SHAWORDS

chaman mein dekh ghunchon ko javaani apni yaad aai — Hakeem Aagha Jan Aish

"chaman mein dekh ghunchon ko javaani apni yaad aai fasaana sun ke bulbul kaa kahaani apni yaad aai jo dekhi nargis-e-bimaar gulshan mein to bas ham ko bahut riqqat hui aur naa-tavaani apni yaad aai sunaa kal dekhte hi aaine ko kyaa kahun tum se mujhe bas aankh hai hai DabDabaai apni yaad aai chaman mein chahchahaa bulbul kaa bas junhi sunaa ham ne to bas yaaron mein ham ko sher-khvaani apni yaad aai jo dekhaa haal-e-shama subh ham ne bazm mein jaa kar to ham ko umr-e-be-huda ganvaani apni yaad aai sabaa ke chheD jo ham ne gulon se subh-dam dekhi to us gul-ru se ham ko chheD-khvaani apni yaad aai huaa jaataa hai siine mein jo dil khuun hamdamo shaayad kahin us shokh ko mehndi rachaani apni yaad aai hilaai jo sabaa ne zulf-e-pur-kham us pari-vash ko to vo zanjir-e-dar ham ko hilaani apni yaad aai na puchho kuchh ki hangaam-e-tamaashaa dekh dariyaa ko mujhe kyaa kyaa tabiat ki ravaani apni yaad aai ye tu ne 'aish' dekhi zulf-e-pechaan kis ki jo tujh ko pareshaan-khaatiri aashufta-jaani apni yaad aai"
Urdu

چمن میں دیکھ غنچوں کو جوانی اپنی یاد آئی فسانہ سن کے بلبل کا کہانی اپنی یاد آئی جو دیکھی نرگس بیمار گلشن میں تو بس ہم کو بہت رقت ہوئی اور ناتوانی اپنی یاد آئی سنا کل دیکھتے ہی آئنے کو کیا کہوں تم سے مجھے بس آنکھ ہے ہے ڈبڈبائی اپنی یاد آئی چمن میں چہچہا بلبل کا بس جوں ہی سنا ہم نے تو بس یاروں میں ہم کو شعر خوانی اپنی یاد آئی جو دیکھا حال شمع صبح ہم نے بزم میں جا کر تو ہم کو عمر بے ہودہ گنوانی اپنی یاد آئی صبا کے چھیڑ جو ہم نے گلوں سے صبح دم دیکھی تو اس گل رو سے ہم کو چھیڑ خوانی اپنی یاد آئی ہوا جاتا ہے سینے میں جو دل خوں ہمدمو شاید کہیں اس شوخ کو مہندی رچانی اپنی یاد آئی ہلائی جو صبا نے زلف پر خم اس پری وش کو تو وہ زنجیر در ہم کو ہلانی اپنی یاد آئی نہ پوچھو کچھ کہ ہنگام تماشا دیکھ دریا کو مجھے کیا کیا طبیعت کی روانی اپنی یاد آئی یہ تو نے عیشؔ دیکھی زلف پیچاں کس کی جو تجھ کو پریشاں خاطری آشفتہ جانی اپنی یاد آئی

Hindi

चमन में देख ग़ुंचों को जवानी अपनी याद आई फ़साना सुन के बुलबुल का कहानी अपनी याद आई जो देखी नर्गिस-ए-बीमार गुलशन में तो बस हम को बहुत रिक़्क़त हुई और ना-तवानी अपनी याद आई सुना कल देखते ही आइने को क्या कहूँ तुम से मुझे बस आँख है है डबडबाई अपनी याद आई चमन में चहचहा बुलबुल का बस जूँही सुना हम ने तो बस यारों में हम को शेर-ख़्वानी अपनी याद आई जो देखा हाल-ए-शम्अ सुब्ह हम ने बज़्म में जा कर तो हम को उम्र-ए-बे-हूदा गँवानी अपनी याद आई सबा के छेड़ जो हम ने गुलों से सुब्ह-दम देखी तो उस गुल-रू से हम को छेड़-ख़्वानी अपनी याद आई हुआ जाता है सीने में जो दिल ख़ूँ हमदमो शायद कहीं उस शोख़ को मेहंदी रचानी अपनी याद आई हिलाई जो सबा ने ज़ुल्फ़-ए-पुर-ख़म उस परी-वश को तो वो ज़ंजीर-ए-दर हम को हिलानी अपनी याद आई न पूछो कुछ कि हँगाम-ए-तमाशा देख दरिया को मुझे क्या क्या तबीअत की रवानी अपनी याद आई ये तू ने 'ऐश' देखी ज़ुल्फ़-ए-पेचाँ किस की जो तुझ को परेशाँ-ख़ातिरी आशुफ़्ता-जानी अपनी याद आई

chaman meñ dekh ġhunchoñ ko javānī apnī yaad aa.ī
H
Hakeem Aagha Jan Aish
Hakeem Aagha Jan Aish
poet49 quotes

More by Hakeem Aagha Jan Aish

View all →
Quote
"ye havaa kaisi chali barham zamaana ho gayaa haal-e-dehli bazm-e-aalam mein fasaana ho gayaa dil kisi fard-e-bashar kaa khaali is gham se nahin gham ye shaae ku-ba-ku khaana-ba-khaana ho gayaa har sar-e-mizhgaan na ho favvaara-e-khun kis tarah gham-zadon ke dil mein jab gham kaa khazaana ho gayaa ek ho to roiye kis kis ko roein yaad kar dekh kar us haadisa ko dil divaana ho gayaa dekhte hi dekhte aankhon mein aage apne yaan dam ke dam mein aur hi kuchh kaarkhaana ho gayaa aah gulgun-e-bahaar-e-gulshan dehli ko 'aish' mauja-e-baad-e-khizaan kyaa taaziyaana ho gayaa"
H
Hakeem Aagha Jan Aish
Quote
"kaifiyyat aisi hai nigah-e-mast-e-khvaab mein zaahid bhi dekh le to nahaave sharaab mein kyon kyaa kaheinge hazrat-e-yusuf javaab mein chori kiyaa hai dil jo zulekhaa kaa khvaab mein honTon ko tar to karte ho qadh-e-sharaab mein aisaa na ho ki aag lage aaftaab mein hai josh-e-girya ab bhi vo chashm-e-pur-aab mein dariyaa ke dam ko band kiyaa hai habaab mein likkhaa hai aashiqon ne ye dil ki kitaab mein hain pand mana sunne mohabbat ke baab mein chin-bar-jabin ho kis kaa paDaa aks aab mein is tarah mauj-e-bahr jo hai pech-o-taab mein bu aur maza vo hai tire munh ke luaab mein goyaa ghulaa hai qand-e-mukarrar gulaab mein shaayad ki azm-e-kucha-e-jaanaan hai dil ko aaj bhejaa hai pahle jaan ko jo paa-turaab mein gardish hai us ki chashm ko hasti mein yaa kahin nargis kaa phuul tair rahaa hai sharaab mein apnaa to vaqt yaad karo tum ne shaikh ji kyaa kyaa maze uDaae hain ahd-e-shabaab mein suntaa hai ham-nashin nigah-e-naaz be-tarah ghar kar gai hai is dil-e-khaana-kharaab mein chechak ke daagh us rukh-e-taabaan pe dekh lo taare khile na dekhe hon gar aaftaab mein mat ghusl diijo dast-e-hinaai kaa huun shahid nahlaa chukaa hai dashna mujhe khun-e-naab mein le chakh to shokhi-e-lab-o-namkini-e-zaqan kyaa khuub nuun mirch hain dil ke kabaab mein us ki si kuchh yahin nahin kahte hain daad-gar sab mil ke vaan bhi cheind kareinge hisaab mein ab yaan se kaabe khaak uDaane chale hain shaikh bahr-e-savaab khaak paDe is savaab mein baatein sunaa sunaa ke Daraaeinge apne saath zaahid na saaniyo tu kisi ko azaab mein miltaa nahin kuchh aur gar ai chaaraagar tujhe laachaar kuchh to chain paDe iztiraab mein zakhmon pe dil ke suda-e-almaas hi chhiDak hal kar ke ho so ho namak-o-mushk-e-naab mein zabt-e-fughaan mein Dar hai mujhe 'aish' dil kahin siine se baahar aa na paDe iztiraab mein"
H
Hakeem Aagha Jan Aish
Quote
"jaan-e-muztar ko na ho kyuun dil-e-betaab se haz hotaa ahbaab ko hai sohbat-e-ahbaab se haz nigah-e-mast se paataa hai vo dil kaifiyyat hoe makhmur ko jis tarah mai-e-naab se haz kyaa kahun furqat-e-jaanaan mein ki jo guzre hai puchhe ab is kaa koi maahi-e-be-aab se haz ahl-e-dil paate hain jamiyyat-e-dil se lazzat ahl-e-duniyaa ko hai jamiyyat-e-asbaab se haz dekh kar ru-e-butaan jaan mazaa paati hai andalibon ko na ho kyuun gul-e-shaadaab se haz kartaa bad-haz hai faqat taala-e-bedaar ko khvaab varna har jaagne vaale ko milaa khvaab se haz jab na ho saath vo mah-ru shab-e-mahtaab mein 'aish' kyaa uThe khaak bataao shab-e-mahtaab se haz"
H
Hakeem Aagha Jan Aish
Quote
"yuun baat kisi ki ham kab yaar uThaate hain dil tum ko diyaa is se laachaar uThaate hain ham matlab-e-dil chaahein gardun se ye kyaa mumkin aazaad-manash us ke kab aar uThaate hain bahkaane se ghairon ke kyaa kiije ilaaj is kaa har baat mein vo mujh se takraar uThaate hain munh kyaa hai falak teraa koh-e-gham-e-hijraan kaa ye hazrat-e-dil hi hain jo baar uThaate hain ham tufta-jigar zaalim hai kuchh bhi khabar tujh ko ulfat mein tiri kyaa kyaa aazaar uThaate hain ik jumbish-e-abru hi ushshaaq ko kaafi hai kyuun qatl ko vo un ke talvaar uThaate hain kuchh 'aish' sunaa tu ne us bazm mein aashiq par tufaan nae kyaa kyaa aghyaar uThaate hain"
H
Hakeem Aagha Jan Aish

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer