"jise ham dil samajhte the vahi ab dilrubaa niklaa khudaa ki shaan hai jo muddai kaa muddaaa niklaa pas-e-murdan talaashi li farishton ne to kyaa niklaa chhupaa ik gosha-e-dil mein khayaal-e-dil-rubaa niklaa tah-e-shamshir bhi bhule na ham qaatil ke ehsaan ko chali talvaar ruk ruk kar zabaan se marhabaa niklaa mere ashaar sun ke khush hue par vaae re qismat zabaan se marhabaa kahne ko the mar be-hayaa niklaa fanaa fillaah jab 'asghar' hue to ye khulaa uqda jise ham but samajhte the vahi apnaa khudaa niklaa"
but ke parde mein khudaa thaa mujhe maalum na thaa — Asghar Nizami
"but ke parde mein khudaa thaa mujhe maalum na thaa laal patthar mein chhupaa thaa mujhe maalum na thaa DhunDhtaa main rahaa tasbih ke daanon mein use zarre zarre mein khudaa thaa mujhe maalum na thaa dil ne jaa jaa ke kiye laakhon tavaaf-e-kaaba aur vo dil mein chhupaa thaa mujhe maalum na thaa ism-e-ahmad mein ahad aap chhupaa baiThaa thaa miim kaa parda paDaa thaa mujhe maalum na thaa le ke dil ghair kaa vo dil mein mire aa baiThaa ghar mein ik chor chhupaa thaa mujhe maalum na thaa hosh aate hi ye muusaa ki zabaan se niklaa tuur pe nur-e-khudaa thaa mujhe maalum na thaa kis ne chaunkaa diyaa kyon hosh mein aaya 'asghar' be-khudi mein hi mazaa thaa mujhe maalum na thaa"
بت کے پردے میں خدا تھا مجھے معلوم نہ تھا لعل پتھر میں چھپا تھا مجھے معلوم نہ تھا ڈھونڈھتا میں رہا تسبیح کے دانوں میں اسے ذرہ ذرہ میں خدا تھا مجھے معلوم نہ تھا دل نے جا جا کے کئے لاکھوں طواف کعبہ اور وہ دل میں چھپا تھا مجھے معلوم نہ تھا اسم احمد میں احد آپ چھپا بیٹھا تھا میم کا پردہ پڑا تھا مجھے معلوم نہ تھا لے کے دل غیر کا وہ دل میں مرے آ بیٹھا گھر میں اک چور چھپا تھا مجھے معلوم نہ تھا ہوش آتے ہی یہ موسیٰ کی زباں سے نکلا طور پہ نور خدا تھا مجھے معلوم نہ تھا کس نے چونکا دیا کیوں ہوش میں آیا اصغرؔ بے خودی میں ہی مزا تھا مجھے معلوم نہ تھا
बुत के पर्दे में ख़ुदा था मुझे मालूम न था ला'ल पत्थर में छुपा था मुझे मालूम न था ढूँढता मैं रहा तस्बीह के दानों में उसे ज़र्रे ज़र्रे में ख़ुदा था मुझे मालूम न था दिल ने जा जा के किए लाखों तवाफ़-ए-काबा और वो दिल में छुपा था मुझे मालूम न था इस्म-ए-अहमद में अहद आप छुपा बैठा था मीम का पर्दा पड़ा था मुझे मालूम न था ले के दिल ग़ैर का वो दिल में मिरे आ बैठा घर में इक चोर छुपा था मुझे मालूम न था होश आते ही ये मूसा की ज़बाँ से निकला तूर पे नूर-ए-ख़ुदा था मुझे मालूम न था किस ने चौंका दिया क्यों होश में आया 'असग़र' बे-ख़ुदी में ही मज़ा था मुझे मालूम न था
More by Asghar Nizami
View all →"gar khudaa kaabe mein rahtaa hai to but-khaane mein kaun har hai gangaa jal mein to zamzam ke paimaane mein kaun qais ko jab le chale basti ki jaanib yuun kahaa lailaa aabaadi mein rahti hai to viraane mein kaun daar par us ko chaDhaayaa par na ye samjhaa koi thaa anal-haq kah rahaa mansur divaane mein kaun kis se baatein kar rahaa hai mujh ko bhi zaahid dikhaa chhup ke baiThaa hai teri tasbih ke daane mein kaun ho ke tum pir-e-mughaan masjid ko 'asghar' chal diye ye to batlaao ki ab jaaegaa maikhaane mein kaun"
"jab se dil shaidaa huaa hai us but-e-be-pir kaa baadshaah main ban gayaa huun ranj ki jaagir kaa dekh kar tasvir apni ban gae tasvir vo khuub jhagDaa hogaa ab tasvir se tasvir kaa hai sar-e-baalin masihaa aur malk-ul-maut bhi ab taqaazaa dekhnaa tadbir se taqdir kaa khaak-e-paa-e-dilrubaa laanaa tabibo DhunD kar kaam miTTi se liyaa jaataa hai ab iksir kaa kis ko DhunDun kaun ai 'asghar' paDhe tahrir ko kuchh paDhaa jaataa nahin likkhaa meri taqdir kaa"
"baandhnaa dil ko mire zulf-e-girah-gir ke saath khuub khelegaa ye qaidi teri zanjir ke saath pahle vo aae to baad un ke adu ko dekhaa khvaab aaya bhi to aaya mujhe taabir ke saath kisi baanke ke banaae hue abru hain tere khuub Takraayaa hai shamshir ko shamshir ke saath log kahte hain ki is dil mein khudaa rahtaa hai kis liye chal diyaa phir us but-e-be-pir ke saath aaj main jaa ke kahungaa ye adu se 'asghar' apni taqdir badal le miri taqdir ke saath"
"raaz mat apnaa bataa sab kaa magar hamraaz ban gar zamaana apnaa karnaa ho zamaana-saaz ban choT khaa siine pe apne naara-e-hu-haq lagaa soz ki tujh ko tamanna hai to misl-e-saaz ban laakh roton ko hansaao is ke ham qaail nahin murde ji uTThein saraapaa suur ki aavaaz ban be-niyaazi pe tiri hai naaz ai maulaa mujhe naaz-parvarda huun main tu bhi mujassam naaz ban"
"hargiz buton ke dil mein khauf-e-khudaa nahin hai ye sang-dil hain in mein bu-e-vafaa nahin hai mal mal ke khuub dho lo aakhir to hogaa zaahir hai khuun aashiqon kaa rang-e-hinaa nahin hai ye dekhti na un ko kyon un ke saath jaataa taqsir aankh ki hai dil ki khataa nahin hai baagh-e-jahaan mein ham ne har ek gul ko sunghaa ye phuul kaaghazi hain khushbu zaraa nahin hai 'asghar' ki kuchh na puchho mai-khaana mein paDaa hai is banda-e-khudaa ko khauf-e-khudaa nahin hai"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"