Quote
"main ne kab apni vafaaon kaa sila maangaa thaa ik tabassum hi tiraa bahr-e-khudaa maangaa thaa kyaa khabar thi miri nindein hi ujaD jaaeingi main ne khoe hue khvaabon kaa pataa maangaa thaa dast-e-gul-chin ne bhi gulshan se vahi phuul chunaa main ne jis gul ke liye dast-e-sabaa maangaa thaa shiddat-e-gham mein duaa ki thi tujhe bhulne ki ab bhare zakhm to naadim huun ye kyaa maangaa thaa bas isi baat pe barham hai zamaana mujh se apne bad-khvaahon kaa bhi main ne bhalaa maangaa thaa ik guzaarish bhi na ho paai qubul us ke huzur ghaaliban main ne hi kuchh had se sivaa maangaa thaa chuDiyaan TuTin to zakhmon se lahu-rang hui jis hatheli ne zaraa rang-e-hinaa maangaa thaa tu ne har gham se navaazaa hai tiraa khaas karam mujh ko to ye bhi nahin yaad ki kyaa maangaa thaa aafatein sahne kaa yaaraa bhi to detaa yaa-rab aur to kuchh bhi nahin is ke sivaa maangaa thaa ye alag baat milaa karb-e-musalsal varna ham ne jo maangaa ba-sad sidq-o-safaa maangaa thaa zehn par 'chaand' phir ik barq si lahraane lagi dil ne maazi ke nihaan-khaanon se kyaa maangaa thaa"
