SHAWORDS

chashm-e-saaqi agar salaamat hai — Ehsan Akhtar Ghazipuri

"chashm-e-saaqi agar salaamat hai saaghar-o-mai ki kyaa zarurat hai chaak daaman hai aankh hai pur-nam kyaa yahi haasil-e-mohabbat hai ye gham-e-dil ye dard-e-tanhaai mere mahbub ki inaayat hai husn-e-maghrur kyaa pataa tujh ko aashiqon kaa vajud rahmat hai uljhanon aur zulf barham mein koi kyaa jaane kitni nisbat hai meri tauba ki aaj khair nahin har adaa husn ki qayaamat hai vo na aae to un ki yaad aai ye bhi 'akhtar' bahut ghanimat hai"
Urdu

چشم ساقی اگر سلامت ہے ساغر و مے کی کیا ضرورت ہے چاک دامن ہے آنکھ ہے پر نم کیا یہی حاصل محبت ہے یہ غم دل یہ درد تنہائی میرے محبوب کی عنایت ہے حسن مغرور کیا پتا تجھ کو عاشقوں کا وجود رحمت ہے الجھنوں اور زلف برہم میں کوئی کیا جانے کتنی نسبت ہے میری توبہ کی آج خیر نہیں ہر ادا حسن کی قیامت ہے وہ نہ آئے تو ان کی یاد آئی یہ بھی اخترؔ بہت غنیمت ہے

Hindi

चश्म-ए-साक़ी अगर सलामत है साग़र-ओ-मय की क्या ज़रूरत है चाक दामन है आँख है पुर-नम क्या यही हासिल-ए-मोहब्बत है ये ग़म-ए-दिल ये दर्द-ए-तन्हाई मेरे महबूब की इनायत है हुस्न-ए-मग़रूर क्या पता तुझ को आशिक़ों का वजूद रहमत है उलझनों और ज़ुल्फ़ बरहम में कोई क्या जाने कितनी निस्बत है मेरी तौबा की आज ख़ैर नहीं हर अदा हुस्न की क़यामत है वो न आए तो उन की याद आई ये भी 'अख़्तर' बहुत ग़नीमत है

chashm-e-sāqī agar salāmat hai
E
Ehsan Akhtar Ghazipuri
Ehsan Akhtar Ghazipuri
poet7 quotes

More by Ehsan Akhtar Ghazipuri

View all →
Quote
"piine pe lagaa kar paabandi dushnaam ki baatein karte hain ye zaahid-o-aabid masjid mein khud jaam ki baatein karte hain kyon aaj hain vo ghabraae hue ilzaam ki baatein karte hain aaghaaz-e-mohabbat se pahle anjaam ki baatein karte hain jab meri vafaa mashkuk nahin phir baat ye kaisi hoti hai mahfil mein bulaa kar aakhir kyon ilzaam ki baatein karte hain kyaa ghuncha-o-gul se nisbat hai be-kaar hai zinat gulshan ki kaanTon pe basar karne vaale aaraam ki baatein karte hain jab raaz-e-mohabbat khulne se tauhin-e-mohabbat hoti hai kyon ashk-e-nadaamat aankhon mein ilzaam ki baatein karte hain kis tarah guzaare hijr kaa din ye baat na puchho 'akhtar' se vo subh ki baatein kyaa jaanein jo shaam ki baatein karte hain"
E
Ehsan Akhtar Ghazipuri
Quote
"un ke baghair chain na aae to kyaa karun har-dam unhin ki yaad sataae to kyaa karun yuun to khud aashiyaan se qafas bhi qarib hai bijli bas aashiyaan ko jalaae to kyaa karun zarre hain sang-e-mil sitaare hain raahbar manzil jo koi phir bhi na paae to kyaa karun baadal bhi hai bahaar bhi hai be-khudi bhi hai aise mein un ki yaad sataae to kyaa karun tauba ko main aziiz huun tauba mujhe aziiz lekin koi nazar se pilaae to kyaa karun ji to rahaa huun hasrat-e-jalva liye hue hasrat jo diid ki na bar aae to kyaa karun aai to hai chaman mein bahaar-e-chaman magar phulon ko eatibaar na aae to kyaa karun tauba phir aaj jaan ke 'akhtar' ne toD di fitrat se apni baaz na aae to kyaa karun"
E
Ehsan Akhtar Ghazipuri
Quote
"qarib-e-manzil bhaTak rahe hain kisi ko apni khabar nahin hai khudaa hi haafiz hai kaarvaan kaa ki raah hai raahbar nahin hai har ek zarre mein jalva un kaa har ek jalve mein husn un kaa kahaan jhukaaein jabin ko aakhir kahaan tiraa sang-e-dar nahin hai fareb-e-rahzan mein dilkashi hai isi liye itni be-khudi hai jise samajhte ho raahbar tum vo asl mein raahbar nahin hai na jaane sehn-e-chaman mein kaisi chamak si rah rah ke ho rahi hai mire nasheman ke chaar tinko ye barq ki to nazar nahin hai mire khulus-e-vafaa ki manzil har ek manzil se mukhtalif hai rah-e-talab mein chalaa huun tanhaa miraa koi ham-safar nahin hai sharaab-khaane mein jaam-e-mai kaa surur to mukhtasar thaa lekin jo chashm-e-saaqi ne bakhsh di hai vo be-khudi mukhtasar nahin hai jise na bahkaa saki kabhi bhi kisi ki aankhon ki dilkashi bhi use bas ik ghunT hi mein 'akhtar' kuchh aaj apni khabar nahin hai"
E
Ehsan Akhtar Ghazipuri
Quote
"na haram ki mujh ko hai justuju na to rahguzar ki talaash hai jahaan sar jhukaa ke mile sukun usi sang-e-dar ki talaash hai mujhe bhejnaa hai payaam-e-dil magar ek shart bhi hai miri jo ye raaz raaz hi rakh sake usi naama-bar ki talaash hai jo tu ban sake miraa aasraa to ye hogaa mujh pe karam tiraa mujhe shaah-raah-e-hayaat mein kisi ham-safar ki talaash hai mile aisaa baada-e-sarkhushi jo na khatm ho kabhi be-khudi jo sanvaar de meri zindagi usi ik nazar ki talaash hai yahi zindagi ki adaa bhi hai miri kaaenaat-e-vafaa bhi hai tire gham pe naaz hai is liye ki ye umr bhar ki talaash hai na davaa duaa se gharaz mujhe na to jaam-o-mai ki talab mujhe jo ilaaj-e-dard-e-jigar kare usi chaaraagar ki talaash hai koi kah de 'akhtar'-e-naa-tavaan ki qafas mein hai miraa aashiyaan jo chamak rahi hain ye bijliyaan unhein mere ghar ki talaash hai"
E
Ehsan Akhtar Ghazipuri
Quote
"un ke honTon pe kyon hansi kam hai kyaa miri aankh mein nami kam hai mere mahbub phir koi jalva chashm-e-binaa mein raushni kam hai hasrat-e-did rah na jaae kahin aa bhi jaao ki zindagi kam hai kyaa kisi ne naqaab sarkaa di kyon sitaaron mein raushni kam hai naqsh-e-paa un kaa chuum lete hain kyaa hamaari ye bandagi kam hai jaane kaise bahaar aai hai laala-o-gul pe taazgi kam hai kyon main barsaat ki duaa maangun kyaa miri aankh mein nami kam hai shama ki lau pe raqs karte hain jin patangon ki zindagi kam hai baat kyaa hai ki dil ki betaabi kal bhi kam thi aur aaj bhi kam hai mere gham kaa hai ye asar 'akhtar' un ke honTon pe bhi hansi kam hai"
E
Ehsan Akhtar Ghazipuri

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi