SHAWORDS

bas lamhe bhar mein faisla karnaa paDaa mujhe — Adeel Zaidi

HomeAdeel ZaidiGhazal
"bas lamhe bhar mein faisla karnaa paDaa mujhe sab chhoD-chhaaD ghar se nikalnaa paDaa mujhe jab apni sar-zamin ne mujh ko na di panaah anjaan vaadiyon mein utarnaa paDaa mujhe paanv mein aable the thakan umr bhar ki thi ruknaa thaa baiThnaa thaa pa chalnaa paDaa mujhe apni parakh ke vaaste tufaan ke darmiyaan mazbut kashtiyon se utarnaa paDaa mujhe teri anaa ke haath mein the tere faisle tu to badal na paayaa badalnaa paDaa mujhe be-intihaa tazaad thaa donon ki soch mein kuchh yuun bhi raaste ko badalnaa paDaa mujhe ye bhi huaa ki baa-dil-e-naa-khvaasta kabhi zinda haqiqaton se mukarnaa paDaa mujhe yakjaa rahaa ik umr magar teri diid ko maanind-e-musht-e-khaak bikharnaa paDaa mujhe aaghaaz apne bas mein na anjaam hi 'adil' ik zindagi guzaar ke marnaa paDaa mujhe"
Urdu

بس لمحے بھر میں فیصلہ کرنا پڑا مجھے سب چھوڑ چھاڑ گھر سے نکلنا پڑا مجھے جب اپنی سر زمین نے مجھ کو نہ دی پناہ انجان وادیوں میں اترنا پڑا مجھے پاؤں میں آبلے تھے تھکن عمر بھر کی تھی رکنا تھا بیٹھنا تھا پہ چلنا پڑا مجھے اپنی پرکھ کے واسطے طوفاں کے درمیاں مضبوط کشتیوں سے اترنا پڑا مجھے تیری انا کے ہاتھ میں تھے تیرے فیصلے تو تو بدل نہ پایا بدلنا پڑا مجھے بے انتہا تضاد تھا دونوں کی سوچ میں کچھ یوں بھی راستے کو بدلنا پڑا مجھے یہ بھی ہوا کہ بادل نا خواستہ کبھی زندہ حقیقتوں سے مکرنا پڑا مجھے یکجا رہا اک عمر مگر تیری دید کو مانند مشت خاک بکھرنا پڑا مجھے آغاز اپنے بس میں نہ انجام ہی عدیلؔ اک زندگی گزار کے مرنا پڑا مجھے

Hindi

बस लम्हे भर में फ़ैसला करना पड़ा मुझे सब छोड़-छाड़ घर से निकलना पड़ा मुझे जब अपनी सर-ज़मीन ने मुझ को न दी पनाह अंजान वादियों में उतरना पड़ा मुझे पाँव में आबले थे थकन उम्र भर की थी रुकना था बैठना था प चलना पड़ा मुझे अपनी परख के वास्ते तूफ़ाँ के दरमियाँ मज़बूत कश्तियों से उतरना पड़ा मुझे तेरी अना के हाथ में थे तेरे फ़ैसले तू तो बदल न पाया बदलना पड़ा मुझे बे-इंतिहा तज़ाद था दोनों की सोच में कुछ यूँ भी रास्ते को बदलना पड़ा मुझे ये भी हुआ कि बा-दिल-ए-ना-ख़्वास्ता कभी ज़िंदा हक़ीक़तों से मुकरना पड़ा मुझे यकजा रहा इक उम्र मगर तेरी दीद को मानिंद-ए-मुश्त-ए-ख़ाक बिखरना पड़ा मुझे आग़ाज़ अपने बस में न अंजाम ही 'अदील' इक ज़िंदगी गुज़ार के मरना पड़ा मुझे

bas lamhe bhar meñ faisla karnā paḌā mujhe
Adeel Zaidi
Adeel Zaidi
Adeel Zaidi
poet44 quotes

More by Adeel Zaidi

View all →
Quote
"rah-e-khizaan mein talaash-e-bahaar karte rahe vo ek tarfa sahi tum se pyaar karte rahe hai kyaa tamaashaa udhar ranjishein hi baDhti rahin taalluqaat hamin ustuvaar karte rahe guzar gai jo ghaDi lauT kar na aai kabhi talaash-e-shaam-o-sahar baar baar karte rahe tumhaari chaah mein jitne bhi zakhm ham ko mile mohabbaton mein ham un kaa shumaar karte rahe tiri anaa pe hamein ikhtiyaar hi kab thaa tamaam umr tiraa intizaar karte rahe 'adil' log gharon ko sajaae baiThe hain farogh-e-husn faqat barg-o-baar karte rahe"
Adeel ZaidiAdeel Zaidi
Quote
"ye zamini bhi hai zamaani bhi fitrat-e-ishq aasmaani bhi shart hai jaan se jaaiye pahle hai ajab umr-e-jaavedaani bhi tum ne jo daastaan sunaai hai hai vahi to miri kahaani bhi kitne dilchasp lagne lagte hain mere qisse tiri zabaani bhi hain zaruri bahut hamaare liye ye fazaa aag aur paani bhi ho gai khatm ik kiran ke saath raat bhi niind bhi kahaani bhi mat inhein jaaniye dar-o-divaar in mein yaadein hain kuchh suhaani bhi in divaaron pe hi hui tahrir mere maan baap ki javaani bhi ham jo ghar chhoD kar chale aae the vo ajdaad ki nishaani bhi laa-makaan hi kaa zikr-e-khair 'adil' go hain qisse bahut makaani bhi"
Adeel ZaidiAdeel Zaidi
Quote
"rah-e-hayaat mein jo log jaavedaan nikle vahi vafaa-o-mohabbat ke tarjumaan nikle ajiib sehr kaa aalam thaa us ki mahfil mein zabaan pe naaz thaa jin ko vo be zabaan nikle vahaan vahaan pe vafaa-daariyon kaa zor baDhaa tumhaare chaahne vaale jahaan jahaan nikle safar ki hasratein niklin bahut miri yaarab magar jo dil mein the armaan vo kahaan nikle aziiz yuun to bahut hain aziiz kyaa kahiye kai aziiz magar mujh se bad-gumaan nikle yaqin bahut thaa mohabbat pe tum ko apni 'adil' yaqin ke badle vahaan bhi faqat gumaan nikle"
Adeel ZaidiAdeel Zaidi
Quote
"naam suntaa huun tiraa jab bhare sansaar ke biich lafz ruk jaate hain aa kar miri guftaar ke biich ek hi chehra kitaabi nazar aataa hai hamein kabhi ashaar ke baahar kabhi ashaar ke biich ek dil TuuTaa magar kitni naqaabein palTin jiit ke pahlu nikal aae kai haar ke biich koi mahfil ho nazar us ki hamin par Thahri kabhi apnon mein sataayaa kabhi aghyaar ke biich aise zaahid ki qayaadat mein to tauba tauba kabhi imaan ki baatein kabhi kuffaar ke biich kabhi tahzib-o-tamaddun kaa ye markaz thaa miyaan tum ko basti jo nazar aati hai aasaar ke biich jis tarah TaaT kaa paivand ho makhmal mein 'adil' maghribi chaal-chalan mashriqi aqdaar ke biich"
Adeel ZaidiAdeel Zaidi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb