SHAWORDS

chalo surang se pahle guzar ke dekhaa jaae — Ateequllah

HomeAteequllahGhazal
"chalo surang se pahle guzar ke dekhaa jaae phir is pahaaD ko kaandhon pe dhar ke dekhaa jaae udhar ke saare tamaashon ke rang dekh chuke ab is taraf bhi kisi roz mar ke dekhaa jaae vo chaahtaa hai kiyaa jaae e'tibaar us par to e'tibaar bhi kuchh roz kar ke dekhaa jaae kahaan pahunch ke hadein sab tamaam hoti hain is aasmaan se niche utar ke dekhaa jaae ye darmiyaan mein kis kaa saraapaa aataa hai agar ye had hai to had se guzar ke dekhaa jaae ye dekhaa jaae vo kitne qarib aataa hai phir is ke baad hi inkaar kar ke dekhaa jaae"
Urdu

چلو سرنگ سے پہلے گزر کے دیکھا جائے پھر اس پہاڑ کو کاندھوں پہ دھر کے دیکھا جائے ادھر کے سارے تماشوں کے رنگ دیکھ چکے اب اس طرف بھی کسی روز مر کے دیکھا جائے وہ چاہتا ہے کیا جائے اعتبار اس پر تو اعتبار بھی کچھ روز کر کے دیکھا جائے کہاں پہنچ کے حدیں سب تمام ہوتی ہیں اس آسمان سے نیچے اتر کے دیکھا جائے یہ درمیان میں کس کا سراپا آتا ہے اگر یہ حد ہے تو حد سے گزر کے دیکھا جائے یہ دیکھا جائے وہ کتنے قریب آتا ہے پھر اس کے بعد ہی انکار کر کے دیکھا جائے

Hindi

चलो सुरंग से पहले गुज़र के देखा जाए फिर इस पहाड़ को काँधों पे धर के देखा जाए उधर के सारे तमाशों के रंग देख चुके अब इस तरफ़ भी किसी रोज़ मर के देखा जाए वो चाहता है किया जाए ए'तिबार उस पर तो ए'तिबार भी कुछ रोज़ कर के देखा जाए कहाँ पहुँच के हदें सब तमाम होती हैं इस आसमान से नीचे उतर के देखा जाए ये दरमियान में किस का सरापा आता है अगर ये हद है तो हद से गुज़र के देखा जाए ये देखा जाए वो कितने क़रीब आता है फिर इस के बाद ही इंकार कर के देखा जाए

chalo surañg se pahle guzar ke dekhā jaa.e
Ateequllah
Ateequllah
Ateequllah
poet62 quotes

More by Ateequllah

View all →
Quote
"vo baat kyaa thi ki jis kaa asar nahin jaataa kisi kaa zehn tiri baat par nahin jaataa zamin ke itne se TukDe pe itni divaarein ki ek shakhs idhar se udhar nahin jaataa vo chaand taar-e-garebaan mein jaa ke aTkaa hai tamaam aasmaan daaman mein bhar nahin jaataa sitam ke haath the aur aasmaan ko chhute the zaraa jhukaa diyaa hotaa to sar nahin jaataa vahi lapak hai sinaan mein chamak hai khanjar mein agarche mere qabile kaa Dar nahin jaataa gumaan ke haath se mash'al kahaan pe jaa ke giri agar main apni hadon se guzar nahin jaataa kuchh aur teri taraf se umiid rakhtaa huun main is tarah ki 'inaayaat par nahin jaataa vo tum hi the jo basar kar gae 'atiqullaah jahaan se itnaa koi be-khabar nahin jaataa"
AteequllahAteequllah
Quote
"andheraa mere baatin mein paDaa thaa koi mujh ko pukaare jaa rahaa thaa ham apne aasmaanon mein kahin the hamaare pichhe koi aa rahaa thaa ufuq sunsaan hote jaa rahe the sukut-e-vasl kaa manzar bhi kyaa thaa chamak kaisi badan se phuuT nikli hamaare haath mein kis kaa siraa thaa sar-e-lams-e-badan jo lazzatein thiin khataa ke batn mein jo kaif saa thaa main sadiyon us taraf thaa aur vo mujh ko miri maujudgi mein dekhtaa thaa koi shab DhunDti thi mujh ko aur main tiri nindon mein jaa kar so gayaa thaa usi ne zulmatein phailaa rakhi hain asaas-e-khvaab par jis ko rakhaa thaa"
AteequllahAteequllah
Quote
"main un hudud se kuchh aage jaane vaalaa thaa tamaasha aur hi tujh ko dikhaane vaalaa thaa vo khaak-e-nam bhi miri thi shikasta-dil bhi mire yahi asaasa abhi main ganvaane vaalaa thaa ye shaakh phir hui viraan ai parinda-e-shab isi Thikaane kabhi tu bhi aane vaalaa thaa na ek raat hi aisi na ek din aisaa magar main raat ko din se milaane vaalaa thaa gharib-e-shahr kaa sar ho gayaa qalam aakhir kahaan ki chiiz kahaan par luTaane vaalaa thaa ik aur gumaan ne saaya saa mujh pe Daal diyaa ik aur gumaan ki zad mein jab aane vaalaa thaa"
AteequllahAteequllah

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb