"ham ai gham-e-hayaat na jaane kahaan rahe jab husn-e-ittifaaq se vo mehrbaan rahe jis vaqt chhiD gai hai nigaar-e-sahar ki baat taare shab-e-firaaq mire ham-zabaan rahe kyaa ehtimaam-e-husn-e-chaman kar sake bayaan jab khud dil-e-bahaar mein paiham khizaan rahe phir zindagi kare na koi aur aarzu gar us ke saath ek gham-e-jaavedaan rahe yaa manzilon ke zikr se tum ne diyaa fareb yaa ham hi mahv-e-gard-e-rah-e-kaarvaan rahe naakaamiyon kaa ab ye taqaazaa hai baar baar har vaqt ek kashmakash-e-imtihaan rahe taarik raaste mein bhi 'azmat' hamaare saath zakhm-e-vafaa mein rang-e-mah-o-kahkashaan rahe"
dard-e-dil kaif-e-alam soz-e-jigar se pahle — Azmat Abdul Qayyum Khan
"dard-e-dil kaif-e-alam soz-e-jigar se pahle zindagi kuchh bhi na thi teri nazar se pahle fikr-e-fardaa gham-e-imroz rivaayaat-e-kuhan kitni raahein hain tiri raahguzar se pahle jin ujaalon ko zamaane ki sahar honaa hai vo guzarte hain miri fikr-o-nazar se pahle tum kahoge to zabaani bhi sunaaun lekin haal-e-dil puchh to lo dida-e-tar se pahle haae ye baat ujaalon ko abhi kyaa maalum raat kis tarah se guzri hai sahar se pahle jab bhi taamir-e-nasheman kaa khayaal aayaa hai mashvara ham ne kiyaa barq-o-sharar se pahle zindagaani mein masarrat ki tamannaa goyaa vo duaa hai jo bhaTakti hai asar se pahle na vo taare na vo armaan na vo dilkash naghme kitne faanus bujhe pichhle pahar se pahle sach to ye hai ki hamein baagh-e-jahaan mein azmat saikDon khaar mile ik gul-e-tar se pahle"
درد دل کیف الم سوز جگر سے پہلے زندگی کچھ بھی نہ تھی تیری نظر سے پہلے فکر فردا غم امروز روایات کہن کتنی راہیں ہیں تری راہ گزر سے پہلے جن اجالوں کو زمانے کی سحر ہونا ہے وہ گزرتے ہیں مری فکر و نظر سے پہلے تم کہو گے تو زبانی بھی سناؤں لیکن حال دل پوچھ تو لو دیدۂ تر سے پہلے ہائے یہ بات اجالوں کو ابھی کیا معلوم رات کس طرح سے گزری ہے سحر سے پہلے جب بھی تعمیر نشیمن کا خیال آیا ہے مشورہ ہم نے کیا برق و شرر سے پہلے زندگانی میں مسرت کی تمنا گویا وہ دعا ہے جو بھٹکتی ہے اثر سے پہلے نہ وہ تارے نہ وہ ارماں نہ وہ دل کش نغمے کتنے فانوس بجھے پچھلے پہر سے پہلے سچ تو یہ ہے کہ ہمیں باغ جہاں میں عظمت سیکڑوں خار ملے اک گل تر سے پہلے
दर्द-ए-दिल कैफ़-ए-अलम सोज़-ए-जिगर से पहले ज़िंदगी कुछ भी न थी तेरी नज़र से पहले फ़िक्र-ए-फ़र्दा ग़म-ए-इमरोज़ रिवायात-ए-कुहन कितनी राहें हैं तिरी राहगुज़र से पहले जिन उजालों को ज़माने की सहर होना है वो गुज़रते हैं मिरी फ़िक्र-ओ-नज़र से पहले तुम कहोगे तो ज़बानी भी सुनाऊँ लेकिन हाल-ए-दिल पूछ तो लो दीदा-ए-तर से पहले हाए ये बात उजालों को अभी क्या मा'लूम रात किस तरह से गुज़री है सहर से पहले जब भी तामीर-ए-नशेमन का ख़याल आया है मशवरा हम ने किया बर्क़-ओ-शरर से पहले ज़िंदगानी में मसर्रत की तमन्ना गोया वो दुआ है जो भटकती है असर से पहले न वो तारे न वो अरमाँ न वो दिलकश नग़्मे कितने फ़ानूस बुझे पिछले पहर से पहले सच तो ये है कि हमें बाग़-ए-जहाँ में अज़्मत सैकड़ों ख़ार मिले इक गुल-ए-तर से पहले

More by Azmat Abdul Qayyum Khan
View all →"bahaaron kaa samaan hai aur main huun kisi kaa daastaan hai aur main huun kahin jis kaa kinaaraa hi nahin hai vo bahr-e-be-karaan hai aur main huun vo hain aur ek andaaz-e-pashemaan vafaa kaa imtihaan hai aur main huun ataa-e-dard-e-ulfat ki badaulat nishaat-e-jaavedaan hai aur main huun hui hai pursish-e-haal-e-mohabbat nigaah-e-tarjumaan hai aur main huun tamannaaon ki jalti rahguzar mein khayaal-e-kaarvaan hai aur main huun vahi betaab armaanon ki duniyaa vahi gham kaa dhuaan hai aur main huun jahaan mein ab ba-naam-e-sher 'azmat' miraa apnaa jahaan hai aur main huun"
"aap se shikva-e-bedaad karun yaa na karun shauq-e-paaband ko aazaad karun yaa na karun aap hain vaqt hai fursat hai zaraa ye kah do ab bayaan ishq ki rudaad karun yaa na karun ai gham-e-hijr bataa ai dil-e-maayus bataa maatam-e-hasrat-e-naashaad karun yaa na karun yuun to ab kuchh bhi nahin dida-e-viraan ko magar chand khvaabon se bhi aabaad karun yaa na karun meri qismat mein sahi dard-o-alam ki raahein shaadmaani ko kahin yaad karun yaa na karun aaj mausam ne koi mast ghazal chheDi hai zabt ko maail-e-fariyaad karun yaa na karun zindagi ishq mein miTnaa hai to phir aise mein naaz tujh pe dil-e-barbaad karun yaa na karun inqilaabaat mein tufaan-e-sitam mein azmat shaan-e-altaaf-o-karam yaad karun yaa na karun"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"