SHAWORDS

chashm-e-dil jis ki raah takti hai — Iftikhar Raghib

"chashm-e-dil jis ki raah takti hai ab vo bijli kahaan chamakti hai der lagti hai jis ko jalne mein aag vo der tak dahakti hai tujh se milne ki aas ki chiDiyaa sehn-e-dil mein bahut chahakti hai dil dahaltaa hai dusri kaa bhi ek divaar jab darakti hai chhupne vaali nahin miri chaahat teri aankhon mein jo chamakti hai tishnagi meri jis se hai mansub vo suraahi kahaan chhalakti hai jaane kab vo karein vafaa dil se roz chashm-e-vafaa phaDakti hai jalne vaalon se koi kyaa puchhe kyon unhein raushni khaTakti hai aas TuuTi to saath hi 'raaghib' saans ki Dor TuuT sakti hai"
Urdu

چشم دل جس کی راہ تکتی ہے اب وہ بجلی کہاں چمکتی ہے دیر لگتی ہے جس کو جلنے میں آگ وہ دیر تک دہکتی ہے تجھ سے ملنے کی آس کی چڑیا صحن دل میں بہت چہکتی ہے دل دہلتا ہے دوسری کا بھی ایک دیوار جب درکتی ہے چھپنے والی نہیں مری چاہت تیری آنکھوں میں جو چمکتی ہے تشنگی میری جس سے ہے منسوب وہ صراحی کہاں چھلکتی ہے جانے کب وہ کریں وفا دل سے روز چشم وفا پھڑکتی ہے جلنے والوں سے کوئی کیا پوچھے کیوں انہیں روشنی کھٹکتی ہے آس ٹوٹی تو ساتھ ہی راغبؔ سانس کی ڈور ٹوٹ سکتی ہے

Hindi

चश्म-ए-दिल जिस की राह तकती है अब वो बिजली कहाँ चमकती है देर लगती है जिस को जलने में आग वो देर तक दहकती है तुझ से मिलने की आस की चिड़िया सेहन-ए-दिल में बहुत चहकती है दिल दहलता है दूसरी का भी एक दीवार जब दरकती है छुपने वाली नहीं मिरी चाहत तेरी आँखों में जो चमकती है तिश्नगी मेरी जिस से है मंसूब वो सुराही कहाँ छलकती है जाने कब वो करें वफ़ा दिल से रोज़ चश्म-ए-वफ़ा फड़कती है जलने वालों से कोई क्या पूछे क्यों उन्हें रौशनी खटकती है आस टूटी तो साथ ही 'राग़िब' साँस की डोर टूट सकती है

chashm-e-dil jis kī raah taktī hai
Iftikhar Raghib
Iftikhar Raghib
Iftikhar Raghib
poet58 quotes

More by Iftikhar Raghib

View all →
Quote
"sadaa aansu bahaane se kisi ko kuchh nahin miltaa ki rone giDgiDaane se kisi ko kuchh nahin miltaa kisi kaa kuchh nahin jaataa kisi se hans ke milne se aji yuun munh banaane se kisi ko kuchh nahin miltaa agar ghairat hai zinda to vasaail kijiye paidaa hamesha dum hilaane se kisi ko kuchh nahin miltaa na ho tadbir to taqdir bhi haami nahin hoti khudaa ke kaar-khaane se kisi ko kuchh nahin miltaa darakhton par inhein 'raaghib' hamesha chahchahaane do parindon ko uDaane se kisi ko kuchh nahin miltaa"
Iftikhar RaghibIftikhar Raghib
Quote
"jis ne rivaayaton ki qabaa taar-taar ki kahte hain us ne raah nai ikhtiyaar ki kar di hai us ne ab to mazaalim ki intihaa chhiD jaae ab na jang kahin aar-paar ki saa'at ko pahle 'umr se taqsim kar diyaa phir tere intizaar ki saa'at shumaar ki tu hai sukhan kaa taaj-mahal ai miri ghazal kyaa daad koi de tire naqsh-o-nigaar ki aah-o-fughaan se hilne lagi saari kaainaat khulti nahin hai aankh magar pahre-daar ki detaa nahin hai dil hi miraa saath kyaa karun main ne to bhuul jaane ki koshish hazaar ki shaamil karein use bhi asaasi huquq mein 'raaghib' har aadmi ko zarurat hai pyaar ki"
Iftikhar RaghibIftikhar Raghib
Quote
"vo kahte hain ki aankhon mein miri tasvir kis ki hai main kahtaa huun ki raushan is qadar taqdir kis ki hai vo kahte hain ki kis ne aap ko rokaa hai jaane se main kahtaa huun ki mere paanv mein zanjir kis ki hai vo kahte hain ki hai insaan to ik khaak kaa putlaa main kahtaa huun ki itni azma-o-tauqir kis ki hai vo kahte hain ki dil mein aap ne kis ko basaayaa hai main kahtaa huun ki ye duniyaa-e-dil jaagir kis ki hai vo kahte hain ki kis ne jaa-ba-jaa likhkhaa hai meraa naam main kahtaa huun shikasta is qadar tahrir kis ki hai vo kahte hain ki main ne aap saa saame nahin dekhaa main kahtaa huun ki itni pur-kashish taqrir kis ki hai vo kahte hain tire sheron mein hai shokhi qayaamat ki main kahtaa huun khayaal o fikr mein tanvir kis ki hai vo kahte hain ki ham hain dushmanaan-e-amn ke dushman main kahtaa huun ki un ke haath mein shamshir kis ki hai vo kahte hain ki 'raaghib' tum nahin rakhte khayaal apnaa main kahtaa huun ki har dam fikr daaman-gir kis ki hai"
Iftikhar RaghibIftikhar Raghib
Quote
"kyaa ishq hai jab ho jaaegaa tab baat samajh mein aaegi jab zehn ko dil samjhaaegaa tab baat samajh mein aaegi pal mein khush pal mein ranjida aae na samajh mein baat hai kyaa dil khil khil kar murjhaaegaa tab baat samajh mein aaegi gum-sum rahne kaa kyaa hai sabab hanstaa hai akele mein koi kab jab koi dil ko churaaegaa tab baat samajh mein aaegi main auron ko samjhaataa thaa ai ishq mujhe maalum na thaa jab kuchh na samajh mein aaegaa tab baat samajh mein aaegi kyaa aafat dil kaa aana hai be-sud abhi samjhaanaa hai dil taDpegaa taDpaaegaa tab baat samajh mein aaegi chhup-chhup kar dil kyon rotaa hai kyaa aalam-e-vahshat hotaa hai rah-rah kar ji ghabraaegaa tab baat samajh mein aaegi kyaa shai hai mohabbat ki khushbu aataa hai nazar koi kyon har su aankhon mein koi bas jaaegaa tab baat samajh mein aaegi 'raaghib' mat puchh hai raghbat kyaa izhaar mohabbat kyaa hai balaa ik lafz na munh tak aaegaa tab baat samajh mein aaegi"
Iftikhar RaghibIftikhar Raghib
Quote
"tark-e-taalluqaat nahin chaahtaa thaa main gham se tire najaat nahin chaahtaa thaa main kab chaahtaa thaa teri inaayat ki baarishein shaadaabi-e-hayaat nahin chaahtaa thaa mein mujh se tu ai bahisht-e-nazar yuun nazar na pher kyaa tujh ko taa-hayaat nahin chaahtaa thaa main main chaahtaa thaa tum se na jitun kabhi magar khaa jaaun khud se maat nahin chaahtaa thaa main guzri hai dil pe kaisi qayaamat main kyaa kahun nafrat ki kaaenaat nahin chaahtaa thaa main kyaa haal ab hai tere taaaqub mein ai hayaat tu yuun hi aae haat nahin chaahtaa thaa main main chaahtaa thaa raah mein kuchh mushkilein magar har har qadam pe ghaat nahin chaahtaa thaa main 'raaghib' vo meri fikr mein khud ko bhi bhuul jaaein aisi to koi baat nahin chaahtaa thaa main"
Iftikhar RaghibIftikhar Raghib

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud