SHAWORDS

dard dene ki intihaa rakhnaa — Mustafa Shabbir

"dard dene ki intihaa rakhnaa duur jaate ho raabta rakhnaa vaqt saare bharam bhi gar toDe mujh se jaari ye silsila rakhnaa apne dil ko sanam hamesha tum meri chaahat se aashnaa rakhnaa yaad karnaa miri vafaaon ko saamne jab bhi aaina rakhnaa pyaar chaahe mile tumhein jitnaa dil mohabbat mein be-navaa rakhnaa jaisi 'musaa' ko tum se chaahat hai vaisi chaahat sanam sadaa rakhnaa"
Urdu

درد دینے کی انتہا رکھنا دور جاتے ہو رابطہ رکھنا وقت سارے بھرم بھی گر توڑے مجھ سے جاری یہ سلسلہ رکھنا اپنے دل کو صنم ہمیشہ تم میری چاہت سے آشنا رکھنا یاد کرنا مری وفاؤں کو سامنے جب بھی آئنہ رکھنا پیار چاہے ملے تمہیں جتنا دل محبت میں بے نوا رکھنا جیسی موسیٰؔ کو تم سے چاہت ہے ویسی چاہت صنم صدا رکھنا

Hindi

दर्द देने की इंतिहा रखना दूर जाते हो राब्ता रखना वक़्त सारे भरम भी गर तोड़े मुझ से जारी ये सिलसिला रखना अपने दिल को सनम हमेशा तुम मेरी चाहत से आश्ना रखना याद करना मिरी वफ़ाओं को सामने जब भी आइना रखना प्यार चाहे मिले तुम्हें जितना दिल मोहब्बत में बे-नवा रखना जैसी 'मूसा' को तुम से चाहत है वैसी चाहत सनम सदा रखना

dard dene kī intihā rakhnā
Mustafa Shabbir
Mustafa Shabbir
Mustafa Shabbir
poet4 quotes

More by Mustafa Shabbir

View all →
Quote
"ek aur laash phir se uThaai gai hai aaj phir naujavaan ki qabr banaai gai hai aaj insaaniyat ko DhunDhne vaalo sunaa hai ki laash us ki kuuDe kachre mein paai gai hai aaj jis raam naam se kai dipak jale kabhi ek laash-e-be-gunaah jalaai gai hai aaj us bhiiD ko qaraar huaa bas ye dekh kar divaar ghar ki khuun se rangaai gai hai aaj maatam kisi ke ghar pe karaa kar are sitam zaalim ke ghar divaali manaai gai hai aaj netaa banaa ke jis ko chunaa us ke haath se apne gharon ko aag lagaai gai hai aaj 'musaa' miri qalam hai bahut chaak dard se zikr-e-qitaal-o-zulm likhaai gai hai aaj"
Mustafa ShabbirMustafa Shabbir

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui