SHAWORDS

baada-e-ishq kaa hai jaam ghazal — Akmal Alduri

HomeAkmal AlduriGhazal
"baada-e-ishq kaa hai jaam ghazal husn kaa dusraa hai naam ghazal dil ki aavaaz kaa hai naam ghazal hai mohabbat bharaa payaam ghazal ahl-e-dil ke labon pe rahti hai tujh ko haasil hai vo maqaam ghazal dard vaale baDe khulus ke saath gungunaate hain subh shaam ghazal kitni maqbuliyat hui haasil ho gai hai qubul-e-aam ghazal jahaan logon ke badle rujhaanaat tu ne badlaa vahin nizaam ghazal dil ki dil hi mein rah gai 'akmal' kyaa sunaaun main naa-tamaam ghazal"
Urdu

بادۂ عشق کا ہے جام غزل حسن کا دوسرا ہے نام غزل دل کی آواز کا ہے نام غزل ہے محبت بھرا پیام غزل اہل دل کے لبوں پہ رہتی ہے تجھ کو حاصل ہے وہ مقام غزل درد والے بڑے خلوص کے ساتھ گنگناتے ہیں صبح شام غزل کتنی مقبولیت ہوئی حاصل ہو گئی ہے قبول عام غزل جہاں لوگوں کے بدلے رجحانات تو نے بدلا وہیں نظام غزل دل کی دل ہی میں رہ گئی اکملؔ کیا سناؤں میں ناتمام غزل

Hindi

बादा-ए-इश्क़ का है जाम ग़ज़ल हुस्न का दूसरा है नाम ग़ज़ल दिल की आवाज़ का है नाम ग़ज़ल है मोहब्बत भरा पयाम ग़ज़ल अहल-ए-दिल के लबों पे रहती है तुझ को हासिल है वो मक़ाम ग़ज़ल दर्द वाले बड़े ख़ुलूस के साथ गुनगुनाते हैं सुब्ह शाम ग़ज़ल कितनी मक़बूलियत हुई हासिल हो गई है क़ुबूल-ए-आम ग़ज़ल जहाँ लोगों के बदले रुजहानात तू ने बदला वहीं निज़ाम ग़ज़ल दिल की दिल ही में रह गई 'अकमल' क्या सुनाऊँ मैं ना-तमाम ग़ज़ल

bāda-e-ishq kā hai jaam ġhazal
Akmal Alduri
Akmal Alduri
Akmal Alduri
poet11 quotes

More by Akmal Alduri

View all →
Quote
"tere maikhaane kaa ye bhi ajab dastur hai saaqi koi tishna-dahan masti mein koi chuur hai saaqi dilon ke rabt-e-paiham ko khudaa qaaem rakhe hamdam na main huun duur saaqi se na mujh se duur hai saaqi bahal jaae jahaan dil hai vahi jannat haqiqat mein jo dil insaan kaa le le vo insaan huur hai saaqi na le mukhtaariyon se kaam tu us ke muqaabil mein tere mai-kash ke siine mein dil-e-majbur hai saaqi miri khuddaariyaan bad-kaifiyon se dab nahin saktin agarche shisha-e-dil apnaa chaknaa-chur hai saaqi tiri jaadu bhari aankhon ne aisi mai pilaai hai hamaari zindagi ki zindagi makhmur hai saaqi Thikaana hi nahin koi mire armaan-e-masti kaa na ye mahdud hai saaqi na vo mahsur hai saaqi jahaan haajat na mai ki hai na shishe ki na saaghar ki abhi vo manzil-e-hasti nihaayat duur hai saaqi inaayat se pilaa de rind-e-khud-atvaar 'akmal' ko tiri dariyaa-dili kaunain mein mashhur hai saaqi"
Akmal AlduriAkmal Alduri
Quote
"zamaane mein gham-e-ulfat ke divaane bahut se hain sharaab-e-aish-o-ishrat ke bhi mastaane bahut se hain hamaare gham se naa-vaaqif kai ahbaab hain ab tak hai ye hairat ki khud apnon mein begaane bahut se hain miri divaangi ne mujh ko pahunchaayaa vahaan aakhir jahaan divaane kam hain aur farzaane bahut se hain mohabbat kaa bhi kyaa iqbaal hai vahshat ki duniyaa mein hai aabaadi bahut kam aur viraane bahut se hain zaraa baDh kar to dekh aakhir ye dastak dar pe di kis ne dil-e-majbur tere jaane pahchaane bahut se hain hai khud-bini ki hasrat to chale aao mire dil mein ye vo gosha hai jis mein aaina-khaane bahut se hain piye jaataa huun saaqi teri kaif-aavar nigaahon se agarche mai-kade mein tere paimaane bahut se hain hazaaron laakhon nazraanon kaa nazraana hai sirf ik dil tujhe dene ke qaabil yuun to nazraane bahut se hain tire kucha mein jiinaa hai tire kucha mein marnaa hai uDaani hi agar ho khaak viraane bahut se hain charaagh-e-maarifat ko ab na karnaa chaahiye raushan bahut kam khaas hain aur aam parvaane bahut se hain haram jaane se pahle hai buton kaa toDnaa laazim tumhaare dil mein bhi 'akmal' sanam-khaane bahut se hain"
Akmal AlduriAkmal Alduri
Quote
"be-talab ziist agarche koi dushvaar nahin kaun aisaa hai jo duniyaa kaa talabgaar nahin mahfil-e-ghair mein kar haal-e-dil un se na bayaan mauqa-e-zabt hai ye mauqa-e-izhaar nahin dost ahbaab kaa kyaa zikr bure vaqton mein maut bhi to kisi be-kas ki taraf-daar nahin vaqt ke saath badaltaa hai azaaem apne yaani insaan khud apnaa hi vafaadaar nahin had se zaaid kabhi baDhtaa hai kabhi hotaa hai kam dil hai khuddaar magar dard hi khuddaar nahin kal to TuuTe hue dil bech liye yaaron ne aaj kaa vaqt to yusuf kaa kharidaar nahin khaar-o-gul hasb-e-zarurat hain chaman mein 'akmal' fitraton se mujhe kuchh un ki sarokaar nahin"
Akmal AlduriAkmal Alduri
Quote
"maqaam-e-aadmiyyat imtihaan ki manzil hai kisi ke vaaste aasaan kisi ko mushkil hai nahin fareb-e-khulus aur khulus mein koi farq ba-yak nigaah karein imtiyaaz mushkil hai yahin se raaste imkaan ke nikalte hain hamaaraa qalb-e-musaffaa ik aisi manzil hai miraa rafiq talavvun-mizaaj hai apnaa kabhi hai barq taDapti hui kabhi dil hai yahi vo dil hai jo be-maut maartaa hai hamein hamaare siine ke andar hamaaraa qaatil hai hamaare 'azm pe mauquf hai qiyaam-e-safar chalein to raasta hai ruk gae to manzil hai zabaan se kyon kahe vo baat dil ki tu jo sune khamosh is liye har vaqt teraa saail hai charaagh kaun jalaataa hai chaudhvin shab mein hamaari bazm ki qindil maah-e-kaamil hai sukun nasib ba-zaahir mujhe magar 'akmal' vatan ke vaaste siine mein dil to bismil hai"
Akmal AlduriAkmal Alduri
Quote
"ek nai ziist liye aaj ajal aai hai qaid se ham ne rihaai hi kahaan paai hai us se milne ke liye is qadar ai dil na taDap meraa izhaar-e-mohabbat miri rusvaai hai inqilaabaat-e-zamaana ko zamaana samjhe ham to kahte hain ki vo bhi tiri angDaai hai jis ke shoalon se hui husn ki rangat raushan aag aisi mire jazbaat ne sulgaai hai ham ne armaanon ki mayyat ko diyaa hai kaandhaa ai gham-e-dil ye tiri hausla-afzaai hai hai ye Dar nuuh kaa tufaan na samajh le duniyaa chaadar-e-ashk-e-vafaa ham ne jo phailaai hai aaina-khaana-e-dil mein vo zarur aaeinge un ke dil mein bhi tamanna-e-khud-aaraai hai haath se saaqi ke piinaa hi paDegaa mujhe ab meri tauba-shikani ban ke ghaTaa chhaai hai 'akmal' insaan vo akmal hai ba-faiz-e-fitrat dard-e-insaan se jis insaan ki shanaasaai hai"
Akmal AlduriAkmal Alduri

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud