SHAWORDS

be-niyaaz-e-har-tamannaa ho gayaa — Muneer Bhopali

HomeMuneer BhopaliGhazal
"be-niyaaz-e-har-tamannaa ho gayaa ishq mein ab husn paidaa ho gayaa dard-e-dil khud hi masihaa ho gayaa mar gayaa bimaar achchhaa ho gayaa dil mein koi to adaa-e-khaas thi jalva khud mahv-e-tamaashaa ho gayaa ai nigaah-e-lutf parda chaahiye soz-e-dil saaz-e-tamannaa ho gayaa meri khaamoshi fasaana ban gai khud lab-e-khaamosh goyaa ho gayaa paaemaali mein nihaan thi zindagi dil miTaa miT kar tamannaa ho gayaa saamne hain aur nazar aate nahin jalva khud aankhon kaa parda ho gayaa is adaa se aaj uTThi vo nazar main bhari mahfil mein rusvaa ho gayaa muskuraa kar tum ne kyon dekhaa mujhe bijliyon ko ik bahaana ho gayaa is tarah jalva dikhaate hain kahin har tamaashaai tamaashaa ho gayaa ho gai khaamosh sham-e-zindagi khatm sab dil kaa fasaana ho gayaa jo giraa daaman pe aansu ai 'munir' aaina-daar-e-tamannaa ho gayaa"
Urdu

بے نیاز ہر تمنا ہو گیا عشق میں اب حسن پیدا ہو گیا درد دل خود ہی مسیحا ہو گیا مر گیا بیمار اچھا ہو گیا دل میں کوئی تو ادائے خاص تھی جلوہ خود محو تماشا ہو گیا اے نگاہ لطف پردہ چاہیے سوز دل ساز تمنا ہو گیا میری خاموشی فسانہ بن گئی خود لب خاموش گویا ہو گیا پائمالی میں نہاں تھی زندگی دل مٹا مٹ کر تمنا ہو گیا سامنے ہیں اور نظر آتے نہیں جلوہ خود آنکھوں کا پردہ ہو گیا اس ادا سے آج اٹھی وہ نظر میں بھری محفل میں رسوا ہو گیا مسکرا کر تم نے کیوں دیکھا مجھے بجلیوں کو اک بہانہ ہو گیا اس طرح جلوہ دکھاتے ہیں کہیں ہر تماشائی تماشا ہو گیا ہو گئی خاموش شمع زندگی ختم سب دل کا فسانہ ہو گیا جو گرا دامن پہ آنسو اے منیرؔ آئنہہ دار تمنا ہو گیا

Hindi

बे-नियाज़-ए-हर-तमन्ना हो गया इश्क़ में अब हुस्न पैदा हो गया दर्द-ए-दिल ख़ुद ही मसीहा हो गया मर गया बीमार अच्छा हो गया दिल में कोई तो अदा-ए-ख़ास थी जल्वा ख़ुद महव-ए-तमाशा हो गया ऐ निगाह-ए-लुत्फ़ पर्दा चाहिए सोज़-ए-दिल साज़-ए-तमन्ना हो गया मेरी ख़ामोशी फ़साना बन गई ख़ुद लब-ए-ख़ामोश गोया हो गया पाएमाली में निहाँ थी ज़िंदगी दिल मिटा मिट कर तमन्ना हो गया सामने हैं और नज़र आते नहीं जल्वा ख़ुद आँखों का पर्दा हो गया इस अदा से आज उट्ठी वो नज़र मैं भरी महफ़िल में रुस्वा हो गया मुस्कुरा कर तुम ने क्यों देखा मुझे बिजलियों को इक बहाना हो गया इस तरह जल्वा दिखाते हैं कहीं हर तमाशाई तमाशा हो गया हो गई ख़ामोश शम-ए-ज़िंदगी ख़त्म सब दिल का फ़साना हो गया जो गिरा दामन पे आँसू ऐ 'मुनीर' आइना-दार-ए-तमन्ना हो गया

