SHAWORDS

chuum lo us haath ko jo haath bik jaataa na ho — Bashir Farooqi

HomeBashir FarooqiGhazal
"chuum lo us haath ko jo haath bik jaataa na ho vaqt ki sachchaaiyaan likhne se ghabraataa na ho haadisa ye hai ki meri pyaas ne baandhi hai aas aise baadal se barasnaa hi jise aataa na ho koi raahi itnaa bhi bebas nahin hotaa jise koi aansu koi jugnu raah dikhlaataa na ho is kaa imkaan hai ki is shahr-e-saraab-o-khvaab mein jis ko paa letaa ho insaan us ko bhi paataa na ho koi din aisaa nahin ai khub-surat zindagi jab miri aankhon mein teraa ruup lahraataa na ho dil mein armaan le ke chaltaa ho to mumkin hi nahin aadmi shishe se yaa patthar se Takraataa na ho vo koi tasvir hai jis mein na ho rang-e-vafaa vo koi manzar hai jo aankhon ko bahlaataa na ho ik iraada hai junun hai ik safar hai zindagi haadson se vo Dare jiinaa jise aataa na ho aise suraj se to miTTi kaa diyaa achchhaa 'bashir' aisaa suraj jo kisi aangan talak jaataa na ho"
Urdu

چوم لو اس ہاتھ کو جو ہاتھ بک جاتا نہ ہو وقت کی سچائیاں لکھنے سے گھبراتا نہ ہو حادثہ یہ ہے کہ میری پیاس نے باندھی ہے آس ایسے بادل سے برسنا ہی جسے آتا نہ ہو کوئی راہی اتنا بھی بے بس نہیں ہوتا جسے کوئی آنسو کوئی جگنو راہ دکھلاتا نہ ہو اس کا امکاں ہے کہ اس شہر سراب و خواب میں جس کو پا لیتا ہو انساں اس کو بھی پاتا نہ ہو کوئی دن ایسا نہیں اے خوبصورت زندگی جب مری آنکھوں میں تیرا روپ لہراتا نہ ہو دل میں ارماں لے کے چلتا ہو تو ممکن ہی نہیں آدمی شیشے سے یا پتھر سے ٹکراتا نہ ہو وہ کوئی تصویر ہے جس میں نہ ہو رنگ وفا وہ کوئی منظر ہے جو آنکھوں کو بہلاتا نہ ہو اک ارادہ ہے جنوں ہے اک سفر ہے زندگی حادثوں سے وہ ڈرے جینا جسے آتا نہ ہو ایسے سورج سے تو مٹی کا دیا اچھا بشیرؔ ایسا سورج جو کسی آنگن تلک جاتا نہ ہو

Hindi

चूम लो उस हाथ को जो हाथ बिक जाता न हो वक़्त की सच्चाइयाँ लिखने से घबराता न हो हादिसा ये है कि मेरी प्यास ने बाँधी है आस ऐसे बादल से बरसना ही जिसे आता न हो कोई राही इतना भी बेबस नहीं होता जिसे कोई आँसू कोई जुगनू राह दिखलाता न हो इस का इम्काँ है कि इस शहर-ए-सराब-ओ-ख़्वाब में जिस को पा लेता हो इंसाँ उस को भी पाता न हो कोई दिन ऐसा नहीं ऐ ख़ूबसूरत ज़िंदगी जब मिरी आँखों में तेरा रूप लहराता न हो दिल में अरमाँ ले के चलता हो तो मुमकिन ही नहीं आदमी शीशे से या पत्थर से टकराता न हो वो कोई तस्वीर है जिस में न हो रंग-ए-वफ़ा वो कोई मंज़र है जो आँखों को बहलाता न हो इक इरादा है जुनूँ है इक सफ़र है ज़िंदगी हादसों से वो डरे जीना जिसे आता न हो ऐसे सूरज से तो मिट्टी का दिया अच्छा 'बशीर' ऐसा सूरज जो किसी आँगन तलक जाता न हो

chuum lo us haath ko jo haath bik jaatā na ho
Bashir Farooqi
Bashir Farooqi
Bashir Farooqi
poet24 quotes

More by Bashir Farooqi

View all →
Quote
"yuun ruuTh kar na jaa ki tujhe kuchh khabar bhi hai 'umr-e-junun daraaz bhi hai mukhtasar bhi hai vo aankh dekh kar bhi mujhe ajnabi si hai iqraar-e-‘ishq bhi hai zamaane kaa Dar bhi hai ai zindagi kabhi to mujhe muD ke dekh le ik shakhs teraa chaahne vaalaa idhar bhi hai is shahr-e-qaatilaan se hamein kyaa nahin milaa siine mein daagh-e-‘ishq bhi hai zakhm-e-sar bhi hai maayus ho ke kuchh na milegaa jahaan mein jiinaa bhi sikhiye ki ye jiinaa hunar bhi hai suraj hisaar-e-shab se nikal to gayaa magar khun-e-shafaq se jaama-e-khush-rang tar bhi hai itnaa tujhe khayaal rahe ai amir-e-shahr unchi haveliyon kaa muqaddar khanDar bhi hai patthar uThaa ke soch rahaa huun main ai 'bashir' is shahr-e-sang mein miraa shishe kaa ghar bhi hai"
Bashir FarooqiBashir Farooqi
Quote
"jahaan-panaah kahaan meraa gham samajhte hain qalam ke dard ko ahl-e-qalam samajhte hain faqih-e-shahr kaa mansab unhi ko miltaa hai jo qasr-e-shaah ko baab-e-haram samajhte hain ab apne dard kaa ehsaas baDh gayaa hai bahut kisi ke dard ko ab log kam samajhte hain uThaane do unhein divaar-e-dushmani lekin giregi kaise ye divaar ham samajhte hain nazar kisi ki taraf hai to dil kisi ki taraf tiri adaa-e-takhaatub ko ham samajhte hain zamaane dekhe hain is aankh ne jo ab chup hai ye honT talkhi-e-sahbaa-o-sam samajhte hain isi liye to hamein gham 'ataa kiye us ne ki us ke gham ki nazaakat ko ham samajhte hain ham ahl-e-shauq hain aise hi tishnagaan mein 'bashir' jo shaakh-e-gul ko hi dast-e-sanam samajhte hain"
Bashir FarooqiBashir Farooqi
Quote
"hamaare dil kaa vo 'aalam hai un ke naam ke baa'd ki jaise raat ki raani khili ho shaam ke baa'd vo shaakh-e-gul ki tarah dast-e-ahmarin us kaa vo muD ke dekhnaa us kaa mujhe salaam ke baa'd har ek daur mein ye sochte rahe ham log ki ab sukun milegaa nae nizaam ke baa'd main saath chal to diyaa huun magar ye khauf bhi hai ki tum fareb na de jaao chand gaam ke baa'd bachaane nikle hain kis ko salaamati daste bachaa hi kaun hai basti mein qatl-e-'aam ke baa'd ye sar bachaa ke guzargaah-e-haadsaat se ham khudaa kaa shukr karein ghar to aae shaam ke baa'd fasaad uljhe hue masalon kaa hal to nahin ye sho'le aur bhaDakte hain intiqaam ke baa'd main jaise TuuT gayaa huun bikhar gayaa huun 'bashir' 'ajib haal hai meraa shikast-e-jaam ke baa'd"
Bashir FarooqiBashir Farooqi
Quote
"us ki nazar kaa mujh pe kuchh aisaa asar huaa dil thaa sadaf misaal ba-rang-e-guhar huaa vo shokhiyaan thiin aur na vo rang-rup thaa kal main bahut udaas use dekh kar huaa isaar aur vafaa ki mire daastaan ye hai jab bhi vatan pe vaar hue main sipar huaa vo haadisa to koi baDaa haadisa na thaa ye aur baat dil pe ziyaada asar huaa aisaa bhi ek dar hai isi kaaenaat mein us dar kaa jo faqir huaa taajvar huaa ab jaa ke mujh ko sard shabistaan huaa nasib barson tamaam jism pasine mein tar huaa dahshat-zada fazaaon se vo be-niyaaz thaa jab us kaa ghar jalaa hai to us par asar huaa yaad aa gai thi mujh ko shahid-e-vafaa ki pyaas dariyaa ko dekh kar jo miraa dil sharar huaa patthar bhi pheinkte koi aataa nahin idhar buDhe shajar ki tarah jo main be-samar huaa jis din miri ghazal ne chhue us ke lab 'bashir' us din miri ghazal kaa safar mo'atabar huaa"
Bashir FarooqiBashir Farooqi
Quote
"havaa ki tarh main jis aag ke hisaar mein thaa miraa nasib usi halqa-e-sharaar mein thaa jo sang us ne uThaayaa thaa mere sar ke liye vo kab gulaab banegaa main intizaar mein thaa banaa rahaa thaa vo kal hi to aise mansube ki jaise nazm-e-jahaan us ke ikhtiyaar mein thaa khulaa jo us kaa tilism-e-badan mire dil par mujhe lagaa ki main rangon ke aabshaar mein thaa milaa thaa mujh se vo aghyaar ke vasile se vo be-khabar thaa ki main us ke ikhtiyaar mein thaa koi charaagh thaa raushan ki us kaa ru-e-jamil har ek samt ujaalaa saa rahguzaar mein thaa jo ek sang se kitne hi phal giraa detaa vo shakhs tez havaaon ke intizaar mein thaa balaaein lauT gaiin dekh kar 'bashir' mujhe ki main to sura-e-yaasin ke hisaar mein thaa"
Bashir FarooqiBashir Farooqi
Quote
"hamein yaqin thaa ki ham doston mein rahte hain jo ghar jalaa to lagaa dushmanon mein rahte hain ham ik kiran hain magar baadalon mein rahte hain bichhaD ke tum se baDi uljhanon mein rahte hain hamaare jiine ki ab ye misaal hai jaise kaTe piTe hue jumle khaton mein rahte hain inhi si choT bhi lagti hai sar-bulandon ko jo pattharon ki tarah Thokaron mein rahte hain jo chehre chaand se lagte hain mahfilon mein hamein vo sham’-e-kushta ki surat gharon mein rahte hain kuchh aise phuul hain jin ko milaa nahin maahaul mahak rahe hain magar jangalon mein rahte hain vatan ki khair manaao ki dushmanaan-e-vatan sahar se shaam talak saazishon mein rahte hain hamaare shahr mein insaan ab nahin rahte ham apne shahr ki parchhaaiyon mein rahte hain unhin ko mere ghamon ki khabar nahin hai 'bashir' jo ruuh ban ke miri dhaDkanon mein rahte hain"
Bashir FarooqiBashir Farooqi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi