke tiir chalaae hain baraabar mujh par shaam hote hi udaasi ki havaa chalti hai TuuT paDtaa hai khayaalaat kaa lashkar mujh par jab kabhi meri tavajjoh mein khalal aataa hai phunk detaa hai koi ishq kaa mantar mujh par 'aabdi' ishq adaavat hai kahaa thaa ik din aks meraa hi chalaane lagaa khanjar mujh par"
Khwaja Ali HusainKhwaja Ali Husain
Quote
"bhejaa huaa hai aur na bulaayaa huaa hai dard mehmaan ban ke dil mein samaayaa huaa hai dard aankhon se ik jhaDi hai musalsal lagi hui lagtaa hai aashiqi kaa sataayaa huaa hai dard ham hain jazaa-e-tira-shabi mein gundhe hue apni razaa se dil se lagaayaa huaa hai dard jaise milaae rind-e-kharaabaat mai se mai ham ne bhi shaam-e-gham mein milaayaa huaa hai dard jis ishtihaa-e-ishq ko sadiyaan guzar gaiin mushkil se is maqaam pe laayaa huaa hai dard din kaarhaa-e-mashq-e-zamaana mein kaaT kar shab ki riyaazaton se kamaayaa huaa hai dard pahle pahal to dard varaa-e-gumaan thaa aur ab surur-e-zabt kaa bhaayaa huaa hai dard ik fard-e-naa-shanaas ki chaahat mein 'aabdi' muddat hui ki dil ne bhulaayaa huaa hai dard"
Khwaja Ali HusainKhwaja Ali Husain
Quote
"vajud khvaab mein Dhal kar niDhaal thoDi hai mire shuur mein itni majaal thoDi hai zamaana biit gayaa khud se rasm-o-raah kiye hamaaraa khud se taalluq bahaal thoDi hai mire zamin se uThte hue vajud ko dekh ye raqs-e-vajd hai paagal dhamaal thoDi hai har ik maqaam pe qaaem rahe hain hosh-o-havaas hamaari qais ke jaisi misaal thoDi hai ataa hui hai kisi dard intihaa ke evaz ye shaairi miraa apnaa kamaal thoDi hai ye zindagi hai kisi aur imtihaan kaa rog mire nisaab mein shaamil savaal thoDi hai haqaaeq-e-gham-e-duniyaa se mat churaa aankhein saron pe hijr tanaa hai visaal thoDi hai hamein to 'aabdi' shaair banaa diyaa us ne ye ishq kaar-e-sukhan hai vabaal thoDi hai"
Khwaja Ali HusainKhwaja Ali Husain
Quote
"kabhi zamin na kahin aasmaan se niklegaa hamaaraa raaz kisi raaz-daan se niklegaa vo ek ashk miri aaqibat sanvaaregaa shab-e-firaaq jo chashm-e-ayaan se niklegaa mujhe khabar hai miri maut kaa sabab mire dost bas ek tiir tumhaari kamaan se niklegaa main naa-rasaai se imkaan khoj letaa huun miraa yaqin bhi mere gumaan se niklegaa jo bevafaai se taabir kar rahaa hai mujhe vo kam-shanaas miri daastaan se niklegaa use nikaalaa gayaa thaa bahisht se pahle ab us ke baad ye aadam jahaan se niklegaa ab aur zabt karegaa to 'aabdi' teraa shakeb aankh ke sail-e-ravaan se niklegaa"
Khwaja Ali HusainKhwaja Ali Husain

More on Khudi

View all →
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
Irfan SattarIrfan Sattar