SHAWORDS

daana-e-gandum-e-bedaar uThaane lagaa huun — Ahmad Kamran

HomeAhmad KamranGhazal
"daana-e-gandum-e-bedaar uThaane lagaa huun khaak huun khaak kaa aazaar uThaane lagaa huun kurra-e-hijr se honaa hai numudaar mujhe main tire ishq kaa inkaar uThaane lagaa huun lau ne sardaar kiye rakkhaa hai shab bhar tum ko ai charaagho main ye dastaar uThaane lagaa huun ye khuli jang hai aur jang bhi hai apne khilaaf is liye apne taraf-daar uThaane lagaa huun ek aavaaz miri niind uDaa deti hai ibn-e-aadam tire aasaar uThaane lagaa huun"
Urdu

دانۂ گندم بیدار اٹھانے لگا ہوں خاک ہوں خاک کا آزار اٹھانے لگا ہوں کرۂ ہجر سے ہونا ہے نمودار مجھے میں ترے عشق کا انکار اٹھانے لگا ہوں لو نے سردار کیے رکھا ہے شب بھر تم کو اے چراغو میں یہ دستار اٹھانے لگا ہوں یہ کھلی جنگ ہے اور جنگ بھی ہے اپنے خلاف اس لیے اپنے طرف دار اٹھانے لگا ہوں ایک آواز مری نیند اڑا دیتی ہے ابن آدم ترے آثار اٹھانے لگا ہوں

Hindi

दाना-ए-गंदुम-ए-बेदार उठाने लगा हूँ ख़ाक हूँ ख़ाक का आज़ार उठाने लगा हूँ कुर्रा-ए-हिज्र से होना है नुमूदार मुझे मैं तिरे इश्क़ का इंकार उठाने लगा हूँ लौ ने सरदार किए रक्खा है शब भर तुम को ऐ चराग़ो मैं ये दस्तार उठाने लगा हूँ ये खुली जंग है और जंग भी है अपने ख़िलाफ़ इस लिए अपने तरफ़-दार उठाने लगा हूँ एक आवाज़ मिरी नींद उड़ा देती है इब्न-ए-आदम तिरे आसार उठाने लगा हूँ

dāna-e-gandum-e-bedār uThāne lagā huuñ
Ahmad Kamran
Ahmad Kamran
Ahmad Kamran
poet19 quotes

More by Ahmad Kamran

View all →
Quote
"koi mansab koi dastaar nahin chaahiye hai shaahzaadi mujhe darbaar nahin chaahiye hai aakhiri ashk se is sog ki takmil hui ab mujhe koi azaa-daar nahin chaahiye hai is takalluf se ziyaada kaa talabgaar huun main sirf ye saaya-e-divaar nahin chaahiye hai ab muqaabil mire apne hain sau ai rabb-e-jalil hausla chaahiye talvaar nahin chaahiye hai chaahiye hai mujhe inkaar-e-mohabbat mire dost lekin is mein tiraa inkaar nahin chaahiye hai aakhir aazaa ne mire saath baghaavat kar di ab qabile ko ye sardaar nahin chaahiye hai"
Ahmad KamranAhmad Kamran
Quote
"zinda rahne kaa taqaazaa nahin chhoDaa jaataa ham ne tujh ko nahin chhoDaa nahin chhoDaa jaataa ain mumkin hai tire hijr se mil jaae najaat kyaa karein yaar ye sahraa nahin chhoDaa jaataa chhoD jaati hai badan ruuh bhi jaate jaate qaid se koi bhi puuraa nahin chhoDaa jaataa is qadar TuuT ke milne mein hai nuqsaan ki jab khet pyaase hon to dariyaa nahin chhoDaa jaataa chhoDnaa tujh ko miri jaan hai bahut baad ki baat ham se to shahr bhi teraa nahin chhoDaa jaataa raushni khuub hai lekin mire hayyun-o-qayyum yaar andhere mein akelaa nahin chhoDaa jaataa"
Ahmad KamranAhmad Kamran

More on Ishq

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
N
Naeem Sameer
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"hijaab vaalon se vo be-hijaab ho na sakaa vo saamne thaa magar be-naqaab ho na sakaa vajud-e-khaak kaa insaan khitaab ho na sakaa ye zarra ghair-e-karam aaftaab ho na sakaa karam vo tuur pe ik be-niyaaz-e-jalva par vo be-niyaazi thi jis kaa javaab ho na sakaa uThaa ke parda chhupaa kasrat-e-tajalli mein vo be-naqaab huaa be-naqaab ho na sakaa tamaam umr rahe dekhte hayaat ke khvaab hamaari aankhon mein ye khvaab khvaab ho na sakaa rahi fareb-e-tasavvur ye raftani duniyaa saraab jaise kabhi ju-e-aab ho na sakaa zamir zaahir-o-baatin se ho gayaa aagaah kharaab baada-e-irfaan kharaab ho na sakaa mire karim ne bakhshaa isi bahaane se mire gunaahon kaa jab kuchh hisaab ho na sakaa abhi kami hai tire zauq-e-ishq mein 'aiman' lahu huaa tiraa aansu sharaab ho na sakaa"
A
Aiman Amritsari