"gahe sho'la gahe shabnam nami-daanam nami-daanam mizaaj-e-kaakul-e-barham nami-daanam nami-daanam nikhartaa hai barun jis se sanvartaa hai darun jis se subu hai yaa koi zamzam nami-daanam nami-daanam bulaati hai koi paael ki hai zanjir kaa naala ye jo aavaaz hai chham-chham nami-daanam nami-daanam ye siina ho gayaa hai is qadar makhmur tiron se kahaan ghaav kahaan marham nami-daanam nami-daanam mujhe laDnaa hai khud se aakhiri saanson ki mohlat tak rahegaa kab talak dam-kham nami-daanam nami-daanam khudi kaa raaz paa kar ho gayaa huun khud se naa-vaaqif che man hastam che man budam nami-daanam nami-daanam 'amar' ham tum zamin-o-aasmaan dariyaa ke do saahil mileinge hashr mein baaham nami-daanam nami-daanam"
chashm-e-dil-gir muntazir hai miri — Amar Ruhani
"chashm-e-dil-gir muntazir hai miri phir koi hiir muntazir hai miri shaam tak ghar ko lauTnaa hai mujhe us ki tasvir muntazir hai miri phir bikharne ko hain 'anaasir-e-jaan zarb-o-taksir muntazir hai miri chhan-chhanaa-chhan ki aa rahi hai sadaa koi zanjir muntazir hai miri le chalo mujh ko su-e-daar-o-rasan rasm-e-tauqir muntazir hai miri shauq-e-aavaargi salaam tujhe raah-e-taa'mir muntazir hai miri aaine mujh ko DhunDte hain 'amar' tazk-o-tathir muntazir hai miri"
چشم دل گیر منتظر ہے مری پھر کوئی ہیر منتظر ہے مری شام تک گھر کو لوٹنا ہے مجھے اس کی تصویر منتظر ہے مری پھر بکھرنے کو ہیں عناصر جاں ضرب و تکسیر منتظر ہے مری چھن چھنا چھن کی آ رہی ہے صدا کوئی زنجیر منتظر ہے مری لے چلو مجھ کو سوئے دار و رسن رسم توقیر منتظر ہے مری شوق آوارگی سلام تجھے راہ تعمیر منتظر ہے مری آئنے مجھ کو ڈھونڈتے ہیں امرؔ تزک و تطہیر منتظر ہے مری
चश्म-ए-दिल-गीर मुंतज़िर है मिरी फिर कोई हीर मुंतज़िर है मिरी शाम तक घर को लौटना है मुझे उस की तस्वीर मुंतज़िर है मिरी फिर बिखरने को हैं 'अनासिर-ए-जाँ ज़र्ब-ओ-तक्सीर मुंतज़िर है मिरी छन-छना-छन की आ रही है सदा कोई ज़ंजीर मुंतज़िर है मिरी ले चलो मुझ को सू-ए-दार-ओ-रसन रस्म-ए-तौक़ीर मुंतज़िर है मिरी शौक़-ए-आवारगी सलाम तुझे राह-ए-ता'मीर मुंतज़िर है मिरी आइने मुझ को ढूँडते हैं 'अमर' तज़्क-ओ-ततहीर मुंतज़िर है मिरी

More by Amar Ruhani
View all →"partav-e-'akkaas thaa vo main na thaa aainon ko raas thaa vo main na thaa meri parchhaain jise samjhe the log koi mere paas thaa vo main na thaa jo supurd-e-khaak kar aae ho tum haDDiyaan thiin maas thaa vo main na thaa kahkashaan par jis ke naqsh-e-paa mile vo miraa ehsaas thaa vo main na thaa kho gayaa huun apne qisse mein kahin zinat-e-qirtaas thaa vo main na thaa paa-barahna zindagi ki rah pe huun saahib-e-afraas thaa vo main na thaa"
"zabt ki Dor se bandhi hain faqat vo patangein hi kyon kaTi hain faqat 'ishq vo naar-e-jaavedaan jis mein jism ki lakDiyaan jali hain faqat zindagi ke muhib zindaan mein maut ki khiDkiyaan khuli hain faqat mubtalaa hain 'azaab mein aankhein tirgi mein hi dekhti hain faqat koi tajhiz hi nahin mumkin itni saansein hamein mili hain faqat jism-o-jaan ke nahif malbe mein chand yaadein tiri bachi hain faqat kyaa hai shaam-o-sahar kaa afsaana raushni tirgi mili hain faqat kaise taa'mir khaal-o-khad ho 'amar' chaak par gardishein dhari hain faqat"
"ahl-e-paimaan-o-qasam kaun hai ham jaante hain tere kaa'be kaa sanam kaun hai ham jaante hain ye khudaaon ki nahin jang hai insaanon ki maalik-e-dair-o-haram kaun hai ham jaante hain taaq mein rakkhe buton ne bhi ye sargoshi ki khaaliq-e-bud-o-adam kaun hai ham jaante hain ye mukaafaat-e-'amal hiila vasila bar-haq raaqim-e-lauh-o-qalam kaun hai ham jaante hain khud hi khul jaate hain alfaaz ke maa'ni jis par khugar-e-nutq-e-'ajam kaun hai ham jaante hain saaqiyaa kuchh bhi nahin rang bhare paani mein baada-khaane kaa bharam kaun hai ham jaante hain lazzat-e-tan hai giraan dil ki lataafat pe 'amar' chaara-e-dard-o-alam kaun hai ham jaante hain"
"naskh-o-nisyaan ban ke phail gai khaak insaan ban ke phail gai hasrat-e-shauq-e-did manzil par chashm-e-hairaan ban ke phail gai meri khaamoshi bazm-e-yaaraan mein ek e'laan ban ke phail gai khvaahishon ki kasak na jaane kab mujh mein sartaan ban ke phail gai ek zanjir chand harfon ki jaise zindaan ban ke phail gai had se guzri to tang-dasti miri saaz-o-saamaan ban ke phail gai shahr-e-hasti mein khu-e-gumnaami meri pahchaan ban ke phail gai har talab un ke aastaan pe 'amar' husn-e-imkaan ban ke phail gai"
"lahu se naqsh 'ibaarat na mere kaam aai in aansuon ki sifaarat na mere kaam aai miri lahad pe 'abas bojh kis ne Daal diyaa ye pattharon ki 'imaarat na mere kaam aai rahaa najis kaa najis hi ki mail thaa dil mein mire badan ki tahaarat na mere kaam aai vahaan pe chashm-e-basirat ne meraa saath diyaa jahaan pe chashm-e-basaarat na mere kaam aai main tishna-lab rahaa saaqi rahaa ki rind rahaa vo mai-kadon ki sadaarat na mere kaam aai ye hukm-e-yaar thaa fariyaad ho sar-e-mahfil so khaamushi ki jasaarat na mere kaam aai uThaa diyaa gayaa marne ke baa'd phir mujh ko sukut-e-dil ki sharaarat na mere kaam aai vo mutribaan-e-hayaat aise khush-gulu the 'amar' ajal ki koi bashaarat na mere kaam aai"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"