be-niyāz-e-har-tamannā ho gayā
M
Muneer Bhopali
Muneer Bhopali
poet42 quotes

More by Muneer Bhopali

View all →
Quote
"har musibat bhi shaadmaani thi ik balaa thi ki naujavaani thi ulfat ik kaavish-e-nihaani thi kisi surat se maut aani thi justuju ne milaa diyaa tujh se raaz-jui bhi raaz-daani thi vo the aur khvaab-e-aish ki lazzat ham the aur dard ki kahaani thi jis se taskin ho gai dil ki naama-bar ki ghalat-bayaani thi ruh-parvar thaa dard-e-dil apnaa mehmaani bhi mezbaani thi ham bhi rahte the un ki nazron mein kabhi ham par bhi mehrbaani thi kis ne khoyaa hamein zamaane se kyaa kahein kis ki mehrbaani thi us ke haathon 'munir' marnaa thaa phir to ye maut zindagaani thi"
M
Muneer Bhopali
Quote
"hamaaraa jazb-e-saadiq shauq-e-kaamil dekhte jaao yahin khinch kar chali aaegi manzil dekhte jaao vafaa-aamoz hai rashk-e-shahaadat aaj maqtal mein hazaaron honge bismil gird-e-bismil dekhte jaao dam-e-aakhir hai Thahro karb khud taskin bantaa hai hui jaati hai ab aasaan mushkil dekhte jaao jin aankhon se abhi tasvir-e-raahat tum ne dekhi hai unhin aankhon se khun-e-hasrat-e-dil dekhte jaao dilam shud khuun khuun shud ashk ashk az-dida bairun shud mohabbat kaa samar ulfat kaa haasil dekhte jaao tumhein dushman samajh kar bhi tumhin par jaan detaa huun miri himmat miri jurat miraa dil dekhte jaao koi bad-zan na ho aur khaatma bil-khair ho jaae ba-andaaz-e-taghaaful su-e-bismil dekhte jaao na gum kar de kahin vaaraftagi ai qaafile vaalo mujhe har gaam par manzil-ba-manzil dekhte jaao unhein bechain kar deingi falak ko bhi jalaa deingi 'munir' aahon kaa apni zoam-e-baatil dekhte jaao"
M
Muneer Bhopali
Quote
"ab zindagi mein hosh kaa imkaan to gayaa lekin tiri nigaah ko pahchaan to gayaa ab bhi hai ye khayaal kisi tarah dekh luun maanaa ki dil se chaah kaa armaan to gayaa maanus-e-gham hi ban ke rahein kyon na dahr mein haasil kabhi khushi ho ye imkaan to gayaa ai kaash be-khudi kaa bhi anjaam dekh luun dil ki tarah se hosh kaa imkaan to gayaa achchhaa huaa ki vaade se inkaar kar diyaa har-vaqt kaa ye haath mein quraan to gayaa us but ki ai 'munir' nigaahon mein sehr thaa go jaan bach gai magar imaan to gayaa"
M
Muneer Bhopali
Quote
"khushi ki had ghamon ki intihaa maalum hoti hai khudaa jaane mohabbat kyaa hai kyaa maalum hoti hai jahaan kaa zarra zarra yuun to zer-e-hukm-e-fitrat hai magar ye husn ki duniyaa judaa maalum hoti hai tavaqqo un ke aane ki na ummid-e-ajal phir kyon har ik hasrat tabassum-aashnaa maalum hoti hai baDi halchal machi hai aaj dil vaalon ki duniyaa mein tiri nazron mein shaan-e-iltijaa maalum hoti hai sanaa-e-husn tausif-e-adaa taarif-e-dil-jui ye sab tamhid-e-arz-e-muddaaa maalum hoti hai ye takmil-e-mohabbat hai ki taufiq-e-khudaavandi mujhe har intihaa ab ibtidaa maalum hoti hai agar maail ba-pasti hai mohabbat abd-e-aasi hai jo us ki rifatein dekho khudaa maalum hoti hai bas ai chashm-e-talattuf bas ki dard-e-aashnaa ho kar mire jazbaat se naa-aashnaa maalum hoti hai mohabbat ek hai lekin asar ziddain rakhti hai kahin rahzan kisi jaa rahnumaa maalum hoti hai jigar TukDe huaa jaataa hai har aavaaz par us ki 'munir'-e-be-navaa ki ye sadaa maalum hoti hai"
M
Muneer Bhopali
Quote
"adab se shikva-e-gham ho rahaa hai zabaan khaamosh hai dil ro rahaa hai jigar betaab hai dil ro rahaa hai tamannaaon kaa maatam ho rahaa hai zamaana laakh de chhinTe pe chhinTe main kyaa jaagun muqaddar so rahaa hai samajhtaa hai vo jannat ki haqiqat tiri mahfil mein dam bhar jo rahaa hai jabin apni kisi kaa aastaan hai muqaddar ab muqaddar ho rahaa hai samajhtaa hai vo jannat ki haqiqat tiri mahfil mein dam bhar jo rahaa hai jabin apni kisi kaa aastaan hai muqaddar ab muqaddar ho rahaa hai dil-e-naa-fahm ye aansu nahin hain baDe naayaab moti kho rahaa hai mohabbat-rez fitrat ban rahi hai qayaamat-khez aalam ho rahaa hai nayaa andaaz hai uzr-e-sitam kaa mujhi se meraa shikva ho rahaa hai shab-e-gham aur sukun-e-qalb-e-muztar mujhe kuchh aur hi shak ho rahaa hai ilaahi shaan-e-sattaari kaa sadqa shumaar-e-maasiyat kyon ho rahaa hai inhi aankhon mein jannat bas rahi hai inhi aankhon mein mahshar so rahaa hai na be-paanv guzar jaae qayaamat koi barson kaa jaagaa so rahaa hai ye dard-e-dil 'munir' un kaa karam hai maqaam-e-shukr hai tu ro rahaa hai"
M
Muneer Bhopali
Quote
"dil mein hujum-e-shauq-o-tamannaa liye hue jaataa huun teri bazm se kyaa kyaa liye hue nairangi-e-jamaal hai jalva-gah-e-khayaal us dil mein huun main husn ki duniyaa liye hue ummid-e-zist us ko ho kyaa jis ke vaaste aae payaam-e-maut masihaa liye hue vo jalva-gaah-e-naaz ho aur chashm-e-shauq main huun kis qadar main dil mein tamannaa liye hue ye muskuraa ke kis ne nazar dil pe Daal di har har taDap hai shaan-e-tamannaa liye hue armaan ki fikr kis ko tamannaa kaa zikr kyaa dil khud hai ik nazar kaa sahaaraa liye hue Darne lage hain ab vo nazar se miri 'munir' goyaa sukut bhi hai taqaazaa liye hue"
M
Muneer Bhopali

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb