SHAWORDS

zabt ki Dor se bandhi hain faqat — Amar Ruhani

HomeAmar RuhaniGhazal
"zabt ki Dor se bandhi hain faqat vo patangein hi kyon kaTi hain faqat 'ishq vo naar-e-jaavedaan jis mein jism ki lakDiyaan jali hain faqat zindagi ke muhib zindaan mein maut ki khiDkiyaan khuli hain faqat mubtalaa hain 'azaab mein aankhein tirgi mein hi dekhti hain faqat koi tajhiz hi nahin mumkin itni saansein hamein mili hain faqat jism-o-jaan ke nahif malbe mein chand yaadein tiri bachi hain faqat kyaa hai shaam-o-sahar kaa afsaana raushni tirgi mili hain faqat kaise taa'mir khaal-o-khad ho 'amar' chaak par gardishein dhari hain faqat"
Urdu

ضبط کی ڈور سے بندھی ہیں فقط وہ پتنگیں ہی کیوں کٹی ہیں فقط عشق وہ نار جاوداں جس میں جسم کی لکڑیاں جلی ہیں فقط زندگی کے مہیب زنداں میں موت کی کھڑکیاں کھلی ہیں فقط مبتلا ہیں عذاب میں آنکھیں تیرگی میں ہی دیکھتی ہیں فقط کوئی تجہیز ہی نہیں ممکن اتنی سانسیں ہمیں ملی ہیں فقط جسم و جاں کے نحیف ملبے میں چند یادیں تری بچی ہیں فقط کیا ہے شام و سحر کا افسانہ روشنی تیرگی ملی ہیں فقط کیسے تعمیر خال و خد ہو امرؔ چاک پر گردشیں دھری ہیں فقط

Hindi

ज़ब्त की डोर से बंधी हैं फ़क़त वो पतंगें ही क्यों कटी हैं फ़क़त 'इश्क़ वो नार-ए-जावेदाँ जिस में जिस्म की लकड़ियाँ जली हैं फ़क़त ज़िंदगी के मुहीब ज़िंदाँ में मौत की खिड़कियाँ खुली हैं फ़क़त मुब्तला हैं 'अज़ाब में आँखें तीरगी में ही देखती हैं फ़क़त कोई तजहीज़ ही नहीं मुमकिन इतनी साँसें हमें मिली हैं फ़क़त जिस्म-ओ-जाँ के नहीफ़ मलबे में चंद यादें तिरी बची हैं फ़क़त क्या है शाम-ओ-सहर का अफ़्साना रौशनी तीरगी मिली हैं फ़क़त कैसे ता'मीर ख़ाल-ओ-ख़द हो 'अमर' चाक पर गर्दिशें धरी हैं फ़क़त

zabt kī Dor se bañdhī haiñ faqat
Amar Ruhani
Amar Ruhani
Amar Ruhani
poet21 quotes

More by Amar Ruhani

View all →
Quote
"gahe sho'la gahe shabnam nami-daanam nami-daanam mizaaj-e-kaakul-e-barham nami-daanam nami-daanam nikhartaa hai barun jis se sanvartaa hai darun jis se subu hai yaa koi zamzam nami-daanam nami-daanam bulaati hai koi paael ki hai zanjir kaa naala ye jo aavaaz hai chham-chham nami-daanam nami-daanam ye siina ho gayaa hai is qadar makhmur tiron se kahaan ghaav kahaan marham nami-daanam nami-daanam mujhe laDnaa hai khud se aakhiri saanson ki mohlat tak rahegaa kab talak dam-kham nami-daanam nami-daanam khudi kaa raaz paa kar ho gayaa huun khud se naa-vaaqif che man hastam che man budam nami-daanam nami-daanam 'amar' ham tum zamin-o-aasmaan dariyaa ke do saahil mileinge hashr mein baaham nami-daanam nami-daanam"
Amar RuhaniAmar Ruhani
Quote
"ahl-e-paimaan-o-qasam kaun hai ham jaante hain tere kaa'be kaa sanam kaun hai ham jaante hain ye khudaaon ki nahin jang hai insaanon ki maalik-e-dair-o-haram kaun hai ham jaante hain taaq mein rakkhe buton ne bhi ye sargoshi ki khaaliq-e-bud-o-adam kaun hai ham jaante hain ye mukaafaat-e-'amal hiila vasila bar-haq raaqim-e-lauh-o-qalam kaun hai ham jaante hain khud hi khul jaate hain alfaaz ke maa'ni jis par khugar-e-nutq-e-'ajam kaun hai ham jaante hain saaqiyaa kuchh bhi nahin rang bhare paani mein baada-khaane kaa bharam kaun hai ham jaante hain lazzat-e-tan hai giraan dil ki lataafat pe 'amar' chaara-e-dard-o-alam kaun hai ham jaante hain"
Amar RuhaniAmar Ruhani
Quote
"naskh-o-nisyaan ban ke phail gai khaak insaan ban ke phail gai hasrat-e-shauq-e-did manzil par chashm-e-hairaan ban ke phail gai meri khaamoshi bazm-e-yaaraan mein ek e'laan ban ke phail gai khvaahishon ki kasak na jaane kab mujh mein sartaan ban ke phail gai ek zanjir chand harfon ki jaise zindaan ban ke phail gai had se guzri to tang-dasti miri saaz-o-saamaan ban ke phail gai shahr-e-hasti mein khu-e-gumnaami meri pahchaan ban ke phail gai har talab un ke aastaan pe 'amar' husn-e-imkaan ban ke phail gai"
Amar RuhaniAmar Ruhani
Quote
"aap kaa intikhaab achchhe hain ham bure hain janaab achchhe hain koi achchhaa koi bahut achchhaa ham se to sab kharaab achchhe hain jhuuT mein 'aafiyat nahin milti sach ke vaqti 'azaab achchhe hain dosti mein hisaab kam-zarfi dushmani mein hisaab achchhe hain in mein bahte hain aas ke dariyaa dar-haqiqat saraab achchhe hain raqs karne lage hain gham aur main jaam saaqi sharaab achchhe hain in ki taa'bir talkh hai varna zindagaani ke khvaab achchhe hain pahle kar lijiye hisaab kitaab phir savaal-o-javaab achchhe hain aisaa qaht-ur-rijaal hai ki 'amar' jo bhi hain dastyaab achchhe hain"
Amar RuhaniAmar Ruhani
Quote
"lahu se naqsh 'ibaarat na mere kaam aai in aansuon ki sifaarat na mere kaam aai miri lahad pe 'abas bojh kis ne Daal diyaa ye pattharon ki 'imaarat na mere kaam aai rahaa najis kaa najis hi ki mail thaa dil mein mire badan ki tahaarat na mere kaam aai vahaan pe chashm-e-basirat ne meraa saath diyaa jahaan pe chashm-e-basaarat na mere kaam aai main tishna-lab rahaa saaqi rahaa ki rind rahaa vo mai-kadon ki sadaarat na mere kaam aai ye hukm-e-yaar thaa fariyaad ho sar-e-mahfil so khaamushi ki jasaarat na mere kaam aai uThaa diyaa gayaa marne ke baa'd phir mujh ko sukut-e-dil ki sharaarat na mere kaam aai vo mutribaan-e-hayaat aise khush-gulu the 'amar' ajal ki koi bashaarat na mere kaam aai"
Amar RuhaniAmar Ruhani

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